koi shaam apni aisi to aaye

koi subha aisi to aaye
mausam apne saath tumko le aaye,
uthte hi tumko paas mein paayein.

koi shaam aisi to aaye,
jab khushiyaan hi nazar aaye,
tumhara haat haathon mein 
paayein.

koi bahar aisi to aaye,
jo humari muskaan wapas laaye,
phir koi usko cheen na paaye.

kyun humko neend na aaye,
agar neend bhi jo aaye,
tumko hi sapnon mein 
paayein.

koi dard to aisa aaye,
tumko mere paas khinch laaye,
tumhe mere dard ki dawa banaaye.

jab maut hum ko lene aaye,
tum ko mere saath mein pa kar,
adhe raaste se hi wapas murd jaaye.

koi lamaha to aisa aaye,
jab hum dono mil 
paayein,
aur phir kabhi naa bichard 
paayein.

woh bhula bhi de mujhko main har pal bas usko yaad karun

hai bus yehi aarzu har janam mein usko pyar karun,
woh bhula bhi de mujhko main har pal bas usko yaad karun,

kaliyaan unke daman mein khilake saare kante apne naam karun,
meri saari khushiyan uske aur gum unke apne naam karun,

hai bus yehi aarzu har janam mein usko pyar karun,
woh bhula bhi de mujhko main har pal bus usko yaad karun,

subah ke ujale uske aur raat ke andhere main apne naam karun,
uski sunsaan galiyon mein main roshni banke damka karun,

hai bas yehi aarzoo har janam mein usko pyar karun,
woh bhula bhi de mujhko main har pal bus usko yaad karun,

neend apni bhula ke saare khwaab main uske naam karun,
uske khayalon se hi raatein main apni guzara karun,

hai bas yehi aarzoo har janam mein usko pyar karun,
woh bhula bhi de mujhko main har pal bus usko yaad karun,

apni sab tamanna mita ke uski har 
aarzoo ki tamanaa main karun,
ho har 
aarzoo uski puri bas yeh aarzoo ab main baar baar karun.

hazaron gam tere gam ke bahane yaad aayenge

jiunga jab tak tere fasane yaad aayenge,
kasak ban kar mohabbat ke tarane yaad 
aayenge,

mujhe to zindagi bhar ab teri yaadon mein jeena hai,
tujhe bhi kya kabhi guzre zamane yaad 
aayenge?

kahi gunjengi shahnayi to lega dard angdayi,
hazaron gam tere gam ke bahane yaad
aayenge.

ussi jagah pe khada tannha hi jal raha hoon main

dard ke ghere se bahar nikal raha hoon main,
chirag banke sare rah jal raha hoon main,

woh saare log to pathar bata rahe the mujhe,
tumhari nazaron se kaise pighal raha hoon main,

kahi mujhe meri manzil nazar nahi aati,
ek arshe se tannha yun hi chal raha hoon main,

mujhe bahot azeez hai tere labon ki muskan,
teri khushi ke liye hi badal raha hoon main,

rah-e-wafa main jahan tune hath chorda tha,
ussi jagah pe khada tannha hi jal raha hoon main.

har mord par humare liye mazbooriya kyu hain

har mord par humare liye mazbooriya kyu hain,
jaha tak bhi nazar uth-ti hai, har jagah mayoosiya kyu hain,

tere aagosh mein aane ko sisakta hai badan mera,
zindagi ki lau jali jaati hai tujhe paa lene ki chahat mein,

armaano ki baraat dil ki najuk naso ko tordti hain,
maun reh kar bhi bebasi sooni sadak si zindagi mein faily kyu hain,

zindagi ke kuch haseen pal beetane ki chahat mein,
til-til jalti yeh zindagi toot toot kar bikharti kyu hain,

hum marr jaane ki khwahish rakhte hain,
tere pehlu mein aaker zindaagi tabaah kar lene ki khwahish rakhte hain,

tamaam umar jeene ki tamanna nahi hai,
magar iss tabaahi ke badle bhi maut ko bewafai ki chaahat kyu hain,

har mord par humare liye mazbooriya kyu hain,
jaha tak bhi nazar ut-ti hain.. har jagah mayoosiya kyu hain.

hum dab-dabaati aankhoon se dekhte hi reh gaye

do garm garm boonde gaalo par girr gaye,
tere pyaar ki bewafai ashko mein ludak gaye,
hum dab-dabaati aankhoon se dekhte hi reh gaye,
teri berukhi ki tees dil mein utarti chali gayi.

haath badha kar chaha tha tera daaman thaam le,
magar tere kadamon ki urdti dhool,
sab chahato ko gardish mein urdati chali gayi,
ghoya koi khilona-e-zindaagi the ham teri bazm mein.

tu pehle kheli, phir hassi aur phir kuchal ke chal gayi,
hum pyaar ke tapish mein jalte hi reh gaye,
do garm garm ashk gaalo pe gire gaye.

abhi to muskurana hai

lafzoon ki kahani hai,
bas yehi zindagani hai,

kabhi ghum ke kathare mein,
kabhi khushiyon ke daiyre mein,

humein bas muskurana hai,
abhi to muskurana hai.

zindagi ki rahoon mein,
rahiyoon ke milne se,

phir bicharne ke dar se,
abhi dil ko bahlana hai,

humein bas muskurana hai,
abhi t0 muskurana hai.

guzare huye lamhoon ki,
yaadon ko bhulana hai,

abhi to ashkon ko,
aankhon mein chupana hai,

humein bas muskurana hai,
abhi to muskurana hai.

bas yehi zindagani hai,
kabhi ghum ke kathare mein,

kabhi khushiyon ke daiyre mein,
humein bas muskurana hai,
abhi to muskurana hai.

All Time's Favourite Posts