yaha har ek chiz bikao hai

duniya ke iss baazar mein har ek chiz bikao hai,
pyar mohabbat ulfat aur chahat.. har ek chiz bikao hai,

har shahks ki kuch na kuch keemat hai yahan,
jazbat ehsas sukun aur raahat.. har ek chiz bikao hai,

jada ya kam har chiz ka ek daam hai yahan,
rishte naate izzat aur soharat.. har ek chiz bikao hai,

sab bikte hain koudiyun ke mol yahan,
deen emaan zameer aur soharat.. har ek chiz bikao hai,

laga rehta hai khareedaro ka mela yahan,
khushiyan muskurahat aur khamosi.. har ek chiz bikao hai,

kahridne walon ko sab mil jata hai yahan,
jhut sach kanoon aur insaaf har ek chizs bikao hai,

yeh bhi, woh bhi, tum bhi, main bhi..
yahan har ek chiz bikao hai.

woh kaisa dard hai jiske gum mein rajkumar likhte hain

kaha usne ki aakhir kis liye bekaar likhte hain,
yeh shayer log kyu itne dhukh bhare shayari likhte hain?

kaha humne ki khud kuch nahi likhte yeh bechare,
unhein jab majboor kerta hai dil, tab ashaar likhte hain,

yeh sunker muskura ke, gor se dekh humein boli,
to acha aap bhi iss kisem ki shayari likhte hain?

woh kya gum hai jisse dohra rahe hain aap barson se,
woh kya dukh hai mitaane jisse har baar likhte hain?

magar afsoos hum samjha nahi paaye usse kuch bhi,
ki kyo hum bhi issi andaaz ke nagmein likhte hain.

woh kaisi aag hai lafzoon mein jisko dhaalte hain hum,
woh kya gum hai jo raatoon ko jaag dil-k-ghaw likhte hain,

hai aisa kaun jo saare jahan se hai humein pyaara,
woh kaisa dard hai jiske gum mein rajkumar likhte hain.

amrit samjh ker humne piya zindagi ko

tannha reh ker humne jeeya zindagi ko,
bhaut badnam humne kiya zindagi ko,


zindagi ka naam unhone zehar samjhaya,
amrit samjh ker humne piya zindagi ko.

patharon ke shehar mein pathar dil insaan

guzre huye tufaan ke bas nishaan reh gaye hain,
tute huye dil mein ghayal armaan reh gaye hain,

kisko sunayein haal e dil, kaun ashk dekhega?
andhi bastiyon mein log be-jubaan reh gaye hain,

dhua uthta dekha raat sab ne ghar se mere,
jalte dil ki aatish se log anjaan reh gaye hain,

waqt ke chabhukon ke nishaan dil par hai kaayam,
apnon ke hum par yehi kuch ehsaan reh gaye hain,

nazook dil torde jate hain sheeshe samjh kar,
patharon ke shehar mein pathar dil insaan reh gaye hain.

teri jheel si aankhein

gumsum kisi khayal mein har sham ye aankhein,
jhukte huye karne lagi hai sham ye aankhein,

jheel hain ya mouz mein behata hua sagar,
shayad inhi ka aakhri mukam ye aankhein,

hairan hoon main kya likhu inpar koi ghazal,
sabse hassi ghazal-e-mohabbat ye aankhein,

ye wo nasha hai jo utarna janta nahi,
sabse purani sharab ka koi jaam ye aankhein,

likhte huye aksar kahi apni kitabo mein,
chup chup ke phir pardti hai mera naam ye aankhein.

aakhiri dhardkan bhi daaw par lagayein kya

mohabbat ke raaz hum tumhein bataayein kya,
zakham hi zakham hain dil dikhaayein kya?

dhapta hoon mooh to pair dikhte hain,
puchhiye kafan se hum chhupayein kya?

hai khel zindagi ka takdeeron ke haath mein,
jo hona hai so hoga to ab ghabrayein kya?

uttha rahe hain tere dar se mujhko log,
tum kaho to duniya se hi utth jaayein kya?

unka shehar hai, unke log, unhi ki mehfil,
yahan kisi ko apni dastaan sunaayein kya?

shayad umeedon se baazi maar laaye ishq,
aakhiri dhardkan bhi daaw par lagayein kya?


tum ne mujhe badnaam kiya

khush rehne ki duwa dekar tum ne badnaam kiya,
apno mein gair bana kar tum ne badnaam kiya,

har kaam nyara har baat pyari thi tumhari,
appahiz bana ke gairon mein tum ne badnaam kiya,

kabhi mithi baaton ke samundar mein duboya tha,
ab reghistaan mein jhonk ke tum ne badnaam kiya,

hawaon mein mahal aur shishe ke ghar bane the,
khayalon mein hi chord ke tum ne badnaam kiya,

sara mahaul apna tha, swarnim sapne apne the,
sukoon chinn ke sara tum ne badnaam kiya.

All Time's Favourite Posts