kaash ki main ek tasweer hota

kaash ki main ek tasweer hota,
rangoon mein wajood bikhra hota,

kisi kalakaar ke haathon bannta aur,
kisi numaish mein kahi laga hota,

boliyaan lagti mujhe paane ki,
kisi amir ke ghar pahuncha hota,

laate mujhe naye mehmaan ki tarah,
aur ek dewaar pe main bhi tanga hota,

karte bayan log meri nakaashi ka,
issi bahane main bhi kabhi khush to hua hota,

kuch saal beetate yun hi dekhte huye,
ek roz purani tasweer banna hota,

ubtta har koi jab dekhte huye mujhe,
kisi kabaad-khane mein phir main parda hota,

waqt ke khanzar chalte har roz,
mera wajood lahoo se yuhhi bhara hota,

poora hota safarr khushiyaan dene ka,
aur raddi ke bhaaw main bhi bikka hota,

kaash ki main ek tasweer hota,
kadmon tale ek roz daba hota.

zindagi aur bata tera kya irada hai

zindagi aur bata tera kya irada hai,
loot liya sab kuch mera, 
aur tere liye lootane ka irada hai,
zindagi aur bata tera kya irada hai..

roya bahut main mera pyar jab cheena tune,
sukh gayi ye aankhein, 
dard koi ab na mehsoos hota hai,
zindagi aur bata tera kya irada hai..

khata ye thi ki pyar kiya maine,
chaha har pal har ghardi usse maine,
iska ye sila diya tune ki ab pyar na hota hai,
zindagi aur bata tera kya irada hai..

dua mein bus auroon ke liye haath uthaye maine,
khushion ke liye uski har sitam uthaya maine,
apne liye to ab kuch na maanga jata hai,
zindagi aur bata tera kya irada hai..

pooja uske pyar ko tha khuda ki tarah maine,
khushion mein uski har khushi dhoondi thi maine,
tune aaj mujhe hassna bhula diya hai,
zindagi aur bata tera kya irada hai..

zindagi aur bata tera kya irada hai,
loot liya sab kuch mera, 
aur tere liye raaj ke lootane ka irada hai,
zindagi aur bata tera kya irada hai..

shaam dhalte hi tanhayion ko wapas bula lete hai

logon sang tajurba apna bhi banta jaata hai,
duniya ki chahal pehal mein din kat hi jaata hai,

ro lete hain kuch, kuch ghut pe lete hain,
shaam dhalte hi tanhayion ko wapas bula lete hai,

raat roz sitaaron ki mehfil mein kat jaati hai,
jalta hai phir chaand, chandni bhi fiki pard jaati hai,

abhi to zindagi narak banni baaki hai,
chord gayi kyun tu, poket me paise to kuch baaki hai,

meri barbadiyon ki goonj kahi se aa rahi hai,
parinde, phool, pattiyaan yahi dhun gunguna rahi hai,

daaman-e-raaj se kuch aas naa lagana yaaron
makhmal nahi,  ye to hai kaanton ka mera bichona yaaron.


chun-chun armaanon ko maar diya

jisne kabhi kaha tha apna, khud se begana bana diya,
kya ab bhi dil-e-nadan usse pyar kiya karta hai,

jiski har mehfil kabhi mere hone se roshan thi,
kya ab bhi tanhayion me mujhe yaad kiya karti hai,

jiska har khayal meri khushboo se mehkata tha,
kyu ab woh mere sukoon ko, bekaraar kiya karti hai,

jo pehroon intezaar ke baad kabhi larda karti thi,
kyu har wo manzar unko yaad kiya karti hai,

kabhi sez sajayi thi armaanon ki maine,
aab chun-chun unhein, kyun dil maar diya karta hai.

mujhe tera intezaar hai

kayi saalo se..
dekha na kabhi, tujhe chhua naa kabhi,
magar mehsoos kiya, tujhe har baar hai,
haan mere yaar, mujhe tera intezaar hai,


kaha naa tune, maine bhi hothon ko siya,
magar dil mein ehsaas to barkaraar hai,
haan mere yaar, mujhe tera intezaar hai,

dooriyan hain, darmiyaan faasle to nahi,
aa jaaun paas tere, par halaat lachaar hai,
haan mere yaar, mujhe tera intezaar hai,

mehsoss kar, pyar ko bahoon mein bhar,
tere bina ye zindagi ek luta bazaar hai,
haan mere yaar, mujhe tera intezaar hai,

tu udhar khamosh, main yahan majboor,
magar halaat se lardna hi to pyar hai,
haan mere yaar, mujhe tera intezaar hai,

ek dafa laga lo seene se mehboob mere,
sukoon-e-dil ko raaj bekaraar hai,
haan mere yaar, mujhe tera intezaar hai.

aaine mein aapni hi pehhchaan ki talash hai

sawallon ne ghera hai,
jawabbon ki talash hai,
aaine mein aapni hi,
pehhchaan ki talash hai,

bhari bheed se kuch,
milne ki aas liye,
wafa ko chhord,
bewafai ki talash hai,

teri wafa ki aag mein,
kuch kami reh gayi shayad,
jo de hawa inn sholon ko,
aise mausam ki talash hai,

dil aab bujhne laga hai,
dard bhi meetha sa lagne laga hai,
zakhm-e-dil jo kar de hara,
phir aisi ek thokar ki talaash hai..

lautane hi sahi meri jaan aao

kyun khafa- khafa se baithe ho,
aao mere dil ke mehmaan aao,
aao ki kuch samaan baaki hai,
lautane hi sahi, meri jaan aao..

woh chand lamhein raaton ke,
jab saari raat main jaagta tha,
mere kaandhe ka sirhana bana,
tumhein baahon mein sulata tha,
wo chand lamhein lautane aao,
aao mere dil ke mehmaan aao..

woh shaakh ke patton ki sarsarahat,
jahan ghanton baith gujaarta tha,
ussi intezaar mein tumhare liye,
ek pura nagama gungunata tha,
woh sarsarahat lautane aao,
aao mere dil ke mehmaan aao..

har sham gali ke nukaad se gujarte huye,
mere piche scooter me baitha kerti thi,
mere haatho mein haath daal ker,
tum mujh mein ek vishwaas jagati thi,
woh shaamien lautnaane aao,
aao mere dil ke mehmaan aao..

iss dil ko tardpana tumhari aadat rahi,
tumhari hassi, humari ibaadat rahi,

naya ek jahaan mil gaya tumhein,
nacheez ko sukun kabhi mila na hamein,
ek naye gam se mujhe tardpaane aao,
aao mere dil ke mehmaan aao,

aao, ki mera kuch samaan baaki hai,
lautane hi sahi meri jaan aao..

All Time's Favourite Posts