aao ki ab hum baith ker

aao ki ab hum baith ker, bekaar ki baatein na karein,
kya kinaaro me rakha hai, majhdaar ki baatein karein,

pyar ki baatein sabhi kerte hain, par nafrat hi faylaate rahte hain,
chalo ab andhera mita ker, hum ujaale ki baatein karein,

hain sabhi hossiyaar ab, koi na murakh raha ab,
aa gaya hai waqt ab to, ayaar ki baatein karein,

aaj pyar mohabbat ki fizaayein, bas kitaabon me hai chippi,
ab ye lagta hai ki sirf takraar ki baatein karein,

ek zindagi ki suraksha ban gayi thi jo kabhi,
hain munaasib to hum unhi sab sawalo ki baatein karein

phool paa ker phool sa, phool me bahut abhimaan hua,
gandhigiri ki baatein chord ker, ab talwaar ki baatein karein,

hum to pyaaso ke liye, paani liye daude bahut,
kya mila humko ki, kyu satkaar ki baatein karein,

dilzalle ko dawa, bharte rahe har ghaw,
ab lagta hai ki hum angaaron ki baaatein karein

woh chain se sota hai

zakham mera hai, dard mujh ko hota hai,
iss zamane me, kaun kiska hota hai,
unhe nind nahi aati, jo pyar karte hain,
par jo dil ko tordta hai, woh chain se sota hai..

ek sham bhi aapko hum bhulaa na sake

hum aapki yaadon se khud ko baccha na sake,
aur aapki mohabbat ko chupa na sake

ye bhi maalum hai ki paa na sakenge aapko,
magar umeed ke diye ko bhujha na sake,

kitni hasraat hai ki keh dun ki,
aapke bin ab hum jee nahi sakte,
magar samane kabhi aapke hum aa na sake,

aap bhi to sab jaan ker bhi anjaan bane baithe ho,
aur hum aapko apna haal-le-dil suna na sake,

laakh kosish ki dil ne, ki bhula dun aapko magar,
ek sham bhi aapko hum bhulaa na sake,
ek sham bhi aapko hum bhulaa na sake..

fursat ke lammhe jab milte hain

fursat ke lammhe jab milte hain,
aapke liye kuch likhta jarur hun,

muskaano se koi rishta to nahi hai,
phir bhi muskuraate dikhta jarur hun,

murjhaaye huye to ek aarsa bit gaya,
aapki yaadon se thoda khilata jarur hun,

jinn rashton pe kabhi aap the sath mere,
unn raashton se aaj bhi gujarta jarur hun,

kinaare baith ker ishqu ki jheel me akele,
tanhaayion ke patthar fekkta jarur hun,

waqt ke shishe se dhool saaf ker ke,
aapka chehara mohabbat ka dekhta jarur hun,

dil ki aangan me sapno ke tukaddon par,
me sabrr ka jhaadu ferrta jarur hu,

main logon se gam apna batata nahi hun,
par khud se aapki baat cherdta jarur hun,
khud se aapki baat cherdta jarur hun...

ab jeena muhaal rehta hai

mujhko to bas itna malal rehta hai,
aadmi kyun bhala pareeshan haal rehta hai,

kyun main deta hoon tujhpe itni tabajjoh yeh bata,
har ghadi bas tera fikr-au-khayal rehta hai.

log deewane hain, aashiq hain, tere muntazir hain,
jab tak husn pe rang-o-jamal rehta hai.

koi to ghum sataa raha hai usse,
aaj kal woh bada udaas – udaas rehta hai.

teri aagosh mein hi milta hai sukoon mujhe,
tujhe na dekhoon to yeh dil behaal rehta hai.

yeh mayushi yeh tanhapan har ghadi bekarari,
ya yoon kahiye ke ab jeena muhaal rehta hai.

na bhoole hain hum tumhe abhi tak

na bhoole hain hum tumhe abhi tak,
kuch rishta hamara aaj bhi hai,

aaj bhi nazrein sirf tumhein dhoondti hain,
har tarf sirf tumhari hi pukar sunti hai,

chaahat aaj bhi itna hai ki
tumhare liye kuch bhi karoonga main, 
nazrein tumhari mera aaj bhi picha karti hain
lagta hai tum yahin chupe ho kahin,

door hokkar bhi paas ho mere,
aur paas hokar bhi bahut door.

aaj bhi mann bulata hai tumhein,
aao mere paas aur wapas karo mera dil,
kasam tumhari kuch na kahunga tumhein, 


khwaahish mein judaai na maang le

koshish toh hoti hai ke teri har khwaahish poori karun "Jaana"
par darr lagta hai ke kahin tu mujhse,
khwaahish mein judaai na maang le....!!

All Time's Favourite Posts