tum chal diye

humne kuch kaha bhi nahi tha
ki tum chal diye,
darde dil bata bhi na sake the
ki tum chal diye,

itne intzaar ke baad to deedaar hua tumhara,
ki tum chal diye,
izhaare mohabbat kiya bhi na tha,
ki tum chal diye,

abhi to dum bhi na nikla tha humara
ki tum chal diye

abhi kafan bhi naseeb na hua tha
ki tum chal diye,
arthi utha bhi na tha humara
ki tum chal diye,

abhi dahan bhi na huye the hum,
ki bas tum chal diye,
haan chal hi diye.. 

yaaro ab akele hi chalna hai

usne saath chord diya, yaaro ab akele hi chalna hai,
jaise sanche mein hai yeh zindagi, us mayus saanche ko badalna hai,

beshak koi takkat aisi nahi jo tutti huye cheez jord de,
dil hamara khilona to nahi, ki jo bhi aaye tord de,

ab kisi ko mila hi kya hai. un beetey dino ko yaad karke,
koi kaise reh sakta hai, kisi ki zindagi barbaad karke,

bhool jana hai un bedard insaano ko,
mita dene hai woh zakhm aur unke nishaano ko,

hum kyu hote hain unpar nisar, jab karte nahi hamein woh yaad,
bata de mere khuda aaj mujhko, de-de jawab.. sun le fariyaad,

ab aur na tordna mere is dil ko, hakikat aur dhikawat ka faisla karne ki nazar de-de,
hamein bhi hai pyaar ki jarurat, hamein bhi thodi jahhan mein kadar dede,

usne saath chord diya yaaro ab akele hi chalna hai,
jaise sanche mein hai yeh zindagi, us mayus saanche ko badalna hai.

woh mere khawab meri khushi le gaye

woh mere khawab meri khushi le gaye,
jism rehne diya zindagi le gaye,

aaise tannha hain hum saaya tak bhi nahi,
dil ke aangan se woh roshni le gaye,

ek sapna sa tha pyar ka woh nasha,
ab jo hosh aaya to bekhudi le gaye,

aag daaman ki kaise bujhaun bhala,
mere aankhon se woh nami le gaye,

kisse kahe jhoothe mausam the woh,
dard-e-dil de gaye aashiqi le gaye.



tujhse hai pyar humein kitna roz chaand ko kehte hain

teri baatein teri wafain,
jab jab yaad karte hain,
sab kuch hum bhool jaate hain,
sannaton se bhi darte hain.

hawa aayi,
khirki pe gaye hum daud kar,
kahi tum to aa nahi gaye,
soch kar jeete hain marte hain.

raat ho jaati hai,
chaand ko dekhte hain,
tujhse hai pyar humein kitna,
roz usse kehte hain.

dil mein samayi hai chaand ki chaandni,
jo basa hai mere dil mein tasaavur tera,
har tamanna ki khamoshi khud hi sehte hain.

us bewafaa ki is mein kya khataa hai

dil ke zakhmon ki dawaa kya hai,
main poochta hoon ki hua kya hai,

jisko bhi chahein woh wafaa kare,
yeh kaun si kitaab mein likhaa hai?

waffa-e-ishq to aaye so aaye,
dard-e-ishq ka khud apna mazaa hai,

sar aankhon pe rakhun unke sitam,
yeh fareb to haseenon ki adaa hai,

kabhi toote na tera dil aye mehboob,
yahi toote huye meri dil ki sadaa hai,

shart to raaj ki thi ishq mein wafaa ki,
us bewafaa ki is mein kya khataa hai?


sochta hoon ab yeh tannha zindagi badal dalun

waqt ne har chiz badal dala,
zameen badal gayi, aasman badal gaya,

par yeh kaisa surur hai,  
jo thamne ka naam nahi leta,
nazar se bewazah unke didar ka ilzam nahi hatta,

sochta hoon ab yeh tannha zindagi badal dalun,
kar ke maut se sauda khud ko badal dalun.

ghazal pardhiye aur mera kam dekhiye,

aghaz nahi dard ka anjaam dekhiye,
meri har ghazal mein unka naam dekhiye,

aankhon ka dukh dekh kyon dard mein rahein,
iss rooh ko jo mil gaya aaram dekhiye,

kahate ho pyar mein kya mil gaya mujhe,
ghazal pardhiye meri, mera kam dekhiye,

pursokoon sare yeh din bhool jayenge,
kisse sham bheegi, meri sham dekhiye,

badal nahi sakenge ab jo mera hal hai,
main khush hoon, aap apana kaam dekhiye,

ashiq ki pooja bhi hai kuch alag-alag,
samjhenge ap gar mera salam dekhiye,

sar jhuka ke uss par yeh jal chardhayenge
jis patthar pe likha unka naam dekhiye,

apni ibadat ko aap yeh rang dejiye,
sari  duniya sa alag yeh kam dekhiye,

har patti mein radha talash kijiye,
drakht mein chipa hua shyam dekhiye.

All Time's Favourite Posts