kuch iss andaz mein raaj ko aasra de do

meri khamoshiyon ko baya de do,
bezuba ehsason ko zuba de do,
dil-aye-nada kab tak phire dar-ba-dar,
isse tum apne dil mein aashiya de do.

jhootha hi sahi milne ka guma de do,
khushi na sahi dard ka jaha de do,
na-ummid na hone de teri chahhat umr bhar,
kuch iss andaz mein raaj ko aasra de do. 

maa woh shabd hai jisme kaaynat samayi hai

maa woh shabd hai jisme kaaynat samayi hai,
jiski kokh mein suru hua tha zindagi ka safar,
jiski godh mein kholi thi aankhein pehli baar,
jiski nazaron se hi duniya ko dekha tha, jaana tha,
jiski ungaliyan pakkd kar chalna sikha tha pehli baar.

ussi ne hamari khud ke karayi thi pehchaan,
duniya ka samana karna bhi ussi ne sikhaya,
janam se hi dard se shuru hua tha rishta hamara,
shayed har dard pe isleye nikalta hai shabd maa har baar.

maa ki zindagi hoti hai bachhe mein samayi,
par bade hote hi door ho jati hai raahe uski zindagi ki,
bhula deta hai iss shabd ki ehmiyat apni byastata mein kahi,
phir achhanak kahi se sunayi deti hai aawaz maa,
aakhein bhar aati hai bas dhaar dhaar.

maa ka karz nahi chukka sakta kabhi koi iss duniya mein,
bhagwan se bhi bada hai maa ka darza iss duniya mein,
na hoti woh to na basta yeh sansar kabhi,
na hogi woh to bhi khatam ho jaayega sansar yeh sabhi.

kehta hai isleye raaj.. jaago abhi bhi waqt hai,
na karo sharm-saar apni jannani ko,
na karo atyachhar aurrat ke astitwa par
na maaro beti ke ansh ko yun har baar,

nahi to ek din tarash jaayega maa ke ehsaas ko hi yeh sara sansar,
kyuki maa woh shabd hai jisme kayanat samayi hai...



मां वो शब्द है जिसमे कायनात समाई है…
जिसकी कोख मे शुरु हुआ था जिन्दगी का सफर,
जिसकी गोद मे खोली थी आखें पहली बार,
जिसकी नजरो से ही दुनिया को देखा था, जाना था,
जिसकी उन्गलियां पकड कर चलना सीखा था पहली बार !!

उसी ने हमारी खुद से करायी थी पेह्चान,
दुनिया का समना करना भी उसी ने सिखाया,
जनम से ही दर्द से शुरु हुआ था रिश्ता हमारा,
शायद हर दर्द पे ईसीलिये निकलता है शब्द मां हर बार !!

मां की जिन्दगी होती है उसके बच्चे मे समायी,
पर बडे होते ही दूर हो जाती है राहे उसकी जिन्दगी की,
भुला देता है इस शब्द की एहमियत अपनी व्यस्तता मे कही,
फिर अचानक कही से सुनाई देती है आवाज मां,
आखें भर आती है बस धार धार !!

मां का कर्ज नही चुका सकता कभी कोई इस दुनिया मे,
भगवान से भी बडा है मां क दर्जा इस दुनिया मे,
ना होती वो तो ना बसता ये सन्सार कभी,
ना होगी वो तो भी खत्म हो जाएगा सन्सार ये सभी !!

कहता है इसलिए राज .. जागो अब भी वक्त है,
ना करो शर्मसार अपनी जननी को,
ना करो अत्याचार औरत के अस्तित्व पर,
न मारो बेटी के अन्श को यु हर बार.

नही तो इक दिन तरस जाएगा मां के एह्सास को ही ये सारा सन्सार !!
क्योकि मां वो शब्द है जिसमे कायनात समाई है…

aye monika

tute khawabon ko pairo tale
raundhte chale jaa rahe hain,
khud se aapne kadmon ke
nishan saaja rahe hain,

kya sawal karein zindagi se,
kya aab bhi paheliya bujhate rahe,
teri bandgi mein aye monika,
khud ko jalate jaa rahe hain,

aab kya kare umeed ki
iss kali raat ke baad ujaala hoga,
chand khushiyo ke sahare,
kafan aapna bana rahe hain.

chord gaye woh humein tannha jaate jaate

kya tha mera kasoor, mujhe bata kar to jaate,
koi kahani logo ko suna ke to jaate.

maine socha mera dil tum lautta ke jaaoge,
jaan bhi liye jaa rahe ho jaate jaate.

kitne spane dekhe jinke khaatir,
chord gaye woh humein tannha jaate jaate.

if you love me then take me back

I am told to say that's when I leave
it's not about what I want but what I need,

I need to know
I just got to hear you say that you don't love,
things are different don't deny
look at me now don't tell me lies,

your feelings are gone
you don't feel the same as before,
tell me to my face that
you don't love me anymore.

if you say there is someone else,
 just let me know,
if you want me gone, I will just go.

if you love me then quit the act
if you love me then take me back.

dil mein meri yehi aas hai

dil mein apne, jagah teri banayi kuch khaas hai,
rahe door kitna bhi, sang mere tera ehsaas hai,

chaahe aankhein humari khuli ho yaa band,
har pal har jagah, paaya tumhe dil ke paas hai,

ho bhi gaye ghadi bhar ko hum ek dooje se juda,
par humare dil mein, tumhari jagah hamesha khaas hai,

har pal main maangoon dua khushiyon ki teri,
muskurata tujhe dekhoon harpal, dil mein yehi aas hai.

aapke dil mein yaad banke aaunga

jeevan mein aapke zindagi banke aaunga,
dil mein tumhari dhardkan banke aaunga.

mujhe bhulne ki bhool mat karna,
unhi bhulo mein main hi yaad banke aaunga.

aankho mein na rakhna itni nafrat unhi,
aankho mein main aanshu banke aaunga.

mana ki aap hum se door ho par,
main hi aapke milan ka swapna banke aaunga.

agar mujhe bhulne ki koshish karoge to,
sari koshish na kaam hongi,

jab main yeh duniya chhord ke jaunga,
tab aapke dil mein yaad banke aaunga. 

All Time's Favourite Posts