jab bhi aankhein band karoon, bas tumhein dekha karoon

aarzoo dil mein hai kya, kya kahoon
gar waqt tham jaaye to bas tumhein dekhta rahoon,
tumhaare aks ko apne wajood mein aise shaamil kar loon,
jab bhi aankhein band karoon, bas tumhein dekha karoon.

nigaahon ke darmyaan yeh khaamosh silsilay rahein.
hothon pe tabassum ke phool aise hi khile rahein,
aur in phoolon ki khushboo se main youn hi mehka karoon,
tumhaare aks ko apne wajood mein aise shaamil kar loon,
jab bhi aankhein band karoon, bas tumhein dekha karoon.

ungliyaan aanchal sambhaale youn hi ulajhti rahein,
hawaaon ko choomkar zulfein aise hi sulajhta 
rahein,
aise hi main bhi ulajh kar suljhaa karoon,
tumhaare aks ko apne wajood mein aise shaamil kar loon,
jab bhi aankhein band karoon, bas tumhein dekha karoon.

dhardkano ki bekaraari aise hi rukh par bikharti rahe,
rukhsaar par chandni pal pal nikharti rahe,
aarzoo hai ki is roshni se main bhi raushan rahoon, 
tumhaare aks ko apne wajood mein aise shaamil kar loon,
jab bhi aankhein band karoon, bas tumhein dekha karoon. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts