aksar zindgi ke safar mein tanhaaiyan hi saath hoti hain

dard dene wali ummeedon se
kyun ummeed lagaate ho,
suhaane khwaab intezaar mein hain,
aye nigaahon kyun raat aankhon mein bitaate ho.

tumhaari aankhoon se jo tapakate hain
ek patthar ke intezaar mein,
woh nami khoobsurti hai in aankhoon ki,
unhein kyon bedardi se lutaate ho.

chaand bhi tannha hai safar mein,
chaandni to kabhi kabhi saath hoti hai,
kis sangdil se aas lagaae phirte ho.

aksar zindgi ke safar mein,
tanhaaiyan hi saath hoti hain,
himmat karo kuch or aage bardho,
aage ek sheetal nadi bhi aayegi,
jee bhar ke bujhaana pyas apni,
woh safar ki raah bhi dikhayegi.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts