scars remain with pain inside

scars remain with pain inside,
my heart holds hurt that I cannot hide,

bruised and broken, torn and tattered,
a world I once knew has been shattered,

I reach out to you, and you push me away,
I try to explain it, but you laugh it away,

so what more can I say? what more can I do?
nothing will ever be good enough for you,
so why do I try?

mayus hain dil, jaane kaun sa gham hai

khamosh hai jubaan, dhadkane maddham hai,
mayus hain dil, jaane kaun sa gham hai.

door tak nishaan nahi kisi ke paas hone ka,
har taraf faila tannhai ka mausam hai.

door ja kar bhi hum bhool na paaye tujhko,
itne gehre teri yaadon ke zakham hain.

do pal thehar jaa mere saath aye dost,
meri dil ki mitti abhi tak nam hai.

khamosh hai jubaan, dhadkane maddham hai,
mayus hai dil, jaane kaun sa gham hai.

kya karoon jatan apni bewaf-e-saanso ka,
bhoj si zindagi jin saano ka reham hai.

do phool leke woh ayenge aanshu bahane,
meri samadhi ko aaj tak yeh weham hai.

maut ke baad bhi teri yaad aati rahi humko,
badnasibi hai meri ya mohabbat ka karam hai.

jeete ji to so na sake kabhi chain ki neend,
aur marne ke baad yeh ajeeb sitam hai.

dil keh raha hai ab tumse meri judai hogi

dil keh raha hai ab tumse meri judai hogi,
baad tere iss shaher mein yakinan meri ruswai hogi.

uthti huyi nigaho se kayi sawaal jagenge,
khamoshi par meri kaise dekhana jagg-hasayi hogi.

begairat hain log yaha, haal-e-dil koi na samjhega,
issi liye sita ji.. shayad dharti mein samayi hogi.

na hujum hai logo ka na bana saka dost koi,
veeraan si iss basti mein mujhe sada kisne lagayi hogi.

bacha jism-o-zahen nahi phir mann mein kyu chain nahi,
shayad dasta meri kamsin kisi ke labo pe aayi hogi.

I don’t want to remember

I don’t want to remember,
I can’t take the pain,
I can handle knowing your not with me,
I have learned to like the rain.

but the memories of life we shared,
that come crashing through my mind,
and without you here to be with me,
these memories are unkind.

I don’t want to remember,
just how you stole my heart.
or the promise that we both had shared
of “never do us part.”

I can’t bare the loss of your sweet touch,
across my burning skin,
or how we had planned once upon a time,
the child that could have been.

why did you have to go from here,
and leave me all alone?
I’m cursed or damned beyond belief,
and my life has turned to stone.

I wept at your side when you left,
I wept as dirty was thrown,
I still weep in the night,
wishing you could come back home.

don’t want to remember,
I can’t take this pain,
I don’t want to remember,
just leave me with the rain.
that I am still missing you.
I don’t want to remember.
but i do…

yaad aate hain woh pyar bhare din

tapke jab ek-ek boond ashmaan se,
girte hain aanshun mere madham-madham se.

yaad aate hain woh pyar bhare din,
jab muskurate hue kat-te the mere din.

ab chha gayi hai udaasi kuch iss tarah mujhpe,
khushiyan bhi chhedh jaati hain dhoke se mujhe.

jaaoon to kahaan jaaoon tere bin main,
bhatak raha hoon zinda laash ki tarah main.

khaali hai dil, na ismein jaga rahi kissi aur ki,
zindagi se chali gayi tu, mohobbat laut kar hi na aayi.

someday I'll be somebody

I try so hard to make you happy,
but nothing seems to work.

I do my best to find ways to love you,
but nothing seems to have worked.

I give you my time in hopes that you will return the favor,
but all I get is criticism and disappointment.

I am trying to be positive, but you keep being negative.

I don’t know how much more of this I can take
before I break or run away.

I know your life isn’t perfect and neither is mine,
so why do you put others down all the time?

is it a game to you that you are trying to win?
don’t you know you ar
e going to lose it all in the end?

I can feel myself drowning in a pool of self doubt,
wondering how it’s all going to end,

God knows I don’t have a lot of money to spend,
but when I find an open door and ‘earn’ my wings,

I am going to soar!

and once I am gone, I am not coming back, 
I just want you to know that.

there’s a time for everything and when it’s my time, 
I am going to go.

I am going to take the dice and let it roll,
and leave the rest in God’s control.

someday I'll be somebody and I'll make a difference,
just you wait and see..

tere khayal teri baatein, kati jinmein humne lambi raatein

tere khayal teri baatein,
kati jinmein humne lambi raatein,
kabhi muskuraye kabhi roye
tere khayal teri baatein, 

woh muskurana tumhara aur
khamosh labo se izhaar-e-mohabbat,
woh aankhon se jhalakta pyar aur
dil mein chupa hua ikraar-e-wafa tumhara,

woh tumhari kahi ankahi hazaaron baatein aur
zikr-e- guftugu gairon ka,
woh nakamyaab koshish meri tumse door jaane ki aur
phir saamne mere nazrana tumhare pyar ka,


woh meri khamosh mohabbat pe karam aur
rehna sada mere hum-kadam tumhara

woh milna tumhara aur kehna 
alvida-phir milenge,
woh andaaz-e-bayan tumhare pyar ka
tere khayal teri baatein,
kati jinmein humne lambi raatein.


na fikr karte hain na khayal karte hain

na fikr karte hain na khayal karte hain,
phir kehte hain ki tumse pyar karte hain,

kya fayda hai iss jhuti mohabbat ka,
jiski wajah se hum din-raat marte hain.

aaj tak iss baat ko nahi samajh paya monika

fasla itna badane ki zaroorat kya thi,
tujhe mujh se rooth kar jaane ki zaroorat kya thi,

ab jo mujh se rooth kar udaas rehti ho,
apna haath mere haath se chudane ki zaroorat kya thi,

duniya kab kisi ke gham ko apna gham samajhti hai,
tujhe apna gham duniya ko dikhane ki zarurat kya thi,

main aaj tak iss baat ko nahi samajh paya monika,
jab sath tumhare main tha to tum ko zamane ki zaroorat kya thi.

kabhi khud bhi un kayada-kanoon pe amal karo to jaane

pyar pe lagane wale pabandiya,
dhadkanon pe lagao pehre to jaane,
saanson ko bandh sako shayad kabhi,
mout pe lagao pehre to jaane,

katre-katre ko tarsti zindagi,
bhukhe bilakhte masoomon,
pe barsatein hain jo kehar,
safed libason mein chipe unn,
kaale cheharon ko karo benakab to jaane,

band kamron mein baithkar,
banate ho kayada-kanoon,
kabhi khud bhi un pe amal karo to jaane.

kehta hai dil bhool jaa usse

kehta hai dil bhool jaa usse,
woh tere pyaar ke kaabil hi nahi,
phir kyon uski yaad mein
aankh se yeh anshoon behte hain?

mat kar yaad usse
woh teri yaad ke kaabil hi nahi,
phir kyon usse bhool pane
ke jazbaat hi iss dil mein nahi?

koshish to karta hoon
har lammha usse doour jaane ki,
phir kyon yeh kadam nahi uthte
usse chord ke jaane ke liye?

aye khuda suna tha
pyaar mein bichad ke log jee nahi sakte,
phir kyon nahi phat rahi aaj
yeh zameen mujhe samane ke liye?

zindagi tera pichha bahot door tak kiya

zindagi tera pichha bahot door tak kiya,
ab so jaun main kaise tujhse muh mord kar,

jisne chaha tha mujhe kabhi tut kar,
aaj jaa rahe hain woh mujhe tord kar,

humein to tanhaiyon ki aadat daalni hi hogi,
khush rehna tum sada kisi aur se naata jord kar,

raat ke andheron mein jab dil ghabrata hai,
soo jaate hain hum teri yaadein ordh kar,

jinke liye chhord aaye the hum yeh duniya,
dekho aaj woh chale hain humein chhord kar.

ek baar hi sahi phir se aa jaa tu

kuch to jhooti hi tassali de jaa mujhe,
aaja ek baar phir chahe chord jaa mujhe,
mein hi naadan hoon yahi maan le tu,
ek baar hi sahi phir daat kar hi samjha jaa mujhe.

tu aayegi to laut aayegi jaise saari khushiya meri,
phir se bikhari zindagi sambhal jaayegi meri,
phir wahi khushiyon bhare pal dohra jaa tu,
ek baar hi sahi phir se aa jaa tu.

na ruthunga phir kabhi na phir tujhe sataunga,
sab kuch mein hass kar maan jaaunga,
tu gayi hai to jaise lut gaya dil ka karar hai,
ek baar hi sahi phir wahi pyaar dohraa jaa tu.

kash tujhse ek baar phir mil paate

kash tujhse ek baar phir mil paate,
dil ke zakham kuch palo ko sil jaate,

dekhte teri ankhon mein phir apna chehra,
teri bahon mein phir se simat jaate,

khayalon ko hakikat ka aaina de paate,
khawabo ko kuch palon ke liye jee jaate,

bichardte kaise phir hum tujhse aye sanam,
yahi soch kar the kadam mere ruk jaate,

kash tujhse ek baar phir mil paate,
dil ke zakham kuch palo ko sil jaate.

friendship

friendship is like standing on the wet cement,
longer you stay harder it is to leave.

and if you try to go,
you can’t go without leaving your footprint!

dua hai tera chehara jald hi dikh jaaye

mujhe har waqt tera hi khayaal rehta hai,
tu aaye naa aaye dil ko intezaar rehta hai,
main tujh se nafrat bhi karna chahoon magar,
dil mein har dam tera hi pyaar rehta hai.

dil mein teri aas, teri pyaas hai,
isiliye to dil baikaraar rehta hai,
main kisi aur se mohabbat karne lagoon,
dil mein iss baat ke liye inkaar rehta hai.

dua hai tera chehara jald hi dikh jaaye,
dil auroan ke chehroan se baizaar rehta hai,
main tujhe yaad karta rehta hoon,
dil mein teri yaadon ka bazaar rehta hai.

tu mujhe milegi zaroor,
yehi khayaal na jaane kyun har baar rehta hai.

duniya tujhe baiwafa samajhti hai,
isiliye duniya se mera takraar rehta hai,
meri aankhoan mein teri tasveer ho jaise,
aankhon mein har dam tera khumaar rehta hai.

All Time's Favourite Posts