mera kya hoga ab hum kaha jayenge

socha bhi na tha aisa lamhon ka samana hoga,
manzil to samane hogi par rasta na hoga,

huyi humse yeh nadani ki teri mehfil mein aa baithe,
ho ke zameen ki khakh, aasman se dil laga baithe,

aap to khushbu hain hawao mein bhikhare jayenge
mera kya hoga ab hum kaha jayenge,

maine socha tha ki ek zakham hai jo bhar jayega,
par kya pata tha ki yeh zakham-e-ishq nas nas mein uthar jayega.

dard ki sarhad kaha tak hai yehi samjha raha hoon

dard jo tumne kabhi mujhko diya, le jaa raha hoon,
dard ki sarhad kaha tak hai, yehi samjha raha 
hoon,

teri yaadon ke ghane jungal mein khud ko paa raha 
hoon,
chupke se ek lamhe se khud ko aaj main behla raha 
hoon,

tu kabhi meri na thi janta tha humsafar,
magar main ab tak tere hi aks ko dhohara raha hoon,

dil ko mere ye guman ki ek shaks hai ab bhi mera,
tere haathon ki chuan mathe pe apne paa raha hoon,

mudaton tak beth kar jis guthi ko suljha raha tha,
aaj jab suljhi jara si phir usse uljha raha hoon.

chalo ab dhundhe koi naya sitam

chalo zikr kare kuch aaj naya
aao cherde koi nayi sargam,
ulfat-e-yaar to uthaya bahot
chalo ab dhundhe koi naya sitam.

yeh mohabbat to hai har koi
sab hi ne thokar khayi hai,
kya rakha hai in nasuro mein
in ka nahi kahi koi marham.

maana ye naya zamana hai
par silsila to wahi purana hai,
jab cherdi hai baazi ishq ki
to hass hass ke sehne honge zakham.

be-matlab kuch bhi hota nahi
kismat ke aage kuch chalta nahi,
phir kyu yeh dil bechain hai
ho kis kashmakash mein aye humdum.

dekho in mehki bahaaro ko,
kudrat ke haseen nazaro ko,
sabhi maange hai tum se hassi,
chahe phir woh ho madham madham.

kyon aakhir kyon tujhe bhula naa sakein

sanjoye the kuch khwaab hum dono ne milke
kyon unhein haqekat ka roop de naa sakein,

band aankhon mein teri hi yaadein hain basi,
kyon hum phir raat ko chain se soo naa 
sakein, 

khilti thi duniya meri teri hi muskaan se
kyon bin tere sanam hum muskara naa 
sakein, 

laakh chaha kisi aur ko dil mein basana,
kyon hum tumhein apne dil se hata naa 
sakein, 

yun to rehte hain hum ek dooje ke dil main sanam
kyon paas chah ke bhi ek dooje ke kareeb aa na 
sakein, 

manaya dil ko hazar baar ki tujhe yaad naa kare,
kyon aur kisi pe phir hum hakh jata naa 
sakein, 

kyon aakhir kyon tujhe bhula naa 
sakein?

tannha hai dil mera pareshaan nahi hai

tujhe milker tujhe bhulana aasaan nahi hai,
tannha hai dil mera pareshaan nahi hai.

ek ajab si kashish hai jo teri aur liye jaati hai,
teri khaamoshi bhi ek ajnabi sa shor kiye jaati hai,

mulakaat ki jarurat hai mujhe aaraam nahi hai,
tannha hai dil mera pareshaan nahi hai.

tujhe apni raahon mein paaker zindagi muskuraane lagi hai,
jab se tu reh reh ker humein yaad aane lagi hai,

meri mohabbat ka ye sahar sanam gumnaam nahi hai,
tannha hai ye dil mera pareshaan nahi hai.




once again I am all alone

walking alone in the empty streets
you are on my mind and thoughts surround me

the way you walked through all my good times and bad
your love had changed my life completely

but now I am all alone without you
my life seems so incomplete

and my heart seems so empty
I cannot get you off my mind

I can never forget you
and go on with my life

now that you are not with me
I have no desire
no one to care for,

I have nothing to fear
nothing to wish for,


once again I am all alone
thinking about your wonderful thoughts and memories
and they are the only one’s which keep me alive.

teri raah taakte rahein monika

saathi tujhe paaya maine, pake tujhe khooya maine,
dhoop aur chaanv ki kitne rangon ko apnaaya maine,

saathi tujhse paaye khushi aur laakhon gumon ki kasam,
apne lafzon mein tere hi sukhan ko basaayaa maine,

tujhe dhardkano mein basaakar, khud se itna pyaar kiya,
ehsaason ko mala banakar, har moti ko chamkaaya maine,

tere mithe baaton mein khokar khud ko bhoola baitha main,
jag se hua main rusawaa, aisa dhokha khaaya maine,

teri raah taakte rahein monika, tute dil ko sambhaale huye,
aaa gayi aaakhri ghardi abb to itnaa intezaar kiya maine. 

main teri zandgi ke is safar mein ek musaafir hoon

sar-e-bazaar bikati hai, jahan mein zindagi kitni,
yahan ab maut hai mehngi, aur hai zinadgi sasti,

ek jal-jale mein mit gayi sari bulandiyan,
nishan baki hai ab to bas, jahan par thi kabhi basti,

meri ab umar hi kya hai, ashk hoon teri aankhon ka,
palak se tum giraa doge, khatm hogi meri hasti,

main teri zandgi ke is safar mein ek musaafir hoon,
gar kuch door sath le-le, naa doobegi teri kasti.

kis taraf tune yeh meri zindagi mord di

saath dene ki tune har kasam tord di,
dosti ki tune har rasm tord di,
mujhe to ab tak hua na yakin aye dost,
kis taraf tune yeh meri zindagi mord di.

thinking of you

thinking of you..
I just went outside and looked up at the stars above,
asking god how am I gonna make it without my love.

I prayed for him to bring you back to me
that sweet smile I long to see
for it has seemed like years you have been gone
it’s so hard to wake up in the mornings alone.

however when I wake up you are the first thing on my mind
our love is so true, rare and one of a kind.

I hate it that you have to be over there
but always know that I care.

I know it wont be long until you are here
and no longer will my eyes shed a tear.

I cant wait to start our life together
because I know that we will be together forever..

however until that day you will constantly be on my mind
and we can put all of the hard times behind…

kaho ek din tum laut aaoge

jhuki hain ab meri nazrein,
tumhe jo yaad kerti hain,
baharein laut aaye hain,
kaho ek din tum laut aaoge.

woh sari teri perchaiyan,
tasawar ki woh tanhaiyan,
jo aankhon se barasti hain,
kaho sab chord aaoge,
kaho ek din tum laut aaoge.


yeh intezaar ki intehan hum par,
pholon ka hai eeman tum par,
mohabbat ek din mera lautaoge,
kaho ek din tum laut aaoge.

kyun nazrein teri pyasi hain,
kaho kis ko talastein hain,
hakiqat ban ke kisi din tum,
khawabon ko ko sach ker jaaoge,
kaho ek din tum laut aaoge. 

pyar ishq mohabbat sab sirf dikhawat hai

aaj phir tujhse milne ki chatpatahat hai,
hawa mein jo faiyli dard ki sarsarahat hai.

hum yahan dard mein til til marr rahe hain,
uske labon pe khil rahi muskurahat hai.

main to tumhe kab ka apna bana chuka hota,
par main tera pyaar nahi so hichkichahat hai,

aaj bhi kyun dil mera machal uthta hai,
jab bhi hoti teri koi bhi aahat hai.

main to bas yahi kehta hoon ki,
pyar, ishq, mohabbat sab sirf dikhawat hai.

na khud ko rokk paaye na tum ko rokk paaye

na khud ko rokk paaye na tum ko rokk paaye,
behte chale gaye hum pyaar ke safar mein,

koi dikha na humko saaya, na gul, na khushboo,
kuch is tarah se doobe hum aap ki fiker mein,

toofaan utth rahe the dono ke dil mein lekin,
darmiyaan na utth saki koi deewar bhi jigar mein,

madhosh ho ke bhi gam hain zamane bhar se,
enaam yehi mili humein pyaar ke kaser mein

phir ek baar mera dil dukha jaa dilber

dil udas hai
mere paas aaja dilber,
phir na ruthoonga kabhi
pass toh mere aaja dilber.

din ko hansta hoon
raat ko ghabrata hoon,
tu meri raat ke veerane
mein samajha dilber.

jab bhi yaad aati hai
to tannhai mein roo leta hoon,
aake tu ek baar meri
tannhai mita jaa dilber.

buhat deir huyi hai
dil pe sitam dhaye huye,
phir ek baar mera dil
tu aa ke dukha jaa dilber.

yeh dil bhi kya cheez hai

yeh dil bhi kya cheez hai, jo kisi ke bas mein nahi,
ek baar kahi lag jaye to, dusari baar kahi lagta nahi,

yeh mohabbat bhi aisi hai, jo har kisi ko milti nahi,
agar mili bhi kisi ko to, zindagi bhar tikti nahi,

khair khuda ka yeh faisla, main to badal sakta nahi,
lekin iss kadwe sach ke sahare, main jee bhi sakta nahi.

All Time's Favourite Posts