main teri zandgi ke is safar mein ek musaafir hoon

sar-e-bazaar bikati hai, jahan mein zindagi kitni,
yahan ab maut hai mehngi, aur hai zinadgi sasti,

ek jal-jale mein mit gayi sari bulandiyan,
nishan baki hai ab to bas, jahan par thi kabhi basti,

meri ab umar hi kya hai, ashk hoon teri aankhon ka,
palak se tum giraa doge, khatm hogi meri hasti,

main teri zandgi ke is safar mein ek musaafir hoon,
gar kuch door sath le-le, naa doobegi teri kasti.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts