chalo ab dhundhe koi naya sitam

chalo zikr kare kuch aaj naya
aao cherde koi nayi sargam,
ulfat-e-yaar to uthaya bahot
chalo ab dhundhe koi naya sitam.

yeh mohabbat to hai har koi
sab hi ne thokar khayi hai,
kya rakha hai in nasuro mein
in ka nahi kahi koi marham.

maana ye naya zamana hai
par silsila to wahi purana hai,
jab cherdi hai baazi ishq ki
to hass hass ke sehne honge zakham.

be-matlab kuch bhi hota nahi
kismat ke aage kuch chalta nahi,
phir kyu yeh dil bechain hai
ho kis kashmakash mein aye humdum.

dekho in mehki bahaaro ko,
kudrat ke haseen nazaro ko,
sabhi maange hai tum se hassi,
chahe phir woh ho madham madham.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts