karta raha besabri se kal uska intezaar main

mujhe pata nahi kya jurm tha mera kal,
karta raha besabri se kal uska intezaar main,

har lamha chubh raha tha kanto ki tarha,
ek dard chhalak raha tha meri in nazar me,

ummid thi ek ki aayegi woh jarur wapas,
ek deedar ke liye ho gaya tha bekarar main,

wajud nahi hai mera kuch usske bagair,
uske bina main kho jaunga is duniya ki bhird mein.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts