kaha kab maine, kabhi ki kuch baat to tumse ho,
zindagi mein ujale na sahi, to yeh raat tumse ho.
suna hai aakhri khwahish ka ab bhi riwaaz hai,
koi le chale wahaan ki ek mulaqaat tumse ho.
ab iss banzar dil ko ek katra bhi haasil nahi,
phir bhi duaa hai rab se, ho to barsaat tumse ho.
na chale kalam khudaya agar uska zikr na aaye,
ek alfaaz bhi likhna chahun to jazbaat tumse ho.
tauba hai rab ki jo kahi aur sar ko jhukaya ho,
phir bhi yahi ek chahat hai ki meri maat tumse ho.
mera nishaan tak duniyaa se mitta dena magar,
kabhi yaad kare koi to meri har baat tumse ho

No comments:
Post a Comment