ek pal bhi tu door jaaye to tannhai tardpa jaati hai

teri aawaz sunta hun to,
jaan mein meri jaan aati hai,
ek pal bhi tu door jaaye to,
tannhai tardpa jaati hai.

kaise sunaun hall-e-dil tujhe,
kaise karu izhaar,
maine to har raat teri hi,
deewani baataon mein kaati hai,

teri tasveer kaash kar paati,
mujhse do baatein,
seene se laga leta,
jab teri yaad aati hai,

tujhe soch kar din raat,
dil mera lubhati hai,
teri tasveer bhi jaane,
kya kya keh jaati hai.

khwaish roz karta hun,
phir thaamta hun dil apna,
yeh khwaishen bas ab meri,
bachi huyi jaan liye jaati hai.

tujhse milne ki tammana,
aur paane ki dua hai meri,
teri har baat dil pe asar karti hai,
yeh tujhe mujh par meharbaan ker jaati hai.

tere pyar ka hi aalum hai har jagaah,
yeh aankhein har taarf tujhe paati hai,

bassi hai dil mein.. ruh mein..
meri tu hi sanam,
bas ab to har raat chaand ko dekh,
teri baaton mein hi maine kaati hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts