kudiyan aafat ki pudiyan

kudiyan yeh aajkal ki kudiyan,
pudiyan yeh aafatt ki pudiyan,
humare dil ki yeh raaniyan,
karti hai yeh apni manmaaniyan,
rakha hai humne innhe palkhon pe,
dil kuchal deti hai apne pairon se,
kudiyan yeh aafat ki pudiyan.

chain hai inn ne humara cheena,
mushkil kar diya abb humara jeena,
raaton ko sapno mein yeh aaye,
chupa chupi khel humko sataaye, 

milne ke liye jab kabhi hain bulati,
inteezar yeh humme ghanto hain karati,
late ho jaao agar tum do ghadi,
angaarein bann hum pe hain baraasti,
kudiyan yeh aajkal ki kudiyan,
pudiyan yeh aafat ki pudiyan.

kaho unse phoolon si nazook ho tum,
kahe.. phool nahi laye kitne fool ho tum,
chamkte moti si hain aankhein tumhari,
haar nahi laye, ab nahi main tumhari,

keh do agar ho khoobsurat tum kitni,
kahe..  jaao-jaao tum keh rahe ho yunhi,
na karo agar tum taaref inki
kahe koi aur hai tumhe mil gayi,
kudiyan yeh aajkal ki kudiyan,
pudiyan yeh aafat ki pudiyan.

dekh lo agar kisi ko murdh ke,
hazar sawalon ke jawab do inke,
hai inko humse pyaar bahut jaada,
magar nakhre karti hai bahut jaada,

pal bhir na reh sake bina humare,
door jaao to aanshun yeh bahaye,
aao jo tum laut kar phir paas iinke,
kahe ab tumhari hume jaroorat nahi,

jee nahi sakte hum innke bin,
hai adhoori zindagi innke bin,
har nakhre innke humm seh lenge,
ekk baar ab tu gale laga le, 
na kahenge kudiyan aafat ki pudiyan.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts