lipat kar tujh se rehta hai meri pyasi nigahon par,
hamesha hansta rehta hai kabhi udataa hawaaon mein,
simatta teri bahon mein kabhi kandhe pe bekabo,
sirakata firata rehta hai tere kaanon mein kehta kuch,
ya sine se laga rehata teri dhadkan ko gin-gin kar,
yeh uthata-girata rehta hai kabhi teri kamar iski,
girafton mein bandhi rehati kabhi yeh peth par,
khisakata khinchata rehta hai kabhi paunche pasine ko,
kabhi dhakata hai soorat ko kabhi gaalon ko chona hai,
kabhi munh lag ke rehta hai kabhi kalin ban jaata,
kabhi godi mein sota hai tere haathon ko sehlaata,
satata mujh ko rehta hai isse sar na chadhao tum,
dupatta hai mera dushman hamare darmiyan har dam,
kyon yeh besharm rehta hai, hamesa tumhare sang.

No comments:
Post a Comment