humein apna bana lena

zindagi ki rahon mein chala ja raha hun,
manzil ko talashne ki koshish kiye ja raha hun,

aapka sath hota hai ta lagta hai manzil ko pa lunga,
anjane rahoo par har gam ko muskurakar seh lunga;

inn rahoo par mujhe akela chord na dena,
mujhse nazre pher na lena,

aapka sath nahi hoga ta humare pas,
humara khawaab na  hoga,

bin khawaab ke hum ji nahi payege,
bin aapke hum mar bhi nahi payege,

aisi zindagi se humein baccha lena,
khuda ke liye hi sahi humein apna bana lena.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts