pyaar ka yeh ehsaas

pyaar ka yeh ehsaas, pyaar se bhi pyara hai,
dekhiye ji pyaar mera, pyaar se bhi pyaara hai,

na raha koi kaabu in par, na koi sahaara hai,
dil, jaan, aur jigar, sab kuch to tumhara hai,

milna humara taye raha, waqt ka ishaara hai,
hua bahot ab intezaar, aur nahi ganwara hai,

poora hone ko din aaye, sapna jo sanwaara hai,
har taraf meri jaan, ab tera hi nazaara hai,

mayoos thi kabhi pari, chamka kismat ka taara hai,
khushiyon se bhari zindagi, ananthpak humara hai.

humein apna bana lena

zindagi ki rahon mein chala ja raha hun,
manzil ko talashne ki koshish kiye ja raha hun,

aapka sath hota hai ta lagta hai manzil ko pa lunga,
anjane rahoo par har gam ko muskurakar seh lunga;

inn rahoo par mujhe akela chord na dena,
mujhse nazre pher na lena,

aapka sath nahi hoga ta humare pas,
humara khawaab na  hoga,

bin khawaab ke hum ji nahi payege,
bin aapke hum mar bhi nahi payege,

aisi zindagi se humein baccha lena,
khuda ke liye hi sahi humein apna bana lena.

whenever I sit alone and close my eyes

whenever I sit all alone, 
I close my eyes and I see you,
you are there in my mind always, 

and always I am with you.

I could feel your heart beats, 
beating in my ears
that soft music is the most beautiful thing,

I have ever hearing in all these years,
I could hear you calling me from somewhere,

and then I open my eyes, I search for you

whole of my room, as I feel you at my side
what feelings I undergo are just unexplanable.

all I know is how much ever I try,
you are just unforgetable.

why are we so far away?

why are there so call distances?
why can't I fly to you and reach you?

why do I have to stay in limits?

all I know is your love is more important than anything
and you mean whole world to me.

if you ever plan to leave me just think twice
my heart will break and I won't survive.

its even hard to imagine a life without you

and to live it is just impossible,
as all I know is I won't have a reason to live,

won't have a reason to survive.

so let me tell you one truth and that is, 

what I have always wanted to say that,
I love you very much and 

in my heart you will always stay.

mere mehboob mujhe chord na jaana

kuch waade hain, kuch rashmein hain,
mohabbat ki yehi rashmein hain,
nibhana inko tord na jaana,
mere mehboob mujhe chord na jaana.

aakar teri bahoon mein, duniya lagti hai pyaari,
iss khushi ki khatir chord doon duniya saari,
tum mujhse muh mord na jaana,
mere mehboob mujhe chord na jaana.

khushiyaan daaman mein sametkar,
gum se hua hoon anjana,
tere aanchal ki chaun mein,
iss jahaan ko hai thukrana,
rishta gum se jord na jaana,
mere mehboob mujhe chord na jaana.

kuch dil mein armaan hain hamare,
aap iss dil mein mehmaan hain hamare,
is dil ko tord na jaana,
mere mehboob mujhe chord na jaana.


aise mein kaho tum mere ho

rishto ki sargam gaati ho,
main diya tum meri baati ho,
ghar ek paawan mandir ho,
aise mein kaho tum mere ho. 

har tayohaar mein dil milta ho,
sangi sathion ka sung silsilla ho,
jeevan pancham soor gaata ho,
aise mein kaho tum mere ho.

har mehfil ki hum shaan ho,
ek dooje mein basati jaan ho,
sukh-sampati ka sath ho,
aise mein kaho tum mere ho. 

har tera sapna mera ho,
har mera sapna tera ho,
tum mujhse kaho, main tumse kahu,
tum mere ho bas mere ho. 

kyon yeh besharm rehta hai hamesa tumhare sang

lipat kar tujh se rehta hai meri pyasi nigahon par,
hamesha hansta rehta hai kabhi udataa hawaaon mein,

simatta teri bahon mein kabhi kandhe pe bekabo,
sirakata firata rehta hai tere kaanon mein kehta kuch,

ya sine se laga rehata teri dhadkan ko gin-gin kar,
yeh uthata-girata rehta hai kabhi teri kamar iski,

girafton mein bandhi rehati kabhi yeh peth par,
khisakata khinchata rehta hai kabhi paunche pasine ko,

kabhi dhakata hai soorat ko kabhi gaalon ko chona hai,
kabhi munh lag ke rehta hai kabhi kalin ban jaata,

kabhi godi mein sota hai tere haathon ko sehlaata,
satata mujh ko rehta hai isse sar na chadhao tum,

dupatta hai mera dushman hamare darmiyan har dam,
kyon yeh besharm rehta hai, hamesa tumhare sang.

aye sang dil meri chah tujhse poori huyi

mujhko to uss shaks se mohabbat huyi,
nazar se nazar mili uss se mohabbat huyi,

dekhte hi dekhte sab ojhal ho chala,
jaane aankhon mein ye kaisi kashish huyi,

udaas bistar ki silvatein ab chubne lagi,
neend bhi ab to ye dekh hairaan huyi,

hawaa jo tujhse chhu kar aaye din-aur-raat,
dil ke har kone mein teri hi teri khushbu huyi,

kabhi palkein utha kar mujhe dekhe kabhi zameen ko,
phir dekh khud ko hayaa se wo paani paani huyi,

mujhko kas kar seene se laga le apne,
aye sang dil meri chah tujhse poori huyi.

All Time's Favourite Posts