teri bewafai ke sahare tujhe bhulana chaha

hum jaante hain aap humare ho nahi sakhte,
dono ki ek hi manzil hum bana nahi sakhte,

teri bewafai ke sahare tujhe bhulana chaha,
par dil se tujhe yeh shikwe bhi door kar nahi sakhte.

shayed kabhi kabhi tum meri kushi ki kamna bhi karti hogi,
par teri yeh duan se mere ghav to aab bhar nahi sakhte.

kismat ban chuka hai kisi aur ka pyar tere,
saath saath janmon ka saath khuda se
aab hum mang bhi nahi sakhte.

chalne ko to bohot hai saath chalne ke liye,
par tere siwa kisi aur ko chah bhi to nahi sakhte.

kabhi inmein likha huwa tumhara naam bhi dikha denge

uska koi ghum nahi ki aage ghumon ki raat hai,
chasme chiraag jala kar saari udaasi mita denge,

kuch baatein si karne lagi yeh hathon ki lakeerein,
kabhi inmein likha huwa tumhara naam bhi dikha denge,

yeh apni dooriyan bhi khud-ba-khud door ho jayegi,
jab tanhaai hote hi hum unko paas bulah lenge,

kyun poochte ho deewane se ki dono mein sahi kaun tha galat kaun,
kabhi jhaank kar tumhare aankhon mein iska hal bhi baata denge.

aye zindaagi mujhe koi fark nahi pardta

aye zindaagi suno...
mujhe fark nahi pardta
tum ek pal ke ho ya ho sau saal ke,

hogi chhoti si bayaani,
ya banegi koi lambi kahani,

ya mit jaaoge khaak banke,
ya amar hoge itihaas banke,

ya khushi se bhara har din hoga,
ya ghum ka mela laga hoga,

ya kaante hi milenge rah mein,
ya biche honge phool pyaar ke,

kya fark pardta hai in baaton se,
nahi bhaagana mujhe kisi bhi halaaton se,

bas ek hii ikchha hai meri,
jab tak raho tum sang mere,

dekh saku, pehchaan saku,
zinda-dili se jee sakoon har pal,

chaahe khushi ho ya ghum,
lard sakoon har haalat mein,

aye zindaagi suno... 
mujhe koi fark nahi pardta...

tere bewafi ka har ek lamha mujhe yaad aaya

balu par jab bhi tera naam likh kar mitaya,
tere bewafi ka har ek lamha mujhe yaad aaya,

chaand ko dekha 
jab badlon mein chup jaate,
yaad aaya tera mujh se har pal nazare chura jana,

baarish ki boondon ko jab dekha sagar se takrate,
yaad aaya tera mujh ko aanshoo de kar jana,

suraj ko jab bhi dekha dharti ko jalate,
yaad aaya tera mere dil ko jala jana,

har baat par mere hi wajood ko mita paya, 
tere bewafi ka har ek lamha mujhe yaad aaya.

kaash koi raaj phir na kho jaaye

kaash mere ek awaaz par yeh duniya dol jaaye,
abhi hai shaam, abhi subah ho jaaye,

kaash meri ek baat par saara samaa badal jaaye,
har insaan ke chehare par muskaan fail jaaye,

kaash meri ek chaah mein itna wajan ho jaaye,
adhure kore sapano mein har rang bhar jaaye,

kaash yeh duniya mere bas mein yun ho jaaye,
koshis rahegi meri koi raaj phir na kho jaaye,

kaash waqt phir se apni baat na duhraaye,
jis path se badha tha kabhi uss par kadam laut jaaye.

kahe dil, likh jaa rait ki satah par koi fasaanaa

koi nazm nahi, gazal nahi, nahi koi taraana,
bas yun hi apani baaton par hi hai gungunaana,

dard nahi, shikawa nahi, nahi koi shikayat,
alfaaz bhi kam pad jaaye, aisa ho taana baana,

nahi yaad, nahi fariyaad, nahi koi amaanat,
kahe dil, likh jaa rait ki satah par koi fasaanaa,

naa ho mitane ka dar, naa chhupaane ki chaah,
bas aisa ho haal-e-dil ka mera tumhein nazraana,

naa koi khauf, naa hi umeed ho,  jaane jaana,
maun ho jaaun.. aye dil suna aisa koi afsaana,

naa koi aas, naa chaah, naa koi udaas dhardkan,
mit jaaye har pehalu yehi banaoon aisa baana,

naa galat, naa sahi, naa ho pehchaan ki seema,
har pehaloon se uthoon aisa ho yeh gungunaana,

aage jo bardhoon, naa pichhe ko kabhi hatoon,
raaj-e-samandar mein ho aise lahar kaa aana.

aye kaash haal-e-dil chhupa jee lete hum

aye kaash haal-e-dil chhupa jee lete hum,
aankhiyo ke saawan ko chhupa..  jee lete hum,

dard bhara taraanana phir naa dil gaata kabhi,
har pal ko ba-khubi nibha..  jee lete hum,

kar sakte kaanton se bhi pyaar hardam,
phoolon ki aash se mann hata..  jee lete hum,

agar naa dikhata khushi ka mrig-marichika,
to maut ko bhi zindagi bana jee.. lete hum,

jo jo khwaab dekhta hai mann.. yeh pagala,
unko bhula zindagi aasan bana..  jee lete hum,

pyaas paani ki to bujh jaati hi hai yaaron,
aankhon ki pyaas bhi bujha..  jee lete hum,

dard-e-dil ki sada gar chhup jaati andheron mein,
andhere ko bhi roshani bana..  jee lete hum,

chot khaaya huwa dil agar rota na kabhi,
bekhauf angaaron par kadam bardha..  jee lete hum,

dard gar naa de, dard mere kisi sapane ko,
raaj-e-dard ko aankhon mein saza..  jee lete hum.

All Time's Favourite Posts