ek tannha raaj hai rehta kaha pe

jo pyar mila hai mujhe yahan se,
woh mila nahi kabhi kahi se,

koi dost bankar saath nibhata hai,
koi yahan bhi dushmani dikhaata hai,

koi pyaar se haath badhata hai,
to koi gusse se chird jata hai,

yahan ki shayri bahut khoob hoti hai,
pardhne wale ki aankhe tarasti hai,

koi hansta hai baar baar yaha par,
koi apne ghumon ko gungunata hai

koi roz roz aata hai,
koi kabhi kabhi muh dikhata hai,

koi dard se ubb jaata hai,
to koi hans ke lot-pot ho jaata hai.

aate rahna aap log hamesha yahan pe,
kahi chord na jaana akela yahan pe,

ek tannha raaj hai rehta kaha pe.

jab bhi koi doli uthti hai

jab bhi koi doli uthti hai,
yeh hgaliyan sooni ho jaati hain.

kisi ka ghar aabaad hota hai,
kisi ki duniya lut jaati hai.

ab kismat mein nahi hai tera didar mujhe

kis manzil par le aaya tera pyaar mujhe,
na din mein chain hai na raat mein karar mujhe.

kahan par jakar tujhko main awaaz du,
paththar na bana de tera intezaar mujhe.

kitne armano se humsafar banaya tha,
tum bhi dhoka de gaye.. pyaare yaar mujhe.

kabhi tera wajood jaagir tha baahon ka meri,
aur ab kismat mein nahi hai tera didar mujhe.

dum ghutne laga hai ab iss shaher mein mera,
zahar lagne lagi hai sawan ki bahaar mujhe.

mujhko teri wafa par bharosa tha.. vaado par yakeen,
lout aa.. na nilaam kar tu ser-e-bazaar mujhe.

na koi humraaz na humsaya mera

na mil saka kahi dhoondne se bhi nishaan mera,
tamaam raat bhatakta raha gumaan mera.

main ghar basa ke samunder ke beech soya tha,
utha to aag ki lapto mein tha makaan mera.

junoon na kahiye isse, bewakufi kahiye,
badan tamaam hua hai lahu luhan mera.

hawain gerd ki surat uda rahi hai mujhe,
na ab zameen hai meri na aasmaan mera.

musibato ke bhawar mein pukaarte hai mujhe,
ajeeb dost hai, lete hain jo imtehaan mera.

kise khat likhu, hal-e-dil sunau kise
na koi humraaz, na humsaya mera.

jada sach bolna aksar achcha nahi hota

aata hai jo nazar, woh sabhi sach to nahi hota,
har khush-haal insaan, andar se khush to nahi hota,

dard ko kuch log, muskurahat mein chipa lete hain,
hakeekat mein jinka apna koi ghar nahi hota,

zindagi sari guzaar jaati hai bas ro-ro kar,
doston tak unke haal-e-dil ka, khabar nahi hota,

jurm hai jada bhi sachchai se jeena yahan yaro,
jada sach bolna, “raaj" aksar achcha nahi hota.

aaj tumhari yaad ne humein tardpaya bahut

aaj tumhari yaad ne, humein tardpaya bahut,
aaj na chahte huye bhi, yaad tum aaye bahut,

aaj tannhai ne, darraya humein aa ke itna,
jab akele ro rahe the, tannha the hum bahut,

tu meri thi, mera hai, meri rahegi, umar bhar,
dil ko iss khayal se humne, bahlaya bahut,

dil ne jisko apna samjha tha,
wahi humare dard pe jaane kyun muskurayi bahut.

ek din bas yuhi

naa koi raah naa manzil thi chal pade yuhi,
woh kaisi pyaas thi jo jaag gayi thi bas yuhi.

yeh kaisi pyaas hai dil ki meri, mere rabba,
naa bujh saki hai bujhane se bhi, mere rabba,
woh ek pal tha chahat ka, jee gaya sadiyaan,
umar bitayi hai uss ki yaad mein bas yuhi,
umar bhaar jeete rahe aur jeete rahe bas yuhi.

woh jaan apni kehti thi jab bhi milti thi,
naa jane kyun huyi khafaa woh bas yuhi,
tu meri jaan hai, tu meri hai yeh kehti thi,
woh ajnabi thi nindon mein dil mein rehti thi,

woh mera khawaab thi, undekha mera apna sa,
woh mera khuwaab meri zindagi thi ek sapna sa,

“raaj” kyun aaj bhi dekhta tu wahi sapna,
rulaa ke chord gayi jo mujhe ek din bas yuhi.

All Time's Favourite Posts