yeh mera aakhri salaam..

paali khushiyan tune mera dil jala kar,
bol kya tu jee sakegi mujhe bhula kar?

tu khush reh har pal,
teri khushion ke liye mujhe gham se bhi pyaar hai
bata ek pal ke liye bhi kya tujhe mera intezaar hai?

apna ujjda ashiyana..
iss baat ka mujhe gila nahi,
main kya gila karun,
tujhe dusra koi mila nahi,

meri barbaadiyon par tune,
lakhon khushiyan manayi,
bata zindagi mein phir,
tu kitni muskurayi?

tu khush rehna sadaa.. yeh meri dua hai,
teri har khushi ke peeche meri hi sadaa hai,

kar gayi tu mujhse bewafai yeh mera naseeb hai,
magar khush rakhna tu usse jo tere dil ke kareeb hai,

yeh mera mukkaddar nahi ki,
paa sakoon mein zamaane se mohabbat,
khatam hogayi aaj duniya ko meri zaroorat,

aaj main jaa raha hoon duniya se,
mohabbat ko zindagi dene ke liye,
bujha raha hoon main apna chiraag,
zamaane ko roshni dene ke liye.

na samjh tha main ki har ek se aitbaar kiya,
jisne bhi mujhse muskuraake baatein ki usse pyaar kiya,

ab jaa raha hoon main duniya se haath chord kar,
arzoo hai yaad karna tum humein kabhi bhool kar,

khushiyan mubarak ho tumhein,
apna to yahi paigaam hai,


tumko aur saare zamaane ko,
yeh mera aakhri salaam hai..

maine bhi muskuraana seekh liya

ab shayad milan nahi likha hai takdeer mein mere,
isliye maine bhi ab judaai se gale lagakar iske saath jeena seekh liya,

kehti thi jo apna mujhe,
aaj mujhe ussi ne beagaana bana diya,
isliye maine bhi ab rishto se dil na lagaana seekh liya.

sab dhoka hai yahan,
iss duniya mein sab dikhaawa hai,
ek dhoke se jab dil na bhara mera,
maine bhi dhoke khaana seekh liya.

bahut naaz tha mujhe uski chahaton par,
uska zikar har mehfil mein karta tha main,
jab se diye hain zakham usne apni mohabbat ke,
maine bhi muskuraana seekh liya.

aise na the hum

aise na the hum,
jaise ki humari ruswaai logon ne,
kuch tumne badnaam kiya,
kuch aag lagayi logon ne..

ho sakta hai tumne jo dekha ho,
woh nazron ka dhoka ho,
ek jara si baat pe,
kya kya baat banaayi logon ne..

thokar mein iss ko liye,
tordkar tum bhi chale gaye,
tumko kya khabar ke,
shehar mein diwali manaayi logon ne,

ishq pe aafat kya hai na poocho
zakham tumhaare haath ke hain,
dukh humein iss baat ka hai,
aur yeh kayamat saath tumhare,
mil ke uthaayi logon ne..

dil zakhmo se choor hai aankhon mein paani hai

ubharte dard ki bas yahi kahaani hai,
dil zakhmo se choor hai,
aankhon mein meri paani hai,

kaise chord de saath dard ka ab jaanasheen,
jab dard ko saath dene ki baat maut tak thaani hai,

ab bas dard ko apna banaana hai aur koi chaara nahi,
ab dard ke naam dekho apni dard bhari jawaani hai.

meri zindagi ka peecha kar rahi tanhaai hai

hawa ghamon ki chayi hai,
aapne saath kayi dukh laayi hai,

mehfil mein kaise baithe hum dil thaam kar,
meri zindagi ka peecha kar rahi tanhaai hai,

har taraf hai roshni, ghar mein mere charaag nahi,
jaane kyun kismat ne humpar yeh kaher barsaayi hai.

kitne saal aaye aur gujar gaye

bhule bisre khawabo ko kuraidte rahe
tumhari yaad mein lamha dar lamha tardapte rahe,
ek ek din ko ungliyon ke poro mein ginte rahe,


kitna zalim tha yeh saal....
hamare bebasi pe woh hasste rahe,
gum tanhai mein hum sab se bichardte rahe.

yun hi raat aati rahi, yun hi din gujarte rahe,
ek muddat tak inn aankho se tum ko taraste rahe,
apni chahat ke paymane ko tum se bharte rahe...


kaano mein ek sada pari naya saal aagaya,
mujh ko aisa laga jaise mera yaar aagaya,

yun saalo ke aane se koi milta nahi,
takdir ka likha kabhi milta nahi,

tumhare baad kitne saal aaye aur gujar gaye,
intezaar karte karte hum ek umar mein dhal gaye,

maine har nayi saal se tumhara pata pucha,
ek lamba intezaar karwa kar woh bhi gujar gaye,

humko to har mousam jaisa lagta hai,
tumhare baad dil ka mousam veeran sa lagta hai,

dil ke abaad basti ujhard si gayi,
ab bhi tumhara aana bahar sa lagta hai,
har saal ke tarah yeh sal bhi,
gujar jayega apni yaadein de kar.

hum is tara manate rah gaye,
tumhare judaai ke saal,

ek bar laut kar to aa phir puchna humse,
kis tarah manate hain hum bewafai ka saal.

dard ghum aur tanhaai

dard kare kaise bayaan,
dardmand hai jab apni dastaan,

sunaane se pehle hi aankhein bhar aati hain,
dard ghum aur tanhaai de jaati hain,

badnaseeb nikla main jo pyaar na paa saka,
paas hote huye bhi unke kareeb na aa saka,

shayad na thi naseeb mein chahat apni,
apno ko bhi na thi zaroorat apni,

aise gham ka maara hoon main,
jeet kar bhi unhein haara hoon main,

kaise kahun ki kisi ke jeene ka sahaara tha main,
andhera jiska saath na chorde,
aise ek sitaara hoon main,

dil ne chaha ki likhde gham-e-dil ek naye andaaz mein,
mil jaaye koi humraaz tujhe apne humraaj mein.

All Time's Favourite Posts