dheere se sarkti hai raat uske aanchal ki tarah

dheere se sarkti hai raat unke aanchal ki tarah,
unka chehra nazar aata hai jheel mein kamal ki tarah,

baad muddat unko dekha to jism o jaan ko yun laga,
pyaasi zameen pe jaise koi baras gaya badal ki tarah,

roz kehti hai seene pe ser rakh ke raat bhar sulaoungi,
hote shaam hi mujhe aaj phir sula gayi woh kal ki tarah,

unka sharmaana bhi mujhe maat de jaata hai,
unki to har adda hai kisi khamosh kaatil ki tarah,

mere hi dil ka tukda nikle woh shakhs aur mein
shehar bhar main dhoodnta raha unhein kisi pagal ki tarah,

madhosh sa ho jata hoon jab barish ki boondein
cherdti hain koi naghma unki chhanakti payal ki tarah,

mera sukhan unki zaat ka mohtaz na ho tab bhi,
woh dil nasheen hogi mehakti ghazal ki tarah,

nahi the zindagi pe tannha be sabab iss tarah,
yakeen tha mil jayegi kisi raah mein woh manzil ki tarah.

tum zinda kaise ho

sono....
tum ne kaha tha,
main zindagi hon tumhari.

chalo,
ab bata do,
tum zinda kaise ho..??

hum to the tanha marr bhi saktey the

raat gehari thi, 
dar bhi saktey the,
hum jo kehte the, 
kar bhi saktey the.

tum jo bicharde,
to ye nahi socha….

hum to the tanha, 
marr bhi saktey the…!!

lakh jatan kiye unko bhulane ke lekin

ek mulakat unse kara do, main mar jaunga,
ek jhalak unki dikha do
, main mar jaunga,

muddaton se tardap raha hoon deedar ke liye,
ab raha nahi jata
, main mar jaunga,

lakh jatan kiye unko bhulane ke lekin,
dil ne har bar kaha
, main mar jaunga,

wah ri kismat.. dono ko pardesi kar diya,
desh aakar bhi na mile to
, main mar jaunga,

hum-tum sirf tumhi ko nahi sataya hai zamane ne,
isse pahele bhi bahut kahe gaye
, main mar jaunga.

kyu aitebaar itna kiya

kya gajab mohabbat ka,
kaarobaar humne kiya,
wo bewafa thi magar,
phirbhi ussi se pyar humne kiya,

chord gayi wo agar to,
ab na bura kahenge unhein,
kasoor unse jada to apna tha, 
jo aitebaar itna kiya...

kuch yun til-til kar apne ishq ko marte dekha

kisi ke labon ko uske badan pe firte dekha,
kuch yun til-til kar apne ishq ko marte dekha,

kal tak jise hum apne palkon pe bithate the,
usse aaj khud ki hi nazaron se girte dekha.

jinhone wada kiya tha humare sang jeene ka kabhi,
unka kisi aur ke sung pranay-kalah chidte dekha.

main to samajh hi na saka ki kya hua hai sama,
jo aaj maine khud ko khud hi se bhirdte dekha.

jo kabhi bhi kisi se dara nahi karte the,
aaj un aashiqon ko kyun aashiqi se hi darte dekha.

jinhone humein hanste hue dekha tha kabhi,
unko bhi aaj iss raaj se chirdhte dekha. 

har pal yeh dard ke saaye meri taraf aate hain

har pal yeh dard ke saaye meri taraf aate hain,
toote hua dil ko aur rulate hain, 

dhuan sa mere hotho se nikaltha hai,
aah keh-keh kar mera dil tardapta hai.

har pal yeh dard ke saye meri taraf aate hain,
ghamon ki dhundh ankho se nikalti hain. 

har din, har raat angaron par chalte hain,
zakhm seene ke nasoor ban jaate hain.

paglo ki tareh hum rehne lage hain,
har pal yeh dard k saye meri taraf aate hain, 

zindagi ko zinda laash ki tareh,
apne kandhon par laade huye, 
har pal maut ka intezar karte hain.

garm rait par jeeyo machhli se tadafte hain,
har pal yeh dard ke jazbaton ka kola 
hal din-raat dard deta hai.

ander hi ander anshuon ka dariya behta hai,
aankhein nam hai, dil vyakul hai magar, phir bhi

har pal yeh dard ke saaye meri taraf aate hain,
har pal yeh dard ke saaye meri taraf aate hain. 

All Time's Favourite Posts