isse pyaar kahoon ya kuch aur

hai agar dard mere geeton mein,
hai agar aanshun mere aankhon mein,
isse pyaar kahoon ya kuch aur?

hai agar lahoo mere shabdon mein,
hai agar tu mere khuwabon mein,
hai agar teri tasveer deewaron mein,
isse pyaar kahoon ya kuch aur?

hai agar tu mere har sawalon mein,
hai agar tu abhi mere yaadon mein,
hai agar tu mere faryaadon mein,
hai agar tu abhi mere waadon mein,
isse pyaar kahoon ya kuch aur?

hai agar tu meri aankhon mein,
hai agar tu meri baahon mein,
hai agar tu meri dhadkhanon mein,
isse pyaar kahoon ya kuch aur?

hai agar tu meri subhon mein,
hai agar tu meri shaamon mein,
hai agar tu meri raaton mein,
isse pyaar kahoon ya kuch aur?

hai agar tera naam mere labon mein,
hai agar tera chehra meri aankhon mein,
hai agar tera zikra meri kavitaon mein,
isse pyaar kahoon ya kuch aur? 

ek ladka aur deewana ho gaya

naa poocho ki subhah thi ki din tha ki raat thi,
har gali har mord har chaurahe par yeh baat thi.
arre suno suno suno afsaana ho gaya,
ek ladka aur deewana ho gaya...!


log ek dusre ko suna rahe the,
suna suna kar tahake laga rahe the.
ki jabse dekha hai usne us ladki ko,
kho betha hai apni neend aur chain,
rehta hai har pal woh bechain.
naa lagti hai use bhookh, naa lagti hai pyaas,
har samay rehta hai bas usse bas usse milne ki aas.

sabne kaha yeh kissa to puraana ho gaya,
ek ladka aur deewana ho gaya...!


sabne samjhaya usse, jaa kar le usse baat,
tabhi katega din aur tabhi kategi raat.
bitaa uske saath ek hansen shaam,
tabhi milega tere bechain dil ko aaraam.
usne bhi suna diya jaa kar haal-e-dil,
ladki bhi thi naadan foran gayi pighal.

sabne kaha yeh to ishq ka bahana ho gaya,
ek ladka aur deewana ho gaya...!


milta tha ab usse woh har din,
kehta tha jee nahin paaonga ab tere bin.
ladke ke paas bas yehi kaam tha,
aankho mein ussi ki soorat hothon pe ussi ka naam tha.
dekthe hi dekhte bitne waala saal tha,
ladke ka pyaar mein bura haal tha.

sabne kaha yeh to shama kaa parwanna ho gaya,
ek ladka aur deewana ho gaya...!


kab tak chipate woh apna pyaar zamane se,
ek din pata chal hi gaya ladki ke ghar walo ko kisi bahane se.
bas phir kya.. jo nahin hona tha ho gaya,
roz roz ka chip chip ke milna band ho gaya.
ladki ke ghar mein shaadi ki baat hone lagi,
pyaar ke ujaale mein din se raat hone lagi.

pyaar ka dushman phir ek baar zamana ho gaya,
ek ladka aur deewana ho gaya...!


ladka bola "chal bhaag kar, kar le shaadi,
ladki boli "mujhe nahin chahiye aisi barbaadi.
ladka bola "pyaar hai phir kyon yeh doori hai,
ladki boli "samjha karo jaan meri majboori hai.
marta kya naa karta.. maan gaya uski baat,
ab to pehle se bhi bure the uske haalaat.

accha uska dil ka lagaana ho gaya,
ek ladka aur deewana ho gaya...!

aaj kal rehta hai woh apne mein hi gum,
woh kya karega khud usse hi nahin maaloom.
milta hai to pareshhan hota hai,
naa mile to bechain rehta hai.
maaangta hai usse bhagwaan se har pal,
umeed rakhta hai bitayega uske saath aane waala kal.

isse bhi ishq kaa najraana ho gaya,
ek ladka aur deewana ho gaya....!!

tu nahi to kuch bhi nahi

ankhon mein hai surat teri,
dhardkno mein basi hai tu,
zindagi mein hai nasha tera,
tere bina to main udas hoon. 

tu hai to baharein hain,
tu nahi to patjhard hai,
tu hai to sawan hai,
tu nahi to sab jageh aakal hai.

tu hai to sangeet hai,
tu hai to zindgi hai,
tu hai to main bhi hoon,

tu nahi to kuch bhi nahi, 
kuch bhi nahi hai.

tere bin

tere bin khatm hoti nahi ye rahein,
tere bin suni-suni hain baahein,

tere bin pyasi hai ye nigahein,
tere bin bharta raha main aahein,

tere bin kat ti nahi ye raatein,
tere bin sukhi hai barsatein,

tere bin bigard jati hain baatein,
tere bin kha raha hoon main laatein,

tere bin sirf hai tanhai,
tere bin sari duniya bewafai,

tere bin chord gayi meri parchai,
tere bin sang mere sirf duhayi,

tere bin ban gaya parwana,
tere bin bhoola main har afsana,

tere bin pagal hua ye deewana,
tere bin mar jayega ye jana,
tere bin...

woh humein tardpane ka hunnar rakhte hain

kaya kahu ki kya baat hai in baaton mein,
naa jane kyu apna sa ehsas hai in baaton mein,
kehne ko ajnabi hain hum tum magar,
ek rishta hain teri aur meri nigahon mein.

naa bhool kar bhool paaun tujhe,
woh nasha hai teri yaadon mein,
har mord par mil jaate hain hum aksar,
naa jaane kya rishta hai humara in ajnabi rahon mein.

jo mil kar bhi naa mil paye
aur milne ki hassrat rakhte hain,
yeh wo nazrein hain jo,
dil waalon ka chain-o-aman rakhte hain,
woh tardpate hain khud sada,
aur humein tardpane ka hunnar rakhte hain.

pyaar lage agar mera sachha

meri bewafai ka jab tumhein pata chale,
mujhe tum maut ki neend sula dena,

mat yaad mujhe tum karna kabhi,
mujhe tum dil se apne mitaa dena.

par pyaar lage agar mera sachha,
kuch to meri chahat ka silaa dena,

mera jism to kya.. rooh ko bhi meri,
tum pyaar se apne bheega dena.

tere bina yeh raatein

tere bina kaise meri guzarengi yeh raatein,
tannhai ka ghum kaise sahengi yeh raatein,

bahot lambi hai yeh ghadiyan intezaar ki,
karwat badal-badal kar katengi yeh raatein,

teri yaadein hai basi zameen se aasmaan tak,
dekh kar haseen chand royengi yeh raatein,

bas jana tum aankhon mein khawab ban kar,
to shayad zara sa sambhlengi yeh raatein,

bhula na paoge tum meri mohabbat ko kabhi,
aawaz de kar roz tujhe bulayengi yeh raatein.

All Time's Favourite Posts