koi haar kar jeet jata hai kisi ki jeet kar haar hoti hai

kahin kisi par har taraf se gulon ki bauchhaar hoti hai,
kahin kisi ki zindagi ke har pehalu mein haar hoti hai.

ajab riwaaj hai teri duniya ka aye aasman wale,
koi haar kar jeet jata hai, kisi ki jeet kar haar hoti hai.

har ek insaan apne sath liye phirta hai koi-na-koi zakhm,
koi marta hai talwar se, kahin nigah dil ke par hoti hai,

har kisi ko raas nahin aate mausam baharan ke,
aise bhi phool hain jo murjate hain jab bahar hoti hai.

aaj har baat pe hanste hue dekha unko

mom ki tarha pighalte hue dekha unko,
rut jo badli to badalte hue dekha unko,

woh jo kanton ko bhi narmi se chua karte the,
hum ne phoolon ko masalte hue dekha unko,

na jaane kaun se ghum ko chupane ki tamana hai unhein,
aaj har baat pe hanste hue dekha unko.

mohabbat mein tardpne se kuch hasil nahi

mohabbat mein tardpne se kuch hasil nahi hua karta,
tera dil hai jo dil mein rah kar bhi sharik dil nahi hua karta,

mein khud ko bhool jata hoon kabhi aisa bhi hota hai,
magar teri kasam tujh se kabhi bewafa nahi hua karta,

tumhari kya shikayat, tum to phir bhi gaiyr ho lekin,
mohabbat mein to apna dil bhi apna nahi hua karta.

apne bhi begaane hote hain

mehfilon mein afsaane roz bayaan hote hain,
mujh jaise deewaane aur kahaan hote hain,
nahi hota hai sacha koi rishta koi nata
jhoothe yeh zamaane aur jahaan hote hain.

tha maatam jo kisi toote hoye sapne ka,
apne bhi begaane aur kahaan hote hain,
na talaashna tu raaj.. ek chota sa ghar,
bazaar mein thikane aur jawaan hote hain.

khud se ek wadaa kar loon

socha khud se ek iradaa kar loon,
jo pura kar saku, khud se ek wadaa kar loon,
na rounga ab aur na ashk bhi koi bahaunga,
iss tarah khushi sang koi naata kar loon.

bhula doon ab se woh yaadein purani,
jinhein yaad kar aankh mein sirf aata hai paani,
likhe hue un khato ko bhi mein jalaa doon,
socha khud ko ek aakhiri mein sazaa doon.

ho jaauon khamosh odh kar phir kafan,
na uthuu phir kisi ki bhi aawaaz se main,
hai phir bhi aakhiri aarzoo ek dil mein
ki arthi uthe aur dekh le phir gaur se,

ki keh doon unhein woh alfaaz saare,
ki reh gaye hain kuch saaz mere adhure,
choom loon unhein, phir na rahoon kuch bhi main
ki unke bahon mein aakhiri phir saans loon main.

mera yehi intezaar karna

yeh hi lamhe yaad karna, ab inhi se pukaar karna,
main safar pe jaa raha hoon,  mera yehi intezaar karna,

jaha dil yakeen karle, woh gumaan ka mord hoga,
jaha becheniyan ho, wahi aitbaar karna,

yeh samajh-daari ka fun mujhe aaj tak nahi aaaya,
jise dil na chahta ho, usse der-kinar karna,

woh to kahiye saare patther mere dushmano ne roke,
mere dost chahte the mujhe par prahaar karna,

abhi kadr kar yeh saanse bardi keemti hai "raaj"
koi khaaas hadsa ho to yeh jaa nisaar karna.

sath tera manzil tak mila nahi

zindagi se wafa humne bhi ki hai bahot par
ghamon ke siwa aur kuch mila bhi to nahi,

ek tujhko pakar bahut khush tha main ,
par sath tera manzil tak mila bhi to nahi.

All Time's Favourite Posts