yon humein akela na kijiye

iss dil ka yoon imtihaan na lijiye,
humein yoon marne ka farmaan na dijiye,

iss zindagi ne bahot aajmaya hai,
yon humein akela na kijiye,

mushkilon se sambhala hai ye dil,
iske jeene ka sahara mat lijiye

yeh zeher pina barda aasaan hoga

aapse yoon door jana aasaan na hoga,
tumse nazare churana aasaan na hoga,

jo saath gujare the woh lamhe,
unka ehsaas kabhi kam na hoga,

inn aankhon mein se behti 
yaadon ka sailaab,
rok pana aasaan na hoga,

umar bhar saath chalne ka waada karke,
yoon ajnabi ban jana aasaan na hoga,

aye pyar teri khushi ke liye,
hass kar maut ko gale lagana aasaan na hoga,

par jo hai mujhe jaan se bhi pyara,
uske liye yeh zeher pina barda aasaan hoga.

tum bhi pagal hum bhi pagal

tum bhi pagal.. hum bhi pagal,
yeh jahan bhi pagal hai,
tere dil mein.. mere dil mein,
ek pyar ka sagar hai.

kuch baatein teri,
kuch baatein meri hain,
hum dono ki baataon mein bhi,
ek ajeeb paheli hai.

teri dhadkan mere dil se,
na jaane kya kehti hai,
aati jaati sanso se,
kuch kehti rehti hai.

sirf un ki baatoan se hi jab,
dil bekarar ho jaata hai,
milna bhi unka na jaane,
kya gazab kar jayega.

kuch intezaar tujh ko,
kuch intezaar mujh ko hai,
tere paas aa kar gale laga kar,
muskurana mujh ko hai

us bewafaa monika ko naa jaana

yaar ko naa jaana yaar ki yaari ko naa jaana,
dil diya par kambakht dildari ko naa jaana,

le gaya zindaagi un raahon par
jinki manzilon ko naa jaana,

pyaar mila par pyaar ki sacchayi ko naa jaana,
wafaa bhi ki par us bewafaa monika ko naa jaana

aaj phir barsaat ka bahana hai

aaj phir baarish ka bahana hai,
kisi ki yaad mein kho jane ka mausam hai,

aaj tamannaoon ko umardna hai,
aaj phir kisi ki yaad mein aanshuoon ko bahana hai,

jo saath bitaye the kabhi unke,
un palloon ko yaad karna hai,

hasste huye barsaat mein bheeg ke,
apne aanshuon ko chupana hai,

dil mein jo aag aap ke liye,
usse barsaat se bhujana hai,
aaj phir barsaat ka bahana hai.

halaat itne badal jayenge maloom na tha humko

choti si galat fehmi kardegi juda humko,
halaat itne badal jayenge, maloom na tha humko,
kya bas yeh rishta itna kamzor tha humara ?

jise chaha pal bhar mein tord diya isko,
jo ek lamhein ke liye bhi door na hote the,
aaj le jana parda unhein judai ke ghum ko,

kabhi apne hi raste per bichaye the humne phool,
aaj kaante bichaye khud hi jagah di pathar ko,
ab to ek dard aur taklif rehti hai is dil mein,
koi to aaye... marham lagaye is zakhm ko..

kya mila humein barbaad karke

bahut roya hai dil unhein yaad karke,
kuch na mila rab se bhi fariyaad karke,
wo keh gayi main na dungi aapka saath,
koi puche unhein kya mila humein barbaad karke...

All Time's Favourite Posts