thodi door sath chalo

khaatin hai rah-guzr, thodi door sath chalo,
bohut krra hai safar thodi door sath chalo, 

tamaam umr kahaan koi sath deta hai,
yeh janta hoon magar thodi door sath chalo, 

nashe mein chur hoon main bhi, tumhein bhi hosh nahin,
bada maza ho agar thodi door sath chalo. 

yeh ek din ki mulakaat bhi ganimat hai,
kise hai kal ki khabr, thodi door sath chalo. 

abhi to jaag rahe hain chirag rahoon ke,
abhi hai door sehar, thori door sath chalo. 

tawaf-e-manzil-janah hamein bhi karna hai,
faraz tum bhi agar thori door sath chalo. 

humein woh dil se pukaare to koi baat bane

koi hamara haal sawaare.. to koi baat bane,
humein woh dil se pukaare.. to koi baat bane,

shaam to bahut haseen hai aaj ki magar,
isse tumhare saath guzaare.. to koi baat bane,

lardkhada rahe hain tannha wafa ke raste mein,
agar tu apni baahon mein sambhaale.. to koi baat bane,

nazar milane par apna chehra ghumane se nahi,
agar woh aankhon-aankhon mein muskuraye.. to koi baat bane,

raah mein uski palkein bichayi hai “raaj“ jane kab se,
woh agar meri taraf aaye.. to koi baat bane.

kitna karu aur intezaar likh do

ek baar kar ke aitbaar likh do,
kitna hai mujhse pyaar likh do,

kat-ti nahi yeh zindagi ab tere bin,
kitna karu aur intezaar likh do,

taraste rahe hai badi muddat se,
iss baar apni mohabbat ka izhaar likh do,

jada nahi likh sakte to mat likho tum,
mohabbat bhare lafaz.. do chaar likh do,

ek baar likho mohabbat hai mujhe tumse,
phir yahi jumla baar baar likh do.

meri hasti hi mitta do to koi baat nahi

meri yaadein meri sansein meri dhadkan hai teri,
inhein apna naa banao to koi baat nahi. 

dil mein palti huyi khamosh mohabbat ki kasam,
mere khwabon ko rula do to koi baat nahi. 

ghum mein rote huye ashqon ke machalte shole,
inhein paon se kuchal do koi baat nahi. 

dil mein palti huyi khamosh umangon ki kasam,
meri duniya mein naa aao to koi baat nahi.

zindagi aise mita doon ki wafa ho tujhse,
mujhe apna naa banao to koi baat nahi.

uljhe-uljhe se khayalon mein tumhe chaha hai,
meri yaadon mein na aao to koi baat nahi.

har lamha tumhein chaha hai mere zakhmon ne,
inhein hans-hans ke rulaao to koi baat nahi.

teri yaadon mein tardapte huye giton ki kasam,
mere nagmon ko sula do koi baat nahi.

tere ghum mein main subah-sham hans lunga,
meri raaton ko sazaa do to koi baat nahi.

meri hasti meri kashti tumhi meri daulat ho,
mujhe sahil pe dubba do koi baat nahi.

aapne to mazaak samajh rakha hai

humne aapko apna samajh rakha hai,
par aapne humein begano mein gin rakha hai,

dil mein aapko bitha rakha hai,
dilse khelne walo se aapne dil lagaa rakha hai,

labon pe bas aapka hi naam jikr kar rakha hai,
aapne khamoshi ko hi zubaan bana rakha hai,

rehte hain harpal aapke nazron ke saamne,
bas aaphi ne humse nazar chura rakha hai,

sapno ki waadiyon mein aapke saath ghar sajaa rakha hai,
par aapne haqikat ko hi sapna samajh rakha hai,

tasveer aapki dilse laga rakha hai,
kyun sanam aapne, apne dilko patthar bana rakha hai, 

aapko hi khuda samajh rakha hai,
par pyar se anjaan.. 
aapne inn ehsaaso ko hi mazaak samajh rakha hai.

pyaar mera kabhi na jani tu

tujhse ho kar judaa mere saajani,
teri yaadon mein main to khoya hoon,

tujh ko malum hi nahi sajani,
kitna tardapa, kitna roya hoon,

pyaar mera kabhi na jani tu,
ban gayi aisi naadan saajani kyun,

meri nazre meri surat dekh,
pyaar chehre ka padh na payi kyun,

mang le gar jaan.. dedun hans kar main,
baat yeh janti nahi hai kyun,

dhund le pyaar sari duniya mein,
na paa sakegi mere jaisa duja tu.

woh aaye na aaye jammi hain nigahein

woh aaye na aaye, jammi hain nigahein,
sitaron ne jhuk-jhuk dekhi hain raahein,

har aahat par takti hain nigahein,
kabhi to woh aayenge, yeh kahti hain raahein,

intzaar mein tere youn hi gujarti hain raahein,
jahan se hum gujre the,

muhn chidhati ab rahein tujhse milne ko,
kitni bechain yeh bahein, 

laut kar aao jaldi... kahti har rahein,
kahi aisa na ho intzaar mein,
band ho jaaye nigahein.

All Time's Favourite Posts