fark sirf itna sa hoga

aapki dolli uthegi,
meri arthi uthegi,
phool aap par bhi barsenge,
phool mujh par bhi barsenge,

fark sirf itna sa hoga...

aap sajj ker jayenge,
mujhe sajaya jayega ,
aap apne naye ghar ko chalenge,
main bi apne ghar ko chalunga,
fark sirf itna sa hoga...

aap uth ke jayenge,
mujhe uthaya jayega ,
mehfil wahan bhi lagegi,
log yahan bhi rahenge,
fark sirf itna sa hoga...

aapka hassna wahan,
logo ka rona yahan,
baaje udhar bhi bajenge, 
baaje idhar bhi bajega,

fark sirf itna sa hoga...

pandit mantra udhar pardega, 
pandit mantra idhar bhi pardega,
aapka shadi hoga,
to idhar mera shraad hoga,

fark sirf itna sa hoga...

aapko apnaya jayega ,
mujhe ko jalaya jayega......

khwaboon ke intezaar me raaton se pyar hua

khwaboon ke intezaar me raaton se pyar hua,
aye humsafar tu aatho pehar kyun nahi aata.

suna hai ki sab ka khayal rakhte ho tum,
to ek mera hi aanshu pochne kyu nahi aata.

ek kashti ke intezaar me sahil ke ho gaye,
zindagi me ban kar tu ek lehar kyun nahi aata.

teri talaash me jaane kitni he raahein badla,
sab mila, par jaane tera he ghar kyun nahi aata.

logon ko zakham bhula kar fir haste dekha hai,
jaane mujh me unka ye asar kyun nahi aata.

tum is kadar apne se he lagte ho mujhe,
par tere chehare me mere liye tardap nazar kyun nahi aata.

teri khatir kuch saanse sambhal rakhi hai,
kareeb tu firbhi mere humsafar kyun nahi aata…

woh milti to hai aksar par,ab woh baat nazar nahi aati

woh milti to hai aksar mujhse par,
unke milne mein woh baat nazar nahi aati,
woh muskurati to hai mere saath reh kar bhi,
par shayad meri baaton mein nahi muskuraati.

yun to aksar bataati hai,
apne dil ki har baat mujhe,
unke baaton se lagta hai,
woh baatein khul ke nahi bataati.

shayad khabar hai unko,
mere dil, mere haalaat ki,
aksar mere sawaalon par,
woh sanjidagi nahi dikhati.

pal pal hamein tarpaaya jaaye

woh pyar kya hota hai jisme,
dil ki baataon ko chupaya jaaye,
chain to milta nahi hamein ek pal,
bas pal pal hamein tardpaaya jaaye.

log to urdte phirte hain pyar mein,
us khule neeli aasmaan mein,
par kyu phir dil ki baataon ko,
iss dil mein hi dafnaya jaaye?

bharosa hota hai ek duje par,
jisse pyar hota hai,
socho - sukun nahi hai jisme bas,
chalo ek duje ko aajmaya jaaye?

haath tham kar ek duje ko,
tassali dete hai ek duje ko,
kahi yeh na kho de, kahi woh na kho de,
soch soch kar khud se ghabraya jaaye.

woh pyar kya hota hai jisme,
dil ki baaton ko dil mein hi chipaya jaaye,
chain nahi hai jisme,
bas pal pal hamein tarpaaya jaaye?

aur main tanha

tere khuwabon ki duniya... aur main tanha,
raat, chand, sitaare, hawa... aur main tanha,

koi to kash mera bhi aanshu poche,
mujhse sare log khafa.... aur main tanha..

baat hum ker nahi sakte aur, door hum reh nahi saket.

kya kahu kaha nahi jata,
par ab chhup raha bhi to nahi jata,

jee raha hun aise jaise mare huye hain hum,
aap pe ilzaam par ab aur lagaya nahi jata,

dil rota hain ander se,
hassta hai  samane ke liye

ki aur ab ye gum humse chupaya nahi jata,
kabhi lagta tha jeeye hum sadiyon unke saath,
par ab ye aalam hai ki ek pal aur jeeya nahi jata,

baatein jab hum kiya karte the
ruhh hamari khush hoti thi,
par aaj yeh aalam hain ki,
baat hum ker nahi sakte aur,
door hum reh nahi saket.

aa jaao ab bhi hum me thodi si jaan baki ha

aa bhi jaao....
ki ab bhi hum me thodi si jaan baki hai,
aapka diya huwa abhi naam baki hai...

aake khatam karo ye lamhein judaai ke,
zindagi chhoti hai, aur bahut se kaam baki hai....

aapko saath le ker tay karni thi safar baaki,
zindagi ke ab bhi bahut se imtehaan baaki hai...

baaki hai thodi si dhadkane,
thodi si saans baki hai,
lene ko aapko baahon me,
ye dil pareshan kaafi hai...

abhi to din nikla hai,
yakeen hai ki aap aaoge,
chand to niklaa nahi,
abhi poori shaam baaki hai...

aapse main door hoon,
magar ye dil aapke paas hai,
aashiq kehlata hoon,
meri yeh pehchan baaki hai....

kab tak mujhe tardpaoge?
kab tak aap yun hi mujhe sataoge?
aap per karne ko ye jaan kurbaan baaki hai...

aake mujhe chhu lo, aur bahon me bhar lo,
do jismo ko ek dusre me sama ker ek jaan ker lo,
humpe aapka karne ko abhi ye ehsaan baaki hai,
ki aa jaao ab bhi hum me thodi si jaan baki ha....!!

dard-e-ulfat mein hum hadd se gujar gaye

iss pyar ko apna banane mein dar lagta hai,
tez dhardakan ko sun ke bhi dar lagta hai,

ek wada nibhane mein dar lagta hai,
dard-e-ulfat mein hum hadd se gujar gaye.

unke ishq mein hum deewane ban gaye,
pyar to pal bhar mein ho jata hai.

magar unko nibhane mein umar lagti hai,
ishq to unko bhi hai humse ye jaante hain hum.

pyaar ko mehasus kya tha humne bhi,
jalate hain hum apne dil ko diye ki tarah.

hum to aapke iss dil mein basaya hai.
ek chirag bankar shama jalaya hai.


tanhaai mujhe kha rahi hai

yeh doori jaanlewa banti ja rahi hai,
yeh tanhaai ka ehsaas karva rahi hai,

paas hoke bhi paas nahi hum-tum,
yeh sachaai jaan meri le ja rahi hai.

basti hai jaan meri teri ek muskaan mein,
yeh judaai mujhe torde jaa rahi hai.

nahi tord paayegi yeh zaalim, 
karle jitni bhi koshish,
aye sanam… teri yaad bahut aa rahi hai.

tanhaai mujhe kha rahi hai,
yeh doori jaanlewa banti ja rahi hai.

humare dil mein aake kaante chubhate rahiye

humare dil mein aake kaante chubhate rahiye,
issi bahane humse milne aap aate rahiye,

aapka koi dosh nahi tha humare dard mein,
hum hi the bewafa duniya ko batate rahiye,

hum bhi aapke aashiq the kisi zamane mein,
humne ki ye galti, humein aap jatate rahiye,

aankhon mein aanhsu nahi, muskurat huye hi,
humare maut ki rasam aap nibhate rahiye,

humare sapno aur yaadon mein jaroor aaiye,
aashkon ke samundar mein humein dubate rahiye,

apne us nayab andaaz mein hi sahi humein,
aap duniya-dari ke gun sikhate rahiye,

kaun jaanta hai hum kal rahe naa rahein,
par saath likhe nagame aap gungunate rahiye,

haiwan ki bhi rooh kaanp uthe dekh humein,
kuch yun ghayal ko aap satate rahiye.

yeh tannha si raaatein hain

aaj raat woh chaand tannha tannha saa lagta hai,
soya hai jahan saara aur mera bebas dil jagtaa hai.

yaaad karta hai tujhe aahein yeh bharta hai,
apni hi soch mein dubba saa, aankhein numm karta hai.

hai tu us chaand ki tarha jo lagta aankhon ke saamne hai,
chu nahi sakte tujhe par har roz jee bhar ke chahatein hain.

teri hi baatein hai bas teri hi yaadein hain,
aur kya hai iss zindagi mein, yeh tannha si raaatein hain.


kuch rishtey beyman the jo humse chuth gaye

waqt ke gujarte gujarte, chhap apni chord gaye,
kuch rishtey beyman the, jo humse chuth gaye,

kehte hain jo bhi milta hai apna hi ban jaata hai,
par woh kaise apne the, jo humse ruth gaye,

haath thaamna har kisi ki bas ki baat nahi,
yuh laga woh paas aaaye,
par sach mein humse door gaye,

rashtey jaane pehchaane the,
par pal bhi bhikhar gaye,
paas aate aate dekho,
kuch log aadhe rashtey se murd gaye.

dukh nahi aaj kisi bhi baat ka,
jo hona tha achha hi hua shayad,
naa aisa hota to sabak naa milta,
naa aisa hota to sacha dilbar nahi milta.

to phir kyu hum roye,
un rishton ke liye jo haathon se chut gaye,
apne woh nahi hote dosto,
jo ek baat se umr bhar ke liye humse ruth gaye!!


dost mera tannha sa hai

mere hote huye bhi hai ek dost jaise tannha sa,
jaane kya fayeda hai mere uske sang hone ka,

dil se karte hain dil ki baatein,
par dil shayad chhu na sake,
aaye to hum paas bahut,
teri ruh chhu na sake.

ehsaas jab hua, dard bahut hua,
aankhein bhi kuch nam si huyi,
apne par tha vishwaas jo,
aaj bharam dekha to woh bhi tutta hua.

daaman mein dekha to the bas sitare,
hassi thi khilkhilati jahhan ke liye,
jo chaha woh humne na paaya,
jo paaya usse apna na sake.

bewajah jee rahe hain jaise,
jeene ki jarurat bhi nahi,
saans aaye na aaye hamein,
takaluuf ki jarurat nahi.

jinke liye jeena chahte the hum,
jaise unhe bhi hamari jarurat nahi.

hulchal hoti hai seene mein,
dil mein dard ab bardhta hai,
jaane kaisa mehsus hua,
jab koi humse wafa ab karta hai.

parchayi dekh kar aisa laga,
shayad ab hum bhi zinda hoon,
jaane kyu mere hote huye bhi,
dost mera tannha sa hai?

aanshu girte hain jaise sholay,
aahein hain jaise tuffann sa koi,
ek shaks ki khushi ki dua khuda se maangi,
na maangi humne aur khudayi koyi.

agar de khuda ek aur apni khawaish mujhe,
maangta hoon rihayi uski iss dard se,
bhar de daaman uska khushiyon ke rang se,
aaj to maan le tu ek baar meri yeh dua.

ke phir na kehna parde mujhe,
kya hai mere jeene ki wajah,
jaane kyu mere hote huye bhi,
dost mera tannha sa hai?

tujhe kash mohbbat ho jaye

kuch khawaab the meri aankhon me,
tujhe pa lene ki chahat thi,
chand lafzoon me he kehata hoon
mujhe tum se bahut mohabbat thi..

per tum kya jano chaahat ko,
tumhein agar ho jati to poochta main,
dil jab jab toot ke rota hai,
kya dard tumhein bhi hota hai....

ye khwaab hakeeqat ho jaye
kisi apne jaise sang-dil se,
tujhe kash mohbbat ho jaye,
tujhe kash mohbbat ho jaye.....

wo meri thi hi nahi

talaas ki thi zindagi jiski baahon me maine,
woh baahein kabhi mere liye thi hi nahin,

socha tha jisse har pal khushi apni,
woh khushi kabhi apni thi hi nahin,

kiya jiska intezaar maine barson tak,
woh shaks kabhi mera tha hi nahin,

gair ko uski baahon mein dekha jab,
to ye zindagi kyun tham si gayi??

main to jaanta tha woh meri nahin hai,
phir kyun aankhon me aashkon ki bahar hai,

yeh pyar hai mera ya dil tootne ka dard,
zubaan se na nikal saka usse dekh ek bhi shabd,

woh buland hausle, woh pyar pe aittbaar mera,
toote sheeshe sa bikhra hai aaj yeh dil mera....

uski yaadon ki mahek se khud ko door karna hai

bahut kareeb hai ek shakhs usko door karna hai,
khud apne aap ko gumon se choor karna hai,

woh chand sa chehra uss pe julfon ka badal tha,
uss jheel si katil aankhon mein kajal tha,
uski yaadon ki mahek se khud ko door karna hai.


chaha jaan se jada magar pa na sake,
koshish hazar ki magar usse bhula na sake,
apne dil ko usse bhulane par majboor karna hai.

khuda ka diya hua husn ka khitab hai woh,
mere liye ghazal ki mukammal kitab hai woh,
kho kar uss kitab mein raaj ko mashoor karna hai.

bewaqt hi sahi kabhi yaad kar liya karo

mana yeh wakt humein yaad karne wala nahi,
par bewaqt hi yaad kar liya karo,

mana aap ke aas-pass sari duniya hai,
kabhi humari kami ka ahsas kar liya karo.

tere hote huye bhi tannhai mili hai

tere hote huye bhi tannhai mili hai,
wafa kar ke bhi bewafayi mili hai,
jitni dua ki tumhein pane ki,
usse bhi jyada teri judaai mili hai..

iss benaam se rishte ko nibha jao kisi din

iss benaam se rishte ko nibha jao kisi din,
jo mil jaye fursat to paas aao kisi din,
milta hai sabhi ko sab kuch ye suna hai,
mujhe to bas tum hi mil jaao kisi din..

barson se yeh mera dil khali hi pada hai,
tum apne naam ki hi name-plate laga jaao kisi din,
barso ki mohabbat ko kis tarah bhula dete ho,
mujh ko bhi aisa hunnar sikha jaao kisi din..

mukaddar me jo likha hai kabhi naa mitega,
furrsat mile to dil ko yeh baat samjha jaao kisi din...

kyun nahi samjhte woh meri mohabbat ko

kyun nahi samjh aati unhein meri mohabbat,
kyun dil ka karar tardap uth jaata hai,

kyun gumraah karti hai mujhe aapki mohabbat,
kyun nahi samjhte woh meri mohabbat ko,

rahon pe bichaye yeh mehekta phool hai,
kaise kahun yeh dil tumare bina baichain hai,

kyun hota hai iss dil ko unse mohabbat,
kyun jaan lete ho.. dekh lo ek baar meri ulfat,

aab jeene ka kya sabab de tumhein,
aapni mohabbat ka nishaani de tumhein.


ek rashm nibhaani hai laut aao

shabnami raat suhaani hai, laut aao,
ek ghazal tum ko sunaani hai, laut aao,

phir naya khwaab dikhana hai subah hone tak,
phir nayi shamaa jalaani hai, laut aao,

naa main barbaad hua hoon, naa rushwaa tum,
naa-mukammal yeh kahaani hai, laut aao,

tum se mil kar he main bichardoon, 
ye koi laaz'mi to nahi,
phir bhi ek rashm nibhaani hai, laut aao...!!

tumhare samane tumse hi shikaayat hai

tumhare samane tumse hi shikaayat hai,
ki jitna bewafa samjha tha tumko,
usse kahi jyada tu nikali,

tumhaari jheel si gehri inn aankho ki enayat hai,
tumhari hi galli ke mord par mere kadam fishle,

ye meri bhool thi jo maine tumko bewafa samjha,
magar tum to bewafaaon se bhi kuch kadam aage nikali,

bawajhoot iske…
tumhare pyar ki khaatir becahin hai mera dil,
yehi khawashi hain ki tumhaare baahon me hi mera dum nikale…!!

ek roz chala jaunga main

waqt se aage ek roz chala jaunga main,
yaad baki na rahe har lammha mita jaunga main,

yaad karna, bhula dena to unki aadat hai,
meharbani se kab tak dil me jagah paunga main,

unke laboon pe na ab ek bojh lagu,
mere naam ka har ek shabd mita jaunga main,

chord dete ho kahin par bhi apne hatho se,
ban kar aisa khilauna kab tak ji paunga main,

utna hi satao ki jo bardast karne layak ho,
aise toot.. toot ke ek roz bikhar.. jaunga main,

gar bharosa ho to sinne se laga lo mujh ko,
hoon wo aanchal nahi ki hawa chale to sarak jaunga main,

shaya banna nahi chaha kabhi maine tera,
sath andhero me bhi har waqt nazar aaunga main,

tere duniya se door... bahut door.. 
ek roz chala jaunga main,
tere duniya se bahut door chala jaunga main..

jab bhi aankhein band karoon, bas tumhein dekha karoon

aarzoo dil mein hai kya, kya kahoon
gar waqt tham jaaye to bas tumhein dekhta rahoon,
tumhaare aks ko apne wajood mein aise shaamil kar loon,
jab bhi aankhein band karoon, bas tumhein dekha karoon.

nigaahon ke darmyaan yeh khaamosh silsilay rahein.
hothon pe tabassum ke phool aise hi khile rahein,
aur in phoolon ki khushboo se main youn hi mehka karoon,
tumhaare aks ko apne wajood mein aise shaamil kar loon,
jab bhi aankhein band karoon, bas tumhein dekha karoon.

ungliyaan aanchal sambhaale youn hi ulajhti rahein,
hawaaon ko choomkar zulfein aise hi sulajhta 
rahein,
aise hi main bhi ulajh kar suljhaa karoon,
tumhaare aks ko apne wajood mein aise shaamil kar loon,
jab bhi aankhein band karoon, bas tumhein dekha karoon.

dhardkano ki bekaraari aise hi rukh par bikharti rahe,
rukhsaar par chandni pal pal nikharti rahe,
aarzoo hai ki is roshni se main bhi raushan rahoon, 
tumhaare aks ko apne wajood mein aise shaamil kar loon,
jab bhi aankhein band karoon, bas tumhein dekha karoon. 

jo chup karate the wahi rone ko keh gaye

mana ki aaj hum akele reh gaye,
judaai ke aanshu aankho se beh gaye,
rote hue ko kaun chup karayega,
jo chup karate the wahi rone ko keh gaye...

aye dil chal kahi door chale

aye dil kahin door challe iss manzar se,
iss sehar me ek pal bhi ab rahna nahi,
chand khudgarj samajhdaaron ki basti hai yahan,
apne dard ki daastaan kisi se kehna nahi,

kuch hass liye, kisi ne dil behlaa liya,
tutt gayi himmat ab aur dard sahana nahi,
humnein roo ker bhi dekh liya jaar jaar yahan,
ussne halle dil ek baar bhi sunna nahi,

tord diye ussne wo waadein, 
wo kashme jhoothi thi,
jhoota har ahsaas, 
wo ab mera apna nahi,

khoo gaya har khawaab, 
tutt gayi har umeed meri,
sahammi ye aankhein,
phir khawaab inhein sannjona nahi,

iss baar khaamoshi se dum tord denge kahin bhi,
na umeed iss dil me ab koi sapana nahi,

kal raat aakhir ho, ye gazal aakhir ho,
ek pal bhi aur iss duniya me jeena nahi

na sazza denni hai, na koi wajah janani hai,
ruh bann ker bhi ab kisi se milna nahi,
aye dil, chal kahi door chale..

humko tum kho doge

meri rooh nikalne wali hogi,
meri saans bikharne wali hogi,


phir daman zindagi ka chootega,
dhaaga saans ka tootega,

phir wapis hum na aayenge,
phir hum se koi na pochega,

phir aankhon me noor na hoga,
phir dil gham se choor na hoga,

us pal tum hum ko thaamoge,
hum se khushi apni maangoge,

phir hum na kuch bhi booleinge,
aankhein bhi na kholeinge,

us pal tum bhi roo doge,
par tab tak humko tum kho doge,
tab humko tum kho du ge....

wo tittli thi usse ek din urd jaana tha

wo tittli thi, usse ek din urd jaana tha,
usse mere hath me kaha aana tha,
main dhundata raha use diwaano ki tarah,
uss ki a koi manzil na koi thikaana tha,

ess dar se usne mere haath nahi thama,
ki raasthe me usse ek din to chord hi jaana tha,
uss ne aanshu bhi bahut bahaye lekin,
baad me pata chala ye sab bas bahana tha,

meri deewanagi to hadd se guzar gayi lekin,
uske liye to mehaz ye dil lagana tha,
kashoor uska isme nahi koi,
khata to apni thi, ki main hi jara deewana tha..

aksar zindgi ke safar mein tanhaaiyan hi saath hoti hain

dard dene wali ummeedon se
kyun ummeed lagaate ho,
suhaane khwaab intezaar mein hain,
aye nigaahon kyun raat aankhon mein bitaate ho.

tumhaari aankhoon se jo tapakate hain
ek patthar ke intezaar mein,
woh nami khoobsurti hai in aankhoon ki,
unhein kyon bedardi se lutaate ho.

chaand bhi tannha hai safar mein,
chaandni to kabhi kabhi saath hoti hai,
kis sangdil se aas lagaae phirte ho.

aksar zindgi ke safar mein,
tanhaaiyan hi saath hoti hain,
himmat karo kuch or aage bardho,
aage ek sheetal nadi bhi aayegi,
jee bhar ke bujhaana pyas apni,
woh safar ki raah bhi dikhayegi.

ek shabd hai mohabbat

ek shabd hai mohabbat,
isse kar ke dekho,
aap tadap na jao toh kehna….

ek shabd hai mukaddar,
isse ladkar dekho,
aap haar na jao toh kehna….

ek shabd hai waffa,
zamane me nahi milti,
kahin dhoond pao toh kehna….

ek shabd hai aanshu,
isse dil me chhupa ka rakho,
aapki aankh se na nikle toh kehna….

ek shabd hai judaai,
kissi se ho toh dekho,
aap toot kar bikhar na jao toh kehna….

aur ek shabd hai raj,
usse dilse pukar kar toh dekho,
sab kuchh na pa lo toh kehna….


main mohabbat hoon,
mohabbat karke dekh,
main mohabbat na doon to kehna..

main muskurahat hoon,
mujhe hansa kar dekh,
na sajoon tere honton per to kehna..

main khushboo hoon,
mujhe mehsoos karke dekh,
na mehkoon teri zindagi me to kehna..

main dil hoon,
mujhe sun ker dekh,
na dhadakun tere dil me to kehna...

main phool hoon,
mujhey laga ker dekh,
na mehkoon din raat to kehna..

main mohabbat hoon,
mujhe apna karke dekh
na banoo main tera to kehna....

mujhe rulane ke liye hi aa

tu khush nahi dekh sakti mujhe,
to mujhe rulane ke liye hi aa.

sikwa nahi agar apna na sako mujhe,
tu mujhe thukrane ke liye hi aa.

hazar nakade uthaye the maine tere,
aaj tu bhi to mujhe manane ke liye aa.

bas ek aakhiri jhalak apni dikha de,
kuch nahi to mujhe satane ke liye hi aa.

jaanta hoon kabhi pyar nahi kar sakte mujhe,
to tu nafrat badhane ke liye he aa.

kahin bhul na jaau tumhe yaad kar ke rona,
tu mujhe apni yaad dilane ke liye hi aa.

tumne to mujhe kabhi bhi apna nahi mana,
to ek jhootha rishta nibhane ke liye hi aa.

tu mujhe pyar se gale nahi laga sakti toh na sahi,
kam se kam apni gairat dikhane ke liye hi aa.

majboor rahi ye zindgi khushiyon se to kya hua,
tu mujhe har janam me yuhi tadpane ke liye aa…

jab jab usse dekha dil ka dard taza hua

har mulakkat par waqt ka takaza hua,
jab jab usse dekha dil ka dard taza hua,
suni thi sirf gazal me judaai ki baatein,
ab khud par biti to hakikat ka andzaa hua.

All Time's Favourite Posts