ek aur ilzaam mere naam baki hai

aye maut jara dhire se aa, 
ek kaam zara sa baki hai,
unko khat ek likhna hai,
paigaam zara sa baki hai,

woh samjhenge tha bewafa,
intezaar bhi na kar saka,
marne se pehle ek baar, 
izhraar bhi na kar saka,

khawaish mere mann ki,
thoda sa waqt aur de de khuda,
meri prem kahani ka, 
anjaam zara sa baki hai,

apna dard batane de,
ek nagma mujko gaane de,
raaj ke dard ka mausam,
unko jara sunane de,

janta hoon waqt kareeb hai, 
ab na koi apna naseeb hai,
jo har roz pite hain hum gam ka, 
woh jaam zara sa baki hai,

unhein ab tak malum nahi ki,
apni saanse kuch hi baki hai,
jo aate hain unhein dekhne ko,
woh aanshu kuch hi baki hai,

woh ab tak na aaye mehfil me, 
ab tak unka ek deedar baki hai,
unhone ab tak mujhe bewafa na kaha,
ek aur ilzaam zara sa baki hai.


No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts