aye zindagi mujhe tere halaaton ne maara

main nahi jaanta ki kya tha,
mera dil tha ya raasta tha,

kabhi iss raahgir par machal gaya,
kabhi uss musafir par machal gaya,

yeh aaya kuchal ke chal diya,
woh aaya kuchal ke chal diya,

mujhe ishq mein tannhi ki raaton ne maara,
agar bach gaya to jazbaaton ne maara.

chand lamhon mein milkar judaa ho gayi tu,
mujhe yaar teri mulakaaton ne maara.

koi gair hota to bacha khud ko lete,
jo thi rehnumaa, unhi haathon ne maara.

mujhe ishq mein tannha raaton ne mara,
tere chehre ke jaadu se main jo bach gaya tha,

mere yaar mujhe teri baaton ne maara,
mere mehboob teri mulakaaton ne maara.

haansil kar hi leta main ishq lekin,
aye zindagi mujhe tere halaaton ne maara. 
mere yaar teri mulakaaton ne maara.

hum to sari umar tumko bas tumko hi chahenge

tum se door ho kar bhala kaise jee payenge?
tumhari chahat ki chaaw mein laut ayenge.

jayenge tab hi, jab iss jahan se jayenge,
hum to saari umar tumko, bas tumko hi chahenge.

tum meri ho na paogi yeh jaante hain hum,
phir bhi tum mere sath ho mere aaj.. to nahi gum.

kal bichard ke tum ko yaad aayenge,
hum to sari umar tumko, bas tumko hi chahenge.

yeh duniya bhi dekhegi mohabbat ka alaam,
kaise chahat mein tere hum bhul gaye khud ko.

ab tere liye hum khud ko jajbaat se takraynege,
hum to sari umar tumko, bas tumko hi chahenge.


please hold my hand tight forever

I hold your hand and you hold mine,
we both see this bright sunshine.

I look in your eyes and you look in mine,
deep is our love,
to say “I Love You” is not just a line…

I hug you and you hug me tight,
our feelings are sharp,
just like sun’s light.

we walk together, on the bank of the river,
without you I am lost, I start to shiver.

not to let it slip,
please hold my hand tight forever,
we are linked to each other
from soul and to part never...!!


kab tak tujhe talash karun.. ab to aa ke mil

main tera muntazir hoon mujhe muskura ke mil,
kab tak tujhe talash karun.. ab to aa ke mil,

yun mil ki phir judai ka lammha na aa sake,
jo dharmiyan mein hai.. sabhi kuch mitta ke mil,

yeh kya ki hum milein bhi, mulakaat bhi na ho,
seene se matt laga.. mujhe dil se laga ke mil.

marne se pahle karne kayi kaam baaki hain

marne se pahle karne kayi kaam baaki hain,
kaatne ko abhi tannha kayi shaam baaki hain.

tum to pahuchne ko ho manzil ke paas ab to,
safar hai lamba mera, rashta tamaam baaki hai.

maa-baap, bhai-bahen, kitni hasrat paale baithe hain,
inn sabke liye karna abhi mujhe intezaam baaki hai.

mere pyar ke badle jo tum mujh par the laga gaye,
maathe se hataana abhi woh saare ilzaam baaki hai.

dekhe the kitne sapne, hasratein thi kitni dil mein,
reh gaya hai dena tujhe, ek paigaam baaki hai.

pee kar jise bhula du, tere diye huye gam saare,
ab haathon se peena, tere woh jaam baaki hai.

I just can't stop loving you

please believe me,
don’t ever leave me.
I don’t lie,
please don’t deny.

I can't live without you.
I just can't stop loving you.

you want me too,
so am leaving you.
but my words are true,
I am just sorry to say,
that I can't stop loving you.

I don't know where to go,
don't know what to do.

I am just sorry to say,
that I can't stop loving you.

let me say today,
something you never knew,
that I love you.

I am just sorry to say,
that I can't stop loving you.


I want to kiss you all the night,
want to love you tonight,
I don't know why...

like hell, I am missing you,
I just can't stop loving you.
and baby its just true,
really, I can't do, 

without you,
I just can't stop loving you.

hai samunder samane phir bhi tujhe kyu pyaas hai

karwa to gujar gaya, kiski tujhe talaas hai?
hai samunder saamane phir bhi tujhe kyu pyaas hai?

ek kona dhoondhte hain hum jamane ke liye,
ek pal zinda raha to doosre ki aas hai,

karwa to gujar gaya, kiski tujhe talaash hai?
ta umra humne chaand ka deedar na kiya,

chehra jo unka saamne tasweer ban ke tha,
woh jaa na sake ek pal bhi dil se mere door,
mera pyar unke paao mein jo zanjeer ban ke tha.

wo yaadein aapki ek saath rahe

kitna sunder sab likhte hain,
vichaaron ko shabdon mein pirote hain,

katra katra jeevan kaa
apne nagamon mein pirote 
hain,

apne yaadon ko yun panno mein
likhna koyi buri baat nahi,
un panno ko likh kar
khula chordna bhi buri baat nahi,

un paano ko agar jord diya jaaye,
unn panoo ki ek kitaab baanayi jaaye,
jab man chaaha uss kitaab ko pardh liya jaaye,


shayd dekhne mein bhi achcha lage,
or pardhne mein bhi aashaani ho,

aapko dhundh paana bhi aasaan ho,
har taarikh mein likha hua,
ek hi din mein ubhraa hua,
wo yaadein aapki ek saath rahe.

aaj phir ek aam din tha aur ab ek aam raat hai

aaj phir ek aam din tha,
aur ab ek aam raat hai.

sunayi tune jab kuch kahaniyaan,
to kaano mein gunjati teri meethi si awaaz hai.

phir na jaane kyu tardap raha dil mera,
phir se meri nazre chauhkhat ke aas paas hai.

aaj phir ek aam dinn tha,
aur ab ek aam raat hai.

humne kanto ki na kari fikar,
yeh dil aaj bhi kambakt ishq ka gulam hai.

khud se jo pooche maine kuch sawaal,
uska sirf tu hi ek jawab hai.

tu hai to haseen meri zindagi,
bas tu hi meri khushion ka raaz hai.

aaj phir ek aam din tha,
aur ab ek aam raat hai.


All Time's Favourite Posts