wo yaadein aapki ek saath rahe

kitna sunder sab likhte hain,
vichaaron ko shabdon mein pirote hain,

katra katra jeevan kaa
apne nagamon mein pirote 
hain,

apne yaadon ko yun panno mein
likhna koyi buri baat nahi,
un panno ko likh kar
khula chordna bhi buri baat nahi,

un paano ko agar jord diya jaaye,
unn panoo ki ek kitaab baanayi jaaye,
jab man chaaha uss kitaab ko pardh liya jaaye,


shayd dekhne mein bhi achcha lage,
or pardhne mein bhi aashaani ho,

aapko dhundh paana bhi aasaan ho,
har taarikh mein likha hua,
ek hi din mein ubhraa hua,
wo yaadein aapki ek saath rahe.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts