aaj phir ek aam din tha aur ab ek aam raat hai

aaj phir ek aam din tha,
aur ab ek aam raat hai.

sunayi tune jab kuch kahaniyaan,
to kaano mein gunjati teri meethi si awaaz hai.

phir na jaane kyu tardap raha dil mera,
phir se meri nazre chauhkhat ke aas paas hai.

aaj phir ek aam dinn tha,
aur ab ek aam raat hai.

humne kanto ki na kari fikar,
yeh dil aaj bhi kambakt ishq ka gulam hai.

khud se jo pooche maine kuch sawaal,
uska sirf tu hi ek jawab hai.

tu hai to haseen meri zindagi,
bas tu hi meri khushion ka raaz hai.

aaj phir ek aam din tha,
aur ab ek aam raat hai.


No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts