toot kar bikhar gaye saare sapne pyar ke

sooni si zindagi mein meri is tarah aayi bahar,
dher saare sapne aur khushiya laayi hazaar,
armaano ke pankh kholkar udne laga yeh dil,
sapno se pyara lagne laga sansar.

khuda se jo bhi maanga tha maine
woh sab jaise mil gaya,
mere gulshan mein jaise
har ek gul khil gaya.

par nadaan the hum,
yeh jana hi nahi
ki yeh khushiya kuch palon mein,
kho jayegi kahi.

phir soona sa ho gaya
apna yeh aashiyana,
baaki tha to bas aankho se
ashkon ko bahana.

toot kar bikhar gaye saare sapne pyar ke,
sheeshe ke the saare waade yaar ke,
zindagi mein dekhe the dukh pehle bhi,
par har pal na mare the pehle aise haar ke.

sochte hai ke ab jo hua
uske peeche koi majboori hogi,
khuda ne kuch sochkar hi
tay ki yeh doori hogi.

yuh milkar bichardne se achcha,
hum akele hote to bhi na darte,
agar pata hota kismat ki is berehmi ka,
to hum bhi kabhi mohabbat na karte.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts