tum bas mere khayaalon mein raho

tum bas mere khayaalon mein raho
dekho kahi ru-ba-ru na ho jaana,
main dil ki baatein kehne mein aksar chook jaata hoon.

dekho tum mujhse koi ummeed na lagaana,
tum bas mere khayaalon mein raho
dekho kahi ru-ba-ru na ho jaana.

yeh nazarein kuch chhupa nahi paati hai,
inmein tumhari hi jhalak nazar aati hai,
tum mujhse kabhi apni nazarein na milana,
tum bas mere khayaalon mein raho
dekho kahi ru-ba-ru na ho jaana.

maine apni kuch majbooriyon ko
is dil mein dafan kar rakha hai,
tum is dil par apna koi daava bhi na jatana,

kuch bhi aasaan nahi meri raahon mein,
koi jannat bhi nahi meri inn baahon mein,
mohobbat ka falsafa kuch aur hai meri is duniyaa ka,
dekho baaki umr ke khaatir tum koi dard na kamaana,
tum bas mere khayaalon mein raho
dekho kahi ru-ba-ru na ho jaana.



No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts