har mulaakat mein hum unse kitni door huye jaate hain

nazdikiyaan faasle bhi bana deti hain,
humse pucho jara aye dil,

har mulaakat mein hum unse
kitni door huye jaate hain,

hume pardh hi nahi paati
un aankhon ki, beparwaahi,

hum har shaam in aankhon mein,
kuch chubhta sa paate hain,

shikaayat yeh nahi humko
woh meri raah nahi chalte,

naa unka raasta tay hai,
naa wo manzil bataate hain,

naa jaane kya jataane ko
mere pehlu mein baithe hain,

zehen mein kuch, nazar mein kuch,
or jubaan se kuch bataate hain,

wo mujhko ‘woh’ sunaate hain,
main jo sunkar tardapta hoon,

main jo sunkar tardapta hoon,
woh phir-phir sunaate hain,

naa jaane kyon wo zid mein hain,
main unke paas hi baithun,

naa jaane kyon wo paas aakar,
phir itni door jaate hain,

mujhe naa chaand hona tha
woh samjhe hain ki main khush hoon,

wo nazarien kyon uthi, kisper uthi,
khayaal aise kahi kuch to mere bheetar jalaate hain.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts