ab jaana ki wo itna kyun hasste the

wo har baat pe hasste the
wo aise hasste, wo waise hasste the,

wo naa jaane kyun hassa karte the,
wo meri har baat pe hasste the,

wo mere pyaar pe hasste the,
kyun ki wo dilagi kar rahe the,

wo mere bewakoophi pe hasste the
kyoun ki wo mujhe bewakooph bana rahe the,
ab jaana ki wo itna kyun hasste the.

tum bas mere khayaalon mein raho

tum bas mere khayaalon mein raho
dekho kahi ru-ba-ru na ho jaana,
main dil ki baatein kehne mein aksar chook jaata hoon.

dekho tum mujhse koi ummeed na lagaana,
tum bas mere khayaalon mein raho
dekho kahi ru-ba-ru na ho jaana.

yeh nazarein kuch chhupa nahi paati hai,
inmein tumhari hi jhalak nazar aati hai,
tum mujhse kabhi apni nazarein na milana,
tum bas mere khayaalon mein raho
dekho kahi ru-ba-ru na ho jaana.

maine apni kuch majbooriyon ko
is dil mein dafan kar rakha hai,
tum is dil par apna koi daava bhi na jatana,

kuch bhi aasaan nahi meri raahon mein,
koi jannat bhi nahi meri inn baahon mein,
mohobbat ka falsafa kuch aur hai meri is duniyaa ka,
dekho baaki umr ke khaatir tum koi dard na kamaana,
tum bas mere khayaalon mein raho
dekho kahi ru-ba-ru na ho jaana.



har mulaakat mein hum unse kitni door huye jaate hain

nazdikiyaan faasle bhi bana deti hain,
humse pucho jara aye dil,

har mulaakat mein hum unse
kitni door huye jaate hain,

hume pardh hi nahi paati
un aankhon ki, beparwaahi,

hum har shaam in aankhon mein,
kuch chubhta sa paate hain,

shikaayat yeh nahi humko
woh meri raah nahi chalte,

naa unka raasta tay hai,
naa wo manzil bataate hain,

naa jaane kya jataane ko
mere pehlu mein baithe hain,

zehen mein kuch, nazar mein kuch,
or jubaan se kuch bataate hain,

wo mujhko ‘woh’ sunaate hain,
main jo sunkar tardapta hoon,

main jo sunkar tardapta hoon,
woh phir-phir sunaate hain,

naa jaane kyon wo zid mein hain,
main unke paas hi baithun,

naa jaane kyon wo paas aakar,
phir itni door jaate hain,

mujhe naa chaand hona tha
woh samjhe hain ki main khush hoon,

wo nazarien kyon uthi, kisper uthi,
khayaal aise kahi kuch to mere bheetar jalaate hain.

dekhna kabhi murd ke aye monika

jogi hoon main ya hoon koi ashique awaara,
aa thaam le haath mera aur de de mujhe bhi jeene ka sahara.

be-asar hai aaj zindagi, aaj raatein bhi meri madhosh hain,
nasha hai tere pyar ka aur badnaam aaj sarfarosh raaj hai,

kaise samjhaon tujhe ki hum tumhein kis hadd tak chahate hain.
dekhna kabhi murd ke aye monika,
hum mohabbat ki harr hadd tak tujhpe marte hain.

na jaane kaun hoon main, koi jogi ya hoon ashique awaara,
chahegi jo mujhe tum jaisi koi pari to hoga yeh ehsaan tumhara.

chahe le lo sab kuch mera, banke reh lunga sirf ghulam tumhara,
bas ab aur jeena nahi asaan,
ab yeh dil de diya tumhein, ab yeh nahi raha hamara.

na jaane kaun hoon main,
koi jogi ya hoon ashique awaara.

mat poooch ki kya haal hai mera tere aage

main uska hun woh iss ehsaas se inkaar karti hai,
bhari mehfil mein bhi ruswaa har baar karti hai,

yaki hai saari duniya ko, khafa hai humse woh lekin,
mujhe maaloom hai phir bhi mujhi se pyaar karti hai,

main jab bhi tez chalta hoon, nazaare chut jaate hain,
koi jab roop gardta hoon to saanche toot jaate hain,

main roota hoon to aakar log kandha thap thapate hain,
main hassta hoon to mujhse log aksar rooth jaate hain,

mat poooch ki kya haal hai mera tere aage,
tu dekh le kya rang hain tera mere aage,

sazi hai khushnuma mehfil, sabhi dildaar baithe hain,
jidhar dekho udhar hi ishq ke bimaar baithe hain,

hanseeno ki adaon pe sabhi dil haar baithe hain,
hazaron mar-mitte aur sekdon taiyaar baithe hain.

hum pagal tumhara intezaar kiye jaa rahe hain

har baar tumne dil dukhaya hamara,
hum pagal phir bhi pyar kiye ja rahe hain.

har baar tumne mazaak urdaya hamara,
ghayal dil liye hum pyar kiye ja rahe hain.

bohat khushnaseeb honge woh jinhe pyar milega tumhara,
khud ko badnaseeb samajh kar pyar kiye ja rahe hain.

man mein tumko paane ki khwahish liye jaa rahe hain,
hum pagal premi tumhara intezaar kiye jaa rahe hain. 

maanav jeevan

maanav jeevan.. kya tera hai yahi arth,
sab kuch sehna.. ant mein ho jaata hai vyarth.

jiski khaatir har dukh jhelaa haste haste,
usne har ek rista torda antim path mein.

us jeevan ko bojh samjh ke kyun fenka hai,
jis jeevan ne usse banaya hai samarath.

antim path mein saaya bhi to saath nahi hai,
jeete to hai par jeene mein koi baat nahi hai.

humne jab koi bhed kiya na tere jeevan se,
tujhe paane mein kabhi rakhi na koi shart.

hum yeh jeevan dhote hain rokar ki ab yun,
sochte hain,  jeete hain aakhir ab hum kyun,

kaise bhule unhein jise khoon se seecha hai
usne hi iss antim path ka kiya anarath. 

door na hona kabhi tum mujhse

ho zindagi pe hamari karam tumhara,
zindagi hamari sawar jayegi,
band aankhon se jab dekhun koi sapna suhana,
mujhe teri surat nazar aayegi.

chahat jo ab tumse mujhe hai,
woh khuda tumhein banayegi,
dede jo tum saath mera humsafar banke,
udaasi meri mujhse rooth jayegi.

door na hona kabhi tum mujhse zindagi mein,
palkein aanshuon se bheeg jayengi,
bus yeh hi aarzoo hai is dil-e nadaan ki,
jo ho tu samne toh maut bhi muskura ke gale lagayegi.

All Time's Favourite Posts