teri banhon mein aaj so jaaye

teri banhon mein aaj so jaaye,
teri aankhon mein aaj kho jaaye,

dil to yeh aaj apna kehta hai,
tere diwaane aaj ho jaaye,

bekarari yeh dil ki kehti hai,
teri chahat mein aaj kho jaaye,

tujh ko dhadkan banale apni,
saari duniya se door ho jaaye,

tum agar sath doo-ge mera sanam,
saari duniya ko chord aayenge,

tujh ko apna jahaan banayenge,
saari duniya se hum chura layenge,

teri banhon mein aaj so jaaye,
teri aankhon mein aaj kho jaaye.

woh kuch iss tarah se humko tadpa rahe hain

woh kuch iss tarah se humko tadpa rahe hain,
ke aate-aate kareeb woh raste se laut kar jaa rahe hain,
rokna chahate hain hum unhein issi liye,
kin-kin bahano se unhein samjha rahe hain.

kabhi jaaneja.. kabhi jaaneman.. kabhi jaanebahar,
kah kar unko bula rahe hain,
woh kuch iss tarah se humein tadpa rahe hain,

kabhi aa rahe hain, kabhi jaa rahe hain,
kabhi hans rahe hain, kabhi sharma rahe hain,
pehle naraz karke phir khud hi manna rahe hain,
woh kuch iss tarah se humko manna rahe hain,

kabhi aankhein dikha rahe hain,
kabhi ankhein chura rahe hain,
kabhi hak jata kar dant rahe hain,
phir ussi pal sarrart se ankhein juka rahe hain,
woh kuch iss tarah se humko tadpa rahe hain,

unka masti bhari baatein karna,
woh mausam ko rangeen bana rahe hain,
aur karte-karte baatein khamosh hona dekh kar,
hum maan hi maan ghabra rahe hain,
woh kuch iss tarah se humko tadpa rahe hain.

har roz jeete hain har roz marte hain

har roz jeete hain har roz marte hain,
jab se hua hai ishq har pal tardapte hain.

churaya hai jis ajnabi ne dil yeh mera,
ussi chehre ko khawabon mein dhundhte hain.

ek nazar hi uski humko hum se begana kar gayi,
uski talaash mein ab hum dar-b-dar bhatakte hain.

koi mila de humein uss ajnabi se zaraa,
bas yahi hum sabse kehte rehte hain.

woh ajnabi jo mujhko apna sa hai laga,
bas usse paane ki chahat mein hum tardapte rehte hain.

na ho saka humse kuch.. to yeh paigaam hawaaon ko de diya,
bata ayehawaa mere dil ka haal, jo apne ghar mein bethe hain.

har roz jeete hain har roz marte hain,
jab se hua hai ishq har pal tardapte hain. 

abhi na jaaiye

mausam ka ishaara hai abhi na jaaiye,
tord ke yoon dil humara abhi na jaaiye.

bahaar ke rang ghule hain fizaaon mein,
bahaar ke aanchal se uth kar na jaaiye.

zamane ki gardishen ruk to nahi jayengi,
duniya ki khatir humko chord ke na jaaiye.

jaane se aapke rooth ke baithe hain hum,
ab humko manane ki khatir hi na jaaiye.

aankhon ki chamak humse chupate hain aap kyun,
aarzuon ne li hain angdaaiyan, abhi na jaaiye. 

world is an exchanging place

this world is an exchanging place,
it’s give and take! we are midst a race!

the pithy sun gives light and hues
heat that warms our souls and hearts.
in turn, we turn to dust, pure dust,
of micro-microns, spread athwart!

and move upwards, move up, and up,
in quest of reaching our own base.
it’s give and take. we are midst a race!

on the way, we are captured, enshrouded,
by condensing moistures in sky.
and clouds are formed round us, shortly
we are thrust earthward, midst thunderous cry!!

and drop with rain droplets on earth.
if saved from traps, we are back to space!
its give and take! we are midst a race!

there various forces drag us on,
and zigzag paths take quite long time!
such time, that ages pass quietly,
that we are speeding fast: past-prime!!

you are there, if we can reach: that’s true!
but after all, how shall we face?
it’s give and take! we are midst a race!


All Time's Favourite Posts