sath mat chhod dena kabhi tum mera iss safar mein

sath mat chhod dena kabhi tum mera iss safar mein, 
adhure safar mein akele main chal nahi paunga, 

khwaish yehi hai ki sath chale hamesha tu yuhi, 
bin tumhare yaha main akela-tannha ho jaunga, 

na chhute yeh sath hamara iss zindagi mein kabhi, 
tumhare sang pyaar bhara ek aashiyan basaunga, 

wada raha har khwahis puri karunga main teri, 
tujhe hamesha yun issi tarah har pal main chahunga, 

tere pyaar ke liye main kuch aisa kabhi kar jaauga, 
dard na ho tujhe kabhi main har dard ko seh jaunga, 

adhura na rahe kahi hammara pyaar iss janam mein, 
warna yeh tuta hua dil le ke main phir kaha jaunga?

sath hi na ho tera to ruth jayegi har khusi mujhse, 
bin tere kabhi khusi ke pal main mehsus hi nahi kar paunga.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts