sapno mein aane ka wada karo to

sapno mein aane ka wada karo to, 
kabhi na jagoon iss neend se.

milne ka wada karo to, 
duniya chord doon tumhare liye. 

aankhon mein baas jaao to, 
kabhi na palakon ko bandh karoon.

sath chalne ka wada karo to, 
kabhi rokun na apne kadam.

pyaar ka wada karo to saup doon, 
khud ko tumhare hawaale,

dhadkan banne ka wada karo to, 
dil mein band kar ke rakh loon, 
saanso mein basa loon tumko.

tu hi tu, tu hi tu, bas tu hi tu

har sans mein tu,
dil ki aash mein tu,
labon ki pyaas mein tu,
tu hi tu, tu hi tu, bas tu hi tu.

sabse khash mein tu,
mann ke paas mein tu,
har saas mein tu,
tu hi tu, tu hi tu, bas tu hi tu.

hum to aisa zahar pi rahe hain,
na mar rahe hai, na jee rahe hain,
kanto ki rah par hum chal rahe hain,
aashko se daman hum si rahe hain,

har baat mein tu,
mulakat mein tu,
din-raat mein tu,
tu hi tu, tu hi tu, bas tu hi tu.

tu hi bata yeh rishta hai kaisa,
jalte huye angaro ke jaisa,
sare badan mein lagti agan hai,
phir bhi lagta hai humko yeh achchha,

har khwab mein tu,
sawal mein tu,
javab mein tu,
tu hi tu, tu hi tu, bas tu hi tu.

aankho mein chehra tera hi hum ne chhupa liya hai,
naam zubaan pe tera hi hum ne sajja liya hai,
tujhse dhardakti hai dhadkan hamari,
zindgi tumko hi hum ne bana liya hai,

har ada mein tu,
yaad mein tu,
faryaad mein tu,
tu hi tu, tu hi tu, bas tu hi tu

hum tujhe itna pyaar karenge

hum tujhe itna pyaar karenge, 
ki khud ko barbaad karenge , 

na lamha, na waqt ka intezaar karenge, 
subah se lekar shaam tak pyar karenge, 

har din khud ko adhura karenge, 
ki pyar tujh ko poora karenge, 

koshish dil ko samjhane ki karenge, 
na mana to dar par aa marenge, 

kisi ne na kiya hoga koi itna pyar, 
teri aarzoo mein apni hasti fanaa karenge, 
ki hum tujhe itna pyaar karenge.


tu ban ja meri aur mujh ko apna bana le

aao hum waqt se kuch lamhein chura le,
hain jo yeh dooriyaan paas inhein mita le,
koi rok naa paaye ab yeh mohabbat apni,
tu ban ja meri aur mujh ko apna bana le.

apni aankhon mein aaj tu mujh ko basa le,
meri dhardkano se apni dhardkanein saja le,
dhoondh na paaye kabhi yeh jahaan humein,
tu ban ja meri aur mujh ko apna bana le.

ban kar zindagi tu mujhe gale se laga le,
meri saanson mein apni saansein sama le,
bhula naa paaye hum yeh lamha kabhi,
tu ban ja meri aur mujh ko apna bana le.

duniya ki har rasm, har riwaz bhula le,
di tujhe izazat yeh hosh-o-hawaas urda le,
jee naa paaye juda hum phir ek lamha bhi,
tu ban ja meri aur mujh ko apna bana le.

Happy Independence Day

wherever you are…

don’t stop, don’t quit!
or… you won’t make it.

I know the journey is long…
I know the path is rough…
I know you feel like giving up…

don’t...!
don’t stop believing!
don’t stop leading!

I know you are tired…
I know you are getting weak…
I know that you can hardly speak…

but don’t give up!
we are almost there!
please don’t despair!

I know this tunnel is narrow…
I know that it’s getting dark…
I know it seems like we are lost…

but we have to take this chance…
we have to take a risk…
believe me, it will be worth it!

we must persevere,
for the end is near,

look the dawn is breaking!
we finally made it!
we are finally free! 
here’s the key!

all we have left to do is 
open the door to our eternity…

hello to love, goodbye to hate,
hello to joy, goodbye to sadness,
hello to happiness, goodbye to madness,
hello to beauty, goodbye to pain.

Happy Independence Day!!

I wish her heart flows with unconditional love

her heart so pure like a dove
I wish her heart flows with unconditional love,

every moment I look at her,
I forget my world,
I forget my pains worries and all my sorrows
as I look at her smile,

am I mesmerized and fascinated when I look the girl cry
every tear that I wipe away gives me pleasure so high,

and I have no words to express my contentment faded,
dreams broken, heart shattered hopes
that was me drenching in pain until I saw her smile.


one smile of her has changed my life,
hope in me has taken its rebirth
and my heart flooding with love for her.


that innocent smile of her,
far away from all the egos and hatreds
I wish it last forever on those little lips.

naa karna kabhi bewafai

laakh gum ho seh lenge,
naa seh paayenge judaai.
chahe meri jaan lelo monika,
magar naa karna kabhi bewafai.

ab ke baras na sawan barse

ab ke na sawan barse,
ab ke baras to barsengi ankhiyan,
jaane kaise ab ke yeh mausam beete,
beetegi jo tere bin woh kab beete,

tere bina sawan sunne,
tere bina ab to yeh mann tarse,
ab ke na sawaan barse,
ab ke baras to barsengi ankhiyan.

jaane kab aaye din, din dhal jaye,
tere bin akhiyan mein raat na jaye,
tera bina ab to yeh din tarse,
ab ke na sawaan barse,
ab ke baras to barsengi ankhiyan.

aaj ek vaada karta hoon

aaj tumse ek vaada karta hoon main,
bas sirf tumse mohabbat kiye jaaunga,

ek shikan na aane dunga tumhare maathe par
tumhari duniya pyar aur sirf pyar se bharunga,

kabhi akela nahi chordunga, 

hamesha saath dunga,
tumhare liye main duniya se bhi lardunga,

kuch kehne ki zaroorat na hogi tumhein,
tumhare dil ki baat tumhari aankhon se pardhunga,

jaha bhi tum jaaogi,
tumhare peeche chala aaunga,
tumhare liye apni saari raahein mordunga,

apna mukaddar bana liya hai ab to tumhein humne,
tumhare liye ghar kya main yeh jahan bhi chordunga,

aayegi ek din jo mere ghar ki rounak bankar
mera naam tumhare naam se hamesha ke liye jordunga,

be-intehaa pyar dunga,
kabhi isse kam na hone dunga,
yeh mera vaada hai tumse, 
isse kabhi nahi tordunga.

woh rehti hai mere jeevan mein

dil mein meri dhardkan ki tarah,
sanson mein khushboo ki tarah,
woh rehti hai mere jeevan mein,
bajte huye ghunghru ki tarah.

din mein jalte suraj ki tarah,
raaton ko bhigi chandni ki tarah,
woh rehti hai mere nas nas mein,
behte huye garm lahu ki tarah.

baaghon mein phulon ki tarah,
sangeet mein sargam ki tarah,
woh rehti hai mere khayalo mein,
jharne ke behte paani ki tarah.

shaam ki shital pawan ki tarah,
tere hath mein bajte kangan ki tarah,
main chaahoon sajjna tere jeevan mein,
tere mang mein rache sindoor ki tarah. 

tum mujh ko ache lagte ho

ek baat kahon gar sunte ho
tum mujh ko ache lagte ho,

kuch chanchal se
kuch chup chup se,
kuch pagal pagal lagte ho,

mujhe chahane wale aur bahot
par tum mein hai ek baat bahot
tum apne apane lagte ho,


ek baat kahon gar sunte ho
tum mujh ko ache lagte ho,

yeh baat baat mein kho jana,
kuch kehte kehte ruk jana,

jo baat hai dil mein keh daalo,
yeh kis uljhan mein rehte ho,

ek baat kahon gar sunte ho,
tum mujh ko ache lagte ho

sath mat chhod dena kabhi tum mera iss safar mein

sath mat chhod dena kabhi tum mera iss safar mein, 
adhure safar mein akele main chal nahi paunga, 

khwaish yehi hai ki sath chale hamesha tu yuhi, 
bin tumhare yaha main akela-tannha ho jaunga, 

na chhute yeh sath hamara iss zindagi mein kabhi, 
tumhare sang pyaar bhara ek aashiyan basaunga, 

wada raha har khwahis puri karunga main teri, 
tujhe hamesha yun issi tarah har pal main chahunga, 

tere pyaar ke liye main kuch aisa kabhi kar jaauga, 
dard na ho tujhe kabhi main har dard ko seh jaunga, 

adhura na rahe kahi hammara pyaar iss janam mein, 
warna yeh tuta hua dil le ke main phir kaha jaunga?

sath hi na ho tera to ruth jayegi har khusi mujhse, 
bin tere kabhi khusi ke pal main mehsus hi nahi kar paunga.

atte ho tum barsaat mein

atte ho tum barsaat mein
deewana mujhe banate ho,
mere bheege badan ko dekh kar
shrarat se muskurate ho.

kap-kapate ias jism ko
apni bahon ka anchal urdate ho,
dhadkate huye humare dil ko
apni baaton se sehlate ho.


jalti hai mann mein ek jawala
jisko samjh khoob tum jaate ho,
band kar le jo hum apni ankhein
bas humein hi dekhe jaate ho.

chum kar matha humara
ser par rakh hath, seene se lagate ho,
khud apne se, apna maan badate ho.

atte ho tum barsaat mein, 
deewana mujhe banate ho.

All Time's Favourite Posts