dil mein mere aksar yeh khayaal aate hain

kabhi kabhi aksar mere dil mein khayaal ye aate hain,
karte hain kyun ek dooje se itna pyar, yehi khayaal aate hain,

tujh bin rehta hoon gumsum ab to har ghadi main,
mere bechain dil ko sirf tere hi khayaal aate hain,

karte ho mohabbat mujhse kyon apni jaan se jada tum,
har waqt dil o dimaag mein mere yehi khayaal aate hain,

katata nahi ek pal ab tumhare bin mere humsafar,
milaya hai hume khuda ne, iss tarah khayaal aate hain,

bana liya hai tumne humein apna humare mann ko chukar,
ki ab to subah shaam dil ko sirf, tumhare khayaal aate hain,

rehna hai ek dooje sang humesha hum dono ko ab yun hi,
mann mein humare khuda se dua ka, yehi khayaal aate hain,

ho jaayen bhale hi juda ek dooje se hum dono kabhi,
mann se sada ek rahenge dono, yeh khayaal aate hain,

dil mein mere aksar yeh khayaal aate hain,
the.. hain aur rahenge sirf tumhare, yehi khayaal aate hain,

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts