bas ek hi baat se darta hoon

inn chamakte sitaronse mein aksar baatein karta hoon, 
unse har roz apne dil ki kuch fariyad karta hoon, 

maine jise apne dil mein basaya hai woh kab milengi, 
bas yehi aksar sitaron se main puchha karta hoon, 

sitare bhi pard jaate hain soch mein halat dekh ke, 
woh puchte hain ki main usse kitna pyar kara hoon? 

phir honthon pe aa jati hai muskurahat mere, 
kyuki main usse dil-o-jaan se mohabbat karta hoon,

main aur sitare aksar yun haste hain phir raat ko,
hasti rahe woh sada yehi khwaish unse karta hoon, 

yeh raaj darta nahi iss duniya mein kisi baat se, 
zindagi mein usse kho na doon, bas ussi baat se darta hoon.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts