maine ishq kerna sikh liya

dil se dil ka lagana sikh liya,
ab maine muskurana sikh liya,
gungunaye jise hum umar bhar,
labon ne wo tarana sikh liya,

shehar-e-wafa hai tera thikaana,
mil kar tujhse yaarana sikh liya,
chupa kar tumhe aankhon mein,
in nazaron ne sharmana sikh liya,

aaye ho jab se meri zindagi mein,
mukkadar ko aazmana sikh liya,
bas jaaye jo teri dhadkanon mein,
wo andaaz shayarana sikh liya,

sach kahte hai yeh zamane wale,
maine ishq kerna sikh liya.


naam chota sa hai Raj


kisi ko taklif dena meri aadat nahi hai, 
bin bulaya mehmaan banna meri aadat nahi hai.

main apne ghammo me rahta hoon nawaboon ki tarah, 
parayi khushiyoon ke paas jaana meri aadat nahi hai. 

sabko hasta hi dekhna chahata hoon main, 
kisi ko dhokhe se bhi rulana meri aadat nahi hai. 

baatana chahata hoon to bas pyar aur mohabbat, 
yun naffrat failaana meri aadat nahi hai.

zindagi mit jaaye kisi ke khaatir to koi gham nahi, 
koi baddua de marne ki.. yun jeena meri aadat nahi hai.

sabse dost ki haishiyaat se bol leta hoon, 
kisi ka dil dukha du aisi meri aadat nahi hai. 

dosti hoti hai dillo se chahane par, 
jabarjasti dosti kerni meri aadat nahi hai.

naam chota sa hai Raj,
magar dil barda rakhta hoon, 
paiso se utna aamir nahi hoon magar,
apne yaaro ke gham kharidne ki haishayat rakhta hoon.

hum tumhaare liye, tum hamaare liye

hai jagah puri dil mein tumhaare liye,
tum banaao zaraa-si hamaare liye.

muskuraaye ho jab bhi mile hai nazar,
maan lo, dil mein hai kuch hamaare liye.

aashma mein dhoop honge hamesa nahi,
raat aayegi phir chaand taare liye.

dekh lo, ab hawaa aa rahi hai idhar,
jism chhu kar tumhaara, hamaare liye.

kya hua hai? kahaan hai tumhaaree nazar?
hoon yahaan, aashmaan ke sitaare liye.

baag hai yah wahi, aashiyaana wahi,
phir bahaar aa gayi hai nazaare liye.

pankh suljha raha hai chirhi ke chirha,
kis suhaane lamhein ke ishaarey liye?

aa gaya hoon, chalo phir safar par chalein,
ishq hai saath, saare idaare liye.

shaam dhhalte hi, ab subah nayi aayegi,
zindagi mein naye khwaab pyaare liye.

sach yahi hai, bahut chaahta hoon tumhein,
hum tumhaare liye, tum hamaare liye.

sanam tere liye

dhardkano ka hai fasana sanam tere liye,
mera ye dil hai deewana sanam tere liye,

kuch aur nahi paas, sirf hai jazbaat mere,
mohabbat ka hai nazrana sanam tere liye,

tere ehsaas se behakte hai mere armaan,
in hothon ka hai paimana sanam tere liye,

chehre par noor aa jata hai tumhe dekh kar,
muskurahat ka hai khazana sanam tere liye,

dhoondte hai mere lafaz tujh ko har saans par,
likha maine hai har tarana sanam tere liye,

paa kar tumhe lagti hai yeh zindagi dua jaisi,
khuda ka hai lakh shukriya sanam tere liye.

always be you and I..

the eyes are the windows to your soul
through the lips, the hearts open door.
it is love bringing us so close together
a smile you once lost I will soon restore.

it is you who inspires me in my poems
through all the heartfelt words, I write.
you are the one star I hope to reach for
I see outside of my window each night.

you are the dreams, I close my eyes for
every night in bed, before I fall asleep.
you are the emotions deep in my heart
that mended my heart to be complete.

if ever the sun slept throughout the day,
if ever the bluest ocean ran so very dry,
if ever the night, was without the moon
there would still always be, you and I.

raj ka ek aur chota sa sapna

zindagi mein lakhon hazaron sapne,
har sapne par mar-mit jaane ka sapna,

sapnon ko hakikat ke rangon mein sajane ka sapna,
tujhe, sirf tujhe apna banane ka sapna,

beshaq ruth kar aap maano ya na maano,
lekin tujhe baar-baar har baar manane ka sapna,

hamari zindagi mein chahe gum hi gum kyon na ho,
par tere laboon pe muskaan laane ka sapna,

erada bhi tujhse rahega, vaada bhi tujhse rahega,
aapse kiye har vaade ko nibhane ka sapna,

mohabbat itni karun ki zamana bhi mujhe deewana kahne lage,
teri chaahat mein mar-mit jaon, tere ess deewane ka sapna,

tujhe katon se to kya phoolon se bhi gila na ho,
tere kadmon mein phool bankar bikhr jaane ka sapna,

sapno ki ess bhird mein raj ka ek aur chota sa sapna,
tere har khayal har sapne mein aane ka sapna.


rakha maine apne ghar ka naam mohabbat hai

mere dil ki har dhadkan ka paygaam mohabbat hai,
intezaar mein likhi wo har kavita mohabbat hai,

ye haseen armaan mere, wo bebak jazbe tere,
mil jaye dono yaha, to har shaam mohabbat hai,

kab shuru hua ye chahton ka silsila khabar nahi,
mere dil ne ki tujhse umar tamaam mohabbat hai,

banaya hai khuda ne mujh ko tere pyaar ke liye,
meri zindagi ka aagaaz aur anjaam mohabbat hai,

tu jahan bhi rahe, mera dar wahi tere saath hai,
rakha maine apne ghar ka naam mohabbat hai.


my future wife

dark clouds backlit by the moon,
an eerie silver light falling on the horizon,
our spirits flowing in the night
walk with me across this land
sipping the drink you carry in your hand.

survey the world that lies before us,
a life of our making and choosing
our dreams we are making a reality,
a lifetime of dreams come true
is a gift from me to you.

you already made my dreams a reality
from the moment you said hello,
every day is better than the day before
I never thought I would live this life
eternally loved by you, my future wife.

I will give it all back to you
all the love and respect you give,
I will honor you for all my life
each day making your dreams come true,
spending my life giving it all to you.

raj ki zindagi ki har chahat tu hai

khawaboon khayalon mein tu hai,
mere har sawalon mein tu hai,

zindagi ki har rahoon mein tu hai,
meri bahoon mein tu hai,
nighahon mein tu hai,

meri har baat mein tu hai,
meri har raat mein tu hai,

meri kadmon ki aahat tu hai,
raj ki zindagi ki har chahat tu hai.

sirf tujhse pyaar karna chahata hoon

seene mein apne, tum ko dafan kar dun,
ruh mein tum ko basana chahta hoon,

apni awaaz, apni zindagi tere sang kar dun,
dhoop mein, tujh ko chaoon banana chahta hoon,

teri aankhon ke kinaroon ko band kar ke,
inn jheelon mein khud dub jana chahta hoon,

tera chehare mein basi koi shaam apni,
in laboon ke kinare ghar basana chahta hoon,

teri har saans sae zindagi ka ehsaas pa kar,
tere jism ke har khayaal mein chup jana chahta hoon,

meri mehak mein teri khushbu yun bus jaaye,
tu moti mein seep ho jana chahata hoon,

teri goud mein sar, tere anchal me apna dil,
inhi mein chup kar, ab sona chahta hoon,

meri dhadhkanein to liya karti hain naam tera,
har dhadhkan tera naam lena chahata hoon,

meri ankhoon mein, tu basi rahegi hamesha,
teri thandak aankhoon mein basana chahata hoon,

zehan mein, soch mein nahi ek pal mujh ko sukoon,
tere junoon ko sukkoon banana chahta hoon,

apni moabbat ko woh anjaaam dena chahata hoon,
iss mohabbat ko tera naam dena chahata hoon,

kar di izhaar baatein jo chupi thi dil mein,
haan mein tujhse – sirf tujhse pyaar karna chahata hoon.


aisa apna husband ho

aisa apna husband ho,
6′ – 6’2″ jiski height ho,
jeans dheeli magar body tight ho,
biwi ke har nakhre uthaye, 
itna mizaaz uska light ho,
husband apna aisa bright ho...!

uff tak na kare itna quiet ho,
dinner banaye woh
 jab bhi romantic night ho,
shopping kar ke jab bhi aoon, 
bole begum tum kitni nice ho,
husband apna aisa bright ho...!

mujhe rani bana kar rakhe, 
to phir zindagi delight ho,
saas sussar ke samne kahe, 
jaan tum hamesha right ho.

hamesha jo haar maan jaye,
jab bhi koi apni fight ho,
husband apna aisa bright ho.

jahan chahoon jaoon, 
jo chahe karoon, 
kuch is tarah ki life ho.
har doosre week 
ghoomne phirne ki flight ho,
aisa ho jaye to 
mein urroon aasmaan mein,
 jaise ke koi kite ho,
husband apna aisa bright ho..!

All Time's Favourite Posts