hum tumhaare liye, tum hamaare liye

hai jagah puri dil mein tumhaare liye,
tum banaao zaraa-si hamaare liye.

muskuraaye ho jab bhi mile hai nazar,
maan lo, dil mein hai kuch hamaare liye.

aashma mein dhoop honge hamesa nahi,
raat aayegi phir chaand taare liye.

dekh lo, ab hawaa aa rahi hai idhar,
jism chhu kar tumhaara, hamaare liye.

kya hua hai? kahaan hai tumhaaree nazar?
hoon yahaan, aashmaan ke sitaare liye.

baag hai yah wahi, aashiyaana wahi,
phir bahaar aa gayi hai nazaare liye.

pankh suljha raha hai chirhi ke chirha,
kis suhaane lamhein ke ishaarey liye?

aa gaya hoon, chalo phir safar par chalein,
ishq hai saath, saare idaare liye.

shaam dhhalte hi, ab subah nayi aayegi,
zindagi mein naye khwaab pyaare liye.

sach yahi hai, bahut chaahta hoon tumhein,
hum tumhaare liye, tum hamaare liye.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts