mere baba aaj bhi paise bachate hain

purani pant raffu kara pehante jaate hain,
branded new shirt dene pe aankhein dikhate hain,
tutte chasme se hi akhbaar padhne ka luft uthate hain,
topaz ke blade se dhadhi banate hain,
mere baba aaj bhi paise bachate hain.

kapda ka puraana thaila liye,
door ki mandi mein jaate hain,
bahut mol-bhav karke fal-sabji laate hain,
aata nahi kharidte, geyhun piswate hain,
mere baba aaj bhi paise bachate hain.

station se ghar paidal hi aate hain,
rikshaw lene se kat-raate hain,
sehat ka hawala dete jaate hain,
badhti mehngaayi par chinta jatate hain,
mere baba aaj bhi paise bachate hain.

poori garmi pankhe mein bitaate hain,
sardiyaan aane par rajaayi mei dubakk jaate hain,
ac/heater ko sehat ka dushman batate hain,
light-pankha khula chordne par gussa ho jaate hain,
mere baba aaj bhi paise bachate hain.

maa ke haath ke khaane mein ramte jaate hain,
bahar khaane mein aana-kaani machhate hain,
saaf-safayi ka hawala dete jaate hain,
mirch-masala-tel se ghabraate hain,
mere baba aaj bhi paise bachate hain.

guzare kal ke kisse sunate hain,
kaise yeh sab joda, garav se batate hain,
puraane dino ki yaad dilate hain,
bachhat ki ahemiat batate hain,
hamari har maang aaj bhi,
jhat se pura kerte jaate hain,
ha.. 
mere baba aaj bhi paise bachate hain.

jo keh rahe hai hum har bar nahi kahte

jo keh rahe hai hum har bar nahi kahte,
ke jismo ke milne ko hi pyar nahi kahte.

ke khamosh se aankhein hi keh jaati hai sab kuch,
jo kahe labbo se unko hi ijhaar nahi kahte.

aankhon mein unki aashu kajal se bhi hai pyaare,
ke husn ke sajne ko he shringaar nahi kahte.

jo dil agar hai saccha woh hai milaane waala,
yun
 hi khuda aye usko hum yaar nahi kahte.

jo keh rahe hai hum har bar nahi kahte,
lagta hai usne meri ebaadat ka sila diya hai,
jis mord pe thokar khaya, unme tumse mila diya hai.

aa chal aansmaan pe koodein, uchal ke phir chaand ko torde

aa chal aansmaan pe koodein,
uchal ke phir chaand ko torde,

baadlon pe girein to boodon pe fislein,
unke saath utar,  zameen ko choomein,

pakad mera haath, chal titliyon pe baithe,
phoolon ke ras ko hum bhi choosein,

bhar ke usse munh mein apne,
bhanware ki tarah hum bhi jhoomein,

dekhte ho kya, chal taaron ko tordein,
bhar ke jeb, jholi ko kholein,

hogi na raat kabhi jebo mein apne,
soch ke yhe hum khush ho lein,

sookha hai to chal uss mein naha lein
baki jo bache to usse baha dein,

girti hai roz subah bina nal khole,
naha kar chidiyon ki tarah chah-chaha lein.

yeh baat samajh mein aayi nahi

yeh baat samajh mein aayi nahi,
aur maa ne kabhi samjhayi nahi,
main kaise meethi baatein karoon?
jab meethi cheeez khayi nahi.

didi roz pakaati hai halwa,
aakhir kyon woh halwaai nahi?
mama ki mangni jab ho gayi kal,
kyon kal hi dulhan mangwayi nahi?
yeh baat samajh mein aayi nahi...

naani ke pati jab nana hain,
dadi ke pati jab dada hain,
tab didi se maine poocha,
baaji ke pati kiya baaja hain?

woh hans hans kar yoon kehne lagi,
aye bhai nahi.. aye bhai nahi,
yeh baat samajh mein aayi nahi,
yeh baat samajh mein aayi nahi...

jab naya mehmaan koi aata hai,
bijli ka bill bard jaata hai,
halaanki baadal bechaara,
yeh bijli mufft lutata hai,

phir humne apne ghar bijli,
kyon badal se lagwayi nahi?
yeh baat samajh mein aayi nahi,
yeh baat samajh mein aayi nahi...

agar billi sher ki mausi hai,
phir humne usse kyon pala hai,
kya sher bahut nalaayak hai,
mausi ko maar nikala hai?

ya jungle ke raja ke yahaan,
kiya milti doodh malayi nahi?
yeh baat samajh mein aayi nahi,
yeh baat samajh mein aayi nahi...

kyon lambe baal hain bhaalu ke,
kyon uss ki chattai krwayi nahi?
kya woh bhi ganda bacha hai,
ya uss ke papa aaye nahi?

yeh usska hair style hai kya?
ya jungle mein koi naayi nahi?
yeh baat samajh mein aayi nahi,
yeh baat samajh mein aayi nahi...

jo taare jagmagaya kerte hain,
kya unnke chachhe taayi nahi?
hoga koi to rishta sooraj se?
yeh baat humein kisi ne batlayi nahi.

par chanda kaise mama hai?
jab mummy ka woh bhai nahi?
yeh baat samajh mein aayi nahi,
aur mummy ne kabhi samjhayi nahi.

main kaise meethi baatein karoon?
jab meethi cheez khai nahi.

unhi purani galiyon mein

aaj chalte chalte pohonch gaya,
unhi purani galiyon mein,

jinh galiyon mein, bachpan mein,
humne kabhi khelna khoodna, seekha tha.

unhi galiyon ke, beecho beech,
abhi bhi hain woh bargad ka perd,

jiski ghani shawon mein baith ker,
baatein karna bajurgon se,
haste haste seekha tha.

wohi thordi door chalte hi,
gali mein, woh konne wala ghar,

jis ghar ke aangan mein,
oongali pakard ker,
kabhi girker to kabhi sambhalker,
humne phele chalna seekha tha.

o yaaro, kaise bhoola doon,
mein uss mitti ko,
jis mitti mein iss beej ne
phele ek chhota sa podda,
phir perd banna seekha tha.

kaise bhoola doon,
uss aangan ko,
jis aangan mein iss diye ne,
tez hawaoon se lardna,
aur jalte rahna seekha tha.

aaj chalte chalte pohonch gaya,
unhi purani galiyon mein,
jinh galiyon mein, bachpan mein,
humne kabhi khelna khoodna,
seekha tha.

what is love?

love is...
being happy for the other person when they are happy,
being sad for the other person when they are sad,
being together in good times and being together in bad times,
love is the source of strength!

love is...
being honest with yourself at all times,
being honest with the other person at all times,
telling, listening, respecting the truth
and never pretending,
love is the source of reality!

love is...
an understanding that is so complete that
you feel as if you are a part of the other person,
accepting the other person just the way they are
and not trying to change them to be something else,
love is the source of unity!

love is...
the freedom to pursue your own desires
while sharing your experiences with the other person,
the growth of one individual alongside of
and together with the growth of another individual,
love is the source of success!

love is...
the excitement of planning things together,
the excitement of doing things together,
love is the source of the future!

love is...
the fury of the storm,
the calm of the rainbow,
love is the source of passion!

love is...
giving and taking in a daily situation,
being patient with each other’s needs and desires,
love is the source of sharing!

love is...
knowing that the other person
will always be with you regardless of what happens,
missing the other person when they are away
but remaining near in heart at all times,
love is the source of security!

ek din tujh ko apna banaaunga main

aankhon mein jo sapne hain inhein sajaaunga main,
ek din tujh ko apna banaaunga main,

dil ki dharkan se aawaaz de kar,
tere dil mein utar jaaunga main,

har mausam bahaar ban jaaye,
geet aisa gun-gunaaunga main,

tere ghumon ko bhulaane ke liye,
apni khushiyaan baich aaunga main,

teri inn numm aankhon ki kasam,
inn mein kabhi aanshoo na laaunga main,

bas yehi kehta hai ab raaj
tujhko bhool ke jee na paaunga main.

dil ko kuch to aaram ho

chahe dhoop ho ya chhaon ho,
par dil ko kuch to aaram ho,
sukun de paaye jo mere iss bechain dil ko,
koi to laaye aisa paigaam woh.

subah ho ya shaam ho,
har waqt unka hi naam ho,
bhale door ho naaron se meri,
par aankhon mein unka hi khwaab ho.

jinki baaton mein ek ajeeb sa nasha ho,
jinki har adaa auron se juda ho,
dekh jinhein raaj ke dil ko mil jaaye sukoon,
koi to aisa mera humnashi, humshathi ho.

aakhir lardkiyan kya chahti hain

kabhi humein dekh kar muskurati hain,
aur kabhi nakhare dikhati hain,
aakhir lardkiyan kya chahti hain?

tammam kaam lardkon se nikalwati hain,
aur phir muh phair kar chali jati hain,
aakhir lardkiyan kya chahti hain?

humein muskura kar ghar bulati hain,
aur phir apne bhaiyoon se pitwati hain
aakhir lardkiyan kya chahti hain?

mood hoota hai to baat karti hain,
warna youn hi chali jati hain,

apni haar se humein tardpati hain,
aur dil dhardka kar chali jati hain, 
aakhir lardkiyan kya chahti hain?

apne ishaaroon ko kabze mein kar ke
saason ko rulati hain

apne patiyon se ghar ke kaam karwati hain,
aur khud aaram farmati hain
aakhir lardkiyan kya chahti hain?

aakhir yeh lardkiyan humain kyun hain pasand?
kyun ki sawan ki tarah aati hain aur chali jati hain
aur kuch dil mein reh jati hain

shayad lardkiyan yehi chahati hain,
aur yeh kya chahati hai …… ?

ek kahaani yaadon se...

woh beeti huyi shaam apne saath yaadon ko bhi le gayi,
woh aanshuon mein bheegi huyi ek dastaan bhi thi keh gayi,
bayaan karta hoon apne lafzon mein zazbaaton ki ek kahaani,
pariyon si ek ladki ki ek dard bhari kahaani...

yeh dastaan thi ek masoom pari ki jispe pyaar ka saaya tha,
jo toot gayi thi tabse jabse kissi ne usse thukraaya tha.
khamosh ho chuke labon par ek sannaata chha jata tha,
ashkon se bheege huye chehare se jab zulfon ko main hatata tha.

muskuraati thi woh hardam, harpal woh muskati thi,
main poochhta tha dard uska, woh nagme gungunati thi.
jab bheeg jati thi palkein kissi ko yaad karke,
dekhti thi meri taraf dil ke tukde chaar karke.

main thaamna jo chahta kabhi woh door hatt jaati thi,
mujhse apni dooriyon ka ehsaas bhi dikhati thi.
bebas thi woh dil ke haathon aur iss zamaane se anjaan thi,
nafrat bhi kaise karti woh , usse sirf pyaar ki pehchaan thi.

maine chorda usse kuch waqt akele uski tannhai mein,
dil ne roka mujhe bahut par chal diya de kar usse judaai main.
jab lauta main waapas woh phir se muskuraayi thi,
shayad kissi ke pyaar ki chamak uski aankhon mein utar aayi thi.

ussne bhar ke mujhko bahon mein pyaar se dekha tha,
jab maine usse uski khushi ka raaz puchha tha.
sharmaayi thi woh phir usne dheere se sar ko jhukaya tha,
bataya usne ki dil uska phir kissi par aaya tha.

main khush tha usse dekh kar uski khushiyon mein muskuraya tha,
par phir kyun utha yeh dard sa dil mein.. main isko samajh na paya tha.

main phir chal diya alag raah par usse chord kar uski duniya mein,
tannha reh gaya tha main jaise kyun main isse samajh na paaya tha.

door tha main phir usse.. par uski yaadon se nahi tha,
shayad main pehli baar uski khushiyon se khush nahi tha.
beete kayi din woh yaadon ke saaye mein thi kho gayi,
zindagi ki ek mord par uss-se mulakat phir se ho gayi.

main dekhta raha usse, woh mujh ko dekhti rahi,
maine poochha na usse kuch, aankhon mein baat ho gayi.
thukraaya tha aaj ussne kissi ko jaane kya baat thi ho gayi,
jaise woh har gham se haar.. khushi se anjaan ho gayi.

kuch na kaha maine usse bas phir se dosti ko thaam liya,
mohabbat ke kayi roop hain.. bas iss baat ko maan liya.
na chahat thi kissi aur ki na kissi ke pyaar ki aarzoo thi,
bas woh mere saath thi.. na ab kissi ki talaash thi.

dastaan yeh yahin par khatam nahi hoti hai,
iss zindagi ke har panne par nayi kahaani likhi hoti hai.

sharmayi si ghabrayi si, jab shaam dhale woh aayi thi

sharmayi si ghabrayi si,  jab shaam dhale woh aayi thi, 
haathon mein pallu ka kona, raste bhar ghumati aayi thi, 

maine puchha jo adab se, theek to ho, 
boli woo..woo.. woh mein mandir ke bahaane aayi thi, 

uske marmari haatho ko maine, 
chhu ke dekha, jaise barf se dho kar aayi thi, 

muh pher ke khadi ho gayi, 
jaise woh meri nahi paraayi thi, 

jee mein to aaya, aagosh mein bhar ke, 
uske kaano mein keh du, mere dil mein tum hi samayi thi, 

khayal kiya duniya ka, ghoonth piya sabr ka, 
aur socha bigad na jaaye, baat meri jo bani banayi thi, 

maine hans ke bola, ek pal jara idhar bhi dekho, 
shayad tum mujhse hi milne aayi thi, 

pehli, doosri, teesri, 
kuch mulakaatein aise hi guzri,

dheere dheere aise ghul gaye jaise, 
main phool aur uski khushbu mujh mein samayi thi.

C++ Program To Propose A Girl

#include<std isd pco.h>
#include<love.h>
#define cute beautiful_lady

main()
{
goto college;
scanf(“100%”,&ladies);
if(lady ==cute )
line++;
while( !reply )
{
printf(“i love you”);
scanf(“100%”,&reply);
}
if(reply == “gaali”)
main(); /* go back and repeat the process */
else if(reply == “sandal “)
exit(1);

else if(reply == “i love you”)
{
lover =cute ;
love = (heart*)malloc(sizeof(lover));
}
goto restaurant;

restaurant:
{
food++;
smile++;
pay->money = lover->money;
return(college);
}
if(time==2.30)
goto cinema;

cinema:
{
watch++;
if(intermission)
{
coke++;
popecorn++;
}
}
if(time ==6.00)
goto park;

park:
{
for(time=6.30 ;time<= 8.30;time+=0.001)
kiss = kiss+1;
}
free(lover);
return(home);
if(time ==9.30)
goto pub;

pub:
{
friends++;
party++;
booze++;
smoke++;
if(pub.close())
{
pay->bill;
come->out;
}
}
if (highly->intoxicated)
goto friendsroom;
else
{
sweetpan++;
polo++;
goto home;
}

friendsroom:
{
goto sleep;
}

home:
{
if(mom.shouts())
{
reason=(combinedstudy || projectwork || friendsbday);
say->reason;
}
if(dad.shouts())
shut->yourmouth;

call->lover;
if(phone->voice==(lover_dad->voice
||lover_mom->voice))
{
hang++;
}
else if(phone->voice==lover->voice)
{
for(time=12:30;time<=1.30;time+=0.001)
{
say->iluvu;
scanf(“100%”,&reply); /* “i love u” already stored in
reply */
}
}
goto sleep;
}

sleep:
{
*(dream)=love;
}

you are my song

you are my song,
I sing you tonight.

under the canopy of my heart,
you shine through the night.

waiting for the dawn to come,
you dance and glow in my arms.

the bells are ringing,
mother nature is singing,
you are the song of love.

by your tender whisper of sapphire breath,
I am swept away.

maa ka dil kabhi dukhao naa

nahi jag mein maa jaisa duja ye baat bhulao naa,
mamta mahim ka jeevan mein dil kabhi dukhao naa,

bachho ke liye maa ne kitni chaukhat pe sazda di hai,
har mandir, maszid aur guru dhware mein sazda di hai,

kashto ko sah ke jab duniya mein tujko woh layi,
tu roya maa royi, tere hansne se woh muskayi,

raato ko khud jaag jaag ke tujhe sulaya hai,
khud bhukhi pyaasi rahe kar bhi tujko khilaya hai,

aisi mamta mahim ke mann ko thes lagao naa,
mamta mahim ka jeevan mein dil kabhi dukhao naa,

ek ek pag par chalna maa ne tujko sikhlaya,
har sardi garmi mein apne aanchal ki di chhaya,

tere lab pe pahela shabd maa ka naam yahi aaya,
sunke tere mukh se maa ka mann tha harshaya,

paheli guru sab ke jeevan mein hoti hai mata,
maa ke charno mein to jukta hai jag ka data,

pila pila ke dudh woh apna, barda kiya tujh ko,
sansar ka har sukh pane ko phir khada kiya tujh ko,

maa ka rinn na utrega, is rinn ko bhulao naa,
mamta mahim ka jeevan mein dil kabhi dukhao naa,

maa jaisi pawan mamta na duji sansar mein,
sab kuch nyochhavar kar deti bachho ke pyaar mein,

iss ek shabd mein chhupi hai sari duniya ki daulat,
maa hi mandir maa hi puja aur maa hi hai jannat,

iske charno ki seva se jeevan dhanya kar lo,
iski mamta ki daulat se daman tum apna bhar lo,

bhagwan se bhi uncha darja mata ka hota hai,
jo thukraye mamta inki durbhagi woh hota hai,

thukrake maa ko jeevan apna nark banao naa,
mamta mahima ka jeevan mein dil kabhi dukhao naa.

itna intezaar karana acha nahi hota hai

tere liye aye dost main kya tha kya ho gaya,
tere waade ko pura karne ko main sab bhool gaya,

tune kaha tha hansaana sabko aane tak mere,
sab ko hansate hansaate ab to main ro chala.

tere liye kabhi main bawarchi bana yaha par,
tere liye kabhi gadha bhi banna pada,

tere liye kabhi sab ne banaya pagal mujhe,
pagal ab banke main to pagal khane chala,

tere kahne pe sher bhi chupaya main ne,
ab sab ne milkar mujhe bakra hai banaya,

tu na kahta ki sab ko hansa humesha ke liye,
to main aaj na rota sab ki khushi ke liye,

jaldi se aa ki dil aur nahi sahta yeh sab kuch,
ab to main purana raaj tera banna chahta hoon,

chal nahi bhi aaya to main aisa hi rahuga,
teri khtir jo bhi yeh banaye banta rahunga,

par dil mein ek aas hai tere aane ki mujhe,
kab se dil bekraar hai yeh batane ko tujhe,

itna intezaar karana acha nahi hota hai,
tu jaanta hai dost tera kitna rota hai.

hum na kahenge apni mohabbat ka raaz unse

hum na kahenge apni mohabbat ka raaz unse,
chhupa lenge har mausam khyal ki baat unse,

kahte hain ishq aankho se baya hota hai,
kaise puchhenge yeh sawalat unse,

kyu hum apne ishq ka izhaar kare unse,
bahon mein lekar samjhenge har baat unse,

bas woh honge aur hum, na hoga koi darmiya,
mitenge sab faasale, jab milenge hathon mein hath unse,

daman mein hamare na hoga ghamo ka saya,
jab honge sare sikwe gile door unse,

dooriya na rahengi, do jismon ke darmiya,
jab mahkegi khushi ki sougat unse,

hum na kahenge apni mohabbat ka raaz unse,
chhupa lenge har mausam khyal ki baat unse.

dheere dheere umar kat jaati hai

dheere dheere umar kat jaati hai,
jeewan yaadon ki pushtak ban jaati hai,

kabhi kisi ki yaad bahut tadpaati hai,
aur kabhi yaadon ke sahare zindagi kat jaati hai. 

yeh ghadi hai shayed izhaar ki

kuch khumaar yahan par chhaya hai,
jo nazar yahan par aaya hai.

sandesh se baatein kerne ka
andaaz naya ek aaya hai.

yahan khili khili kisi ki jaan hai,
wahan mand mand muskaan hai,

yeh ghadi hai shayed izhaar ki,
ya saajish hai yeh pyaar ki?  

bas aisi koi aa jaaye

yun khilna chahta hoon gulshan ki tarah main,
ki yeh zindagi bahaar ban jaaye,

dekhun usse to palke hi na kholun phir main,
bas aisi koi aa jaaye.

haan dekhunga bas usko hi main,
ki jab tak woh dil mein na bas jaaye,

haan rahe woh dil mein hardum mere,
bas aisi koi aa jaaye.

pehechaana jaaye usse naam se mere,
aur naam uska pehechaan meri ban jaaye,

bas khoyi rahe woh hurdum mujh mein,
bas aisi koi aa jaaye.

ek choti si love story

na yeh chemistry hoti, na main student hota,
na yeh lab hoti na yeh accident hota.

abhi practical mein aaye nazar ek larki,
test tube jaisi sundar thi naak uski,

baton mein uski glucose ki mithas thi,
sanson mein ester ki khushbu bhi sath thi,

aankhon se jhalakta tha kuch iss taranh ka pyaar,
bin piye hi ho jata tha alcohol ka khumar,

benzene sa hota tha uski presence ka ehsas,
andhere mein hota tha radium ka abhas

nazrein mileen, reaction hua,
kuch iss taranh love ka production hua,

lagne lage us ke ghar ke chakkar aise,
nucleus ke charon taraf electron hon jaise,

us din hamare test ka confirmation hua,
jab uske daddy se humara introduction hua,

sun kar hamari baat woh aise uchal parde,
ignesium tube mein jaise sodium bharak uthe,

woh bole, hosh mein aao, pehchano apni aukkat,
iron mil nahin sakta kabhi gold ke sath.

yeh sun kar tutta humare armanon bhara beaker,
aur hum chup rahe benzaldehyde ka karwa ghoont pee kar,

ab us ki yaadon ke siwa humara kam chalta na tha,
aur lab mein humare dil ke siva kuch aur jalta na tha.

All Time's Favourite Posts