maa ka dil kabhi dukhao naa

nahi jag mein maa jaisa duja ye baat bhulao naa,
mamta mahim ka jeevan mein dil kabhi dukhao naa,

bachho ke liye maa ne kitni chaukhat pe sazda di hai,
har mandir, maszid aur guru dhware mein sazda di hai,

kashto ko sah ke jab duniya mein tujko woh layi,
tu roya maa royi, tere hansne se woh muskayi,

raato ko khud jaag jaag ke tujhe sulaya hai,
khud bhukhi pyaasi rahe kar bhi tujko khilaya hai,

aisi mamta mahim ke mann ko thes lagao naa,
mamta mahim ka jeevan mein dil kabhi dukhao naa,

ek ek pag par chalna maa ne tujko sikhlaya,
har sardi garmi mein apne aanchal ki di chhaya,

tere lab pe pahela shabd maa ka naam yahi aaya,
sunke tere mukh se maa ka mann tha harshaya,

paheli guru sab ke jeevan mein hoti hai mata,
maa ke charno mein to jukta hai jag ka data,

pila pila ke dudh woh apna, barda kiya tujh ko,
sansar ka har sukh pane ko phir khada kiya tujh ko,

maa ka rinn na utrega, is rinn ko bhulao naa,
mamta mahim ka jeevan mein dil kabhi dukhao naa,

maa jaisi pawan mamta na duji sansar mein,
sab kuch nyochhavar kar deti bachho ke pyaar mein,

iss ek shabd mein chhupi hai sari duniya ki daulat,
maa hi mandir maa hi puja aur maa hi hai jannat,

iske charno ki seva se jeevan dhanya kar lo,
iski mamta ki daulat se daman tum apna bhar lo,

bhagwan se bhi uncha darja mata ka hota hai,
jo thukraye mamta inki durbhagi woh hota hai,

thukrake maa ko jeevan apna nark banao naa,
mamta mahima ka jeevan mein dil kabhi dukhao naa.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts