mat dekho bahaar se koi sapana

ek roj ek kali ko yuhi ek khayaal aaya,
jaan loon mujhe kaun pehchaan paaya,

kis-kis ne mujh ko hai jaana,
kaise-kaise mujhe pehchaana,

yeh soch kaali bihas padi,
ek bhramar se woh puch gayi,

o bhramar! batao zara,
kya hain tera mera vaasta?

suno tum hi ho chahat meri,
adh-khili ho mohabbat meri,

jhumate phool jo usko dikha,
wahi prasn usne duhraaya,

batao zara kya hoon main?
kis vaaste yeha reh rahi main?

kali tu adhuri roop humaari,
badi ho banegi saheli pyaari,

yeh sun paas ki pattiyo ko dekha,
wahi sawal phir waha bhi utha.

berukhi se unhone jawab diya,
tum kuch nahi ho humaare bina,

khud ki pehchaan, kya tum ho kar rahi,
humare bina kya tum jeeti.. marti.

kali udaas ho gayi,
dekh yeh nisthurata ro padi,

yun dekh kaanton ne kaha,
mat ro, humein bhi sun zara,

tum shringaar ho humaare,
tum pe sab apna dil vaare,

surya-rashmiyon ke liye jhankaar ho,
sabka chhalakata pyaar ho.

yeh sunkar bhi kali hans na saki,
dard dil ko bhool na saki,

malin uska chehara ho gaya tha,
dard anshun ban bah raha tha.

hansta hua main dekh raha tha tamaasha,
ek khayal phir mujh ko bhi aaya,

khud ki khoj mein to main bhi hoon,
dard aur khushi se mila bhi hoon,

phir bhi mera dil bhi to hai ro raha,
uss kali ki jagah hai yeh khada,

kuch soch ke maine kali se kaha,
tu khud ko khudi se pehchaan jaa,

maun ho, jaha nisthabdhata chhaye,
jaha phir kisi aur ka tarang naa aaye,

wahi roop hai tumhara khudka apana,
mat dekho bahaar se koi sapana,

pehchaano khud khudi ki garima ko,
waha naa kisi ghum ka chhaaya ho,

ek anokha roop hai sabka,
usse khood hi jaano, wahi hai apna.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts