ek shayar jo hamesa muskurana chaahta tha

soyi kismat ko jagaana chaahta tha,
ruthe dilbar ko manaana chaahta tha,
chaahta tha main usko hudd se jyada,
phir mujhe woh kyun rulaana chaahta tha.

uske dil mein aa gaya tha soch kar
rehne ko main ek thikana chaahta tha,
pyaar mujhko na mila iss duniya mein,
kehne ko to mujhko zamaana chaahta tha.

meri yaadein usske dil ka thi sukun
phir woh mujhko kyun bhulana chaahta tha,
marr gaya mujh mein woh jo ek shaks tha,
har haal mein ussko main  par bachaana chaahta tha.

hai hakeeqat.. usne mujhko tord daala,
main bhi shayad tut hi jaana chaahta tha,
karke ansuna mujhse mera humsafar,
jaane kya mujhse chupana chaahta tha.

mujhko tannha jaan kar woh kabhi,
apne seene se lagaana chaahta tha,
ho kar khada woh aaine ke saamne,
aaine ko kuch bataana chaahta tha.

chatpatata reh gaya dil ka kabutar
teer teri aankhon se khana chaahta tha,
tujhse hokar paraya mera humsafar,
dil ke rishtey ko main nibhaana chaahta tha.

uske seene mein dhadakna chaahta tha,
ruh mein usski samaana chaahta tha,
saari duniya ko chala kar aa gaye hum,
aur woh humko chalaana chaahta tha.

thi iss tarah mujhko talab uss shaks ki,
har haal mein main ussko paana chaahta tha,
meri kareeb aa raha tha usska har kadam,
woh jo door jaane ka bahaana chaahta tha.

zindagi par apni likhta hai raaj
ek shayar jo hamesa muskurana chaahta tha.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts