aaj woh hamein bewafa bata rahein hain

jinse rishta nibhaya wafa ka humne,
aaj woh bewafa bata rahein hain humein,

daastan e gham kisko bataye jaa kar,
woh apna gham sunaa rahein hain humein ,

koi to raah hogi manzil ko mukammil,
woh raahe judai dikha rahein hain humein,

channd lamhon ka safar tha haseen,
woh haseen ehsaas dila rahein hain humein,

mana ke tumhare liye hum bewafa hain,
aap kyon wafa jataa rahein hain humein.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts