wo humse baat kerne ko bhi taiyaar nahi hota

ab humse intezaar nahi hota,
itna myhngaa to kisi ka pyar nahi hota,
hum jiske liye huye russwah jamaane se,
wo ab humse baat kerne ko bhi taiyaar nahi hota...

nahi hai zindagi meri

nahi hai zindagi meri,
na mere saat chalti hai,
na mera saat deti hai,
ye meri dusmano se,

dosti kerne ko betaab hai,

mere bechare pan se laparwah,
mere khushiyo se be perwah,
mujhe jab zakham de ker,
hassti hai to mujhe lagta hai,
ki nahi hai zindagi meri.

mujhe patthar lage,
nakamiya mere kadam chume,
mere barbadiyo se khus,
mere rushwaiyo se khus, 

nahi hai zindagi meri,
to fir kyu sab khuch bhula ker,
kyu usse gale lagata hoon,
manane se nahi manati,
to khud per raham khata hoon.

tumhein ab bataye kya

joo humpe gujari hai jana, 
tumhein bataye kya,
ye dil to tut gaya, 
hum bhi tut jaye kya,

pyar dene ki milti hain ye sazaye kya,
bujha ke manegi humko bhi ye hawaye kya,
hamare charo taraf hadase huye hain kayi lekhin,
hamein bachati hai maa baap ki duwaye kya,

tumhare baad is safar me koi maza na raha,
har ek mord pe socha ki laut jaye kya,
hamare chehare k daago per katash kerte ho,
hamare pas bhi hai aayena dikhaye kya.


na tees hai, na kashak hai,
na aah hai ab is dil me,
chali gayi tu is dil k haweli se hamesa kya,

hamein to liwaz bhi sada pasand hai mere dost,
jab dil hi bujh gaya to bahar se jagmagaye kya.

bas har pal aadhuri meri aas

dil aaj kal meri sunnta nahi,
main kya karun wo manata nahi,
kuch ho raha hai jaane na,
kya karu dil ye mane na.

teri yaadon me din raat khoota hai,
ye dil diwaana pal pal hota hai,
tere khayaalon me hi din raat hai beeti,
subah sham kare bas teri hi baatein,

raat me bhi chain nahi,
aankhein meri tujhko dhunde,
man ko bhi hai tu hi suhaaye,
dil ki jassjbaa ye jaane na,
pyar aaj bhu hai dil ye mane na,

bas kerta hai teri baatein,
tujh bin har din bheengi meri raatein,
dekh mujhse na ab door rah,

tujh bin meri adhuri aas,
tu nahi to koi nahi saath,
bas har pal adhuri meri aas,
bas har pal aadhuri meri aas

ek din main apni pehchan banaunga

main hoon ek musafir na jane kaha jaunga,
chalta chalta apni raah pe door kahi main jaunga,

sath mera sab chord dete hain, main akela apni rahon mein,
mujhe na malum dost hai kaun, mujhe na malum pyar hai kaun,

karta rehta tha main jisse apne dil ki baatein,
aaj woh mere sath nahi hai,

mil gayi unko unki chahat sath hai wo par sath nahi,
main hoon akela, bahut akela, kaise main jee paunga,

raah mein koi bhi manzil pe main ab na ruk paunga,
mere dil mein bacha kuch nahi, rakha hai bas ab is dil mein,

ye bhi ab dhul jayega mere gum ki nadiyon mein,
main na chahun pyaar kisi ka, main na chahun chahat,

main akela hi aaya tha akela hi main jaunga,
sath mera chord diye sab,

main bhi ab dikhlaunga,
main har tufaano se akela hi takraunga,
kar jaunga aisa main kuch apni pehchan banaunga. 

waqt ke sath hamare rashte bichadte jayenge

waqt ke sath hamare rashte bichadte jayenge,
ham to wo hi rahenge faansle badte jayenge,
fir chahoge bhi gar hamein pana,
hum kabhi kahin nazar na aayenge…

gamme dil ko zamane se chupana tak nahi aata

humein to dard apna chupana tak nahi aata,
mere aankho ko rone ka tarika tak nahi aata,
gamme dil ko zamane se chupana tak nahi aata.


kisi ki yaad me hum umr bhar ka roo leye shayed,
ki ab to aankho me aashu ka katra tak nahi aata,

ye kaisa daur aaya ki har taraf dard ki hi aahat hai,
gareebi ho jahan to ghar me koi dost tak nahi aata,

hamare jism ko pattar bana dala jarurat ne,
mehnat kitni bhi ker le pasina tak nahi aata,

mere mehboob ye kaisi tarakki ki hai tumne,
ki mere naseeb me ek pal ka nazara tak nahi aata,

tumne mehal apni jabse ker li hai uuchi,
mere ghar me to ab ujaala tak nahi aata,

mere aankho ko rone ka tarika tak nahi aata,
gamme dil ko zamane se chupana tak nahi aata.

kaisi hai zindagi..

kisi ne mujhse pucha,
kaisi hai zindagi?

maine muskuraya aur kaha..
acchi hai wo..!!

umar ki raah par rashte badal jate hain

umar ki raah par rashte badal jate hain,
waqt ki aandhi me insaan badal jate hain,
hum sochte hain ab aapko itna yaad na kare,

lekin...

aankh band karte hi iraade badal jate hain.....

saffar chorda nahi kerte

kisi ki aas banker,
usse tanhaa nahi chordte,
bhale kitni bhi muskil ho,
saffar chorda nahi kerte..

na jaanu main hoon ya meri parchhai hai

kehne ko toh main jee raha hoon,
dhadkan se saansein hi juda hain,
manzil tak pahuncha toh yeh jaana,
rashte me khud ko kho diya hai...

khud ki kya pehchan doon main,
khud se hi anjaan hoon main,
main jeeta hoon magar,
abb zinda hi nahin,
jo socha woh samjha hi nahin...

roothe khayalon me, kaisi tanhai hai,
na jaanu main hoon ya, meri parchhai hai,
roothe khayalon mein, kaisi tanhai hai,
na jaanu main hoon ya, meri parchhai hai...

sooni sooni si raaton me,
khaali-pan mujhko khalta hai,
sab hai magar kuch bhi nahin,
tanha tanha se iss dil me,
koi kaanta kyun chubhta hai?

aankhon me har pal hai nami...

khud ki kya pehchan doon main,
khud se hi anjaan hoon main,
main jeeta hoon magar, 

abb zinda hi nahin,
jo socha woh samjha hi nahin...

roothe khayalon mein, kaisi tanhai hai,
na jaanu main hoon ya, meri parchhai hai,
roothe khayalon mein, kaisi tanhai hai,
na jaanu main hoon ya, meri parchhai hai...

mohabbat chord hi jaati hai

sach hi kaha tha kisi ne…
tanhaayi me jeena sikh lo,
mohabbat jitna bhi sacchi ho,
sath chord hi jaati hai...

har mord pe teri kammi mehsus hoti hai

tujhe to mil gaye honge naye saathi,
mujhe har mord pe teri kammi mehsus hoti hai...

ek choti si sharaarat ker loon

tu izzajat de agar, 
ek choti si sharaarat ker loon,
main tere dil tak pahuchne ki,
phirse himaakat ker loon,

khawaab ek baar saza loon phise aasma wale,
chaand pane ki jara si main bhi himmat ker loon,
daastaane ishq ek baar phirse likh doon,
heer-ranjha, laila-majnu si mohabbat tujhse ker loon,

rang tere hooton se chura loon, 
garmaahatt tere saanson se,
apni kori zindagi ko ek baar phirse,
kyu na jannat ker loon,

kya thikana inn saason ka, 
kal zindagi ho na ho,
mitti me mil jaaun main, 
dhardkano se tera pyar kam na ho,

chord na kal pe mujhe, 
kya jaano kal tera ye diwaana raj ho na ho,

aaj bas iss ek pal me, 
sadiyon ki chaahat ker loon,
tujhme hi kho ker tujhko,
paa jaane ki hassrat ker loon.

hum tamashaai ho gaye mohabbat me

kabhi zameen ko tarse to kabhi aasmaan kho diya,
aye chaand, hum dard ke maron ne ye saara jahaan kahi kho diya,

kisi ke intzaar ne tadpaaya,
kisi ke inkaar ne rula diya,
tamaam umr yoon hi gujar gayi,
jaane kitne gamon ko humne sula diya..

shikayat kuch khone ki na thi
ta umr kuch paya hi nahi,
mijaaz-e-mohobbat kuch aisa raha,
apne ko koi samajh paya hi nahi,..

kabhi mukkadar par rote,
to kabhi naakaami ke malaal par,
koi to taj bana gaya mohabbat ke khatir,
hum tamashaai ho gaye mohobbat me,
kuch kar jaane ke sawaal par..

aaj woh hamein bewafa bata rahein hain

jinse rishta nibhaya wafa ka humne,
aaj woh bewafa bata rahein hain humein,

daastan e gham kisko bataye jaa kar,
woh apna gham sunaa rahein hain humein ,

koi to raah hogi manzil ko mukammil,
woh raahe judai dikha rahein hain humein,

channd lamhon ka safar tha haseen,
woh haseen ehsaas dila rahein hain humein,

mana ke tumhare liye hum bewafa hain,
aap kyon wafa jataa rahein hain humein.

kyun pyar me ki tumne bewafai hai

dard to zindagi ki sabse bardi sachchai hai,
zindagi kab bhala dard se bach payi hai,
maine socha tha dard door hai mujhe se bahut,
har pal mili mujhe dard se rushwai hai,

halat-e-dil kaise bataon main tumhe,
pyar me tere chott har ghadi khayi hai,
dil ne socha tha kare gaye mohabbat ki baatein,
kyun pyar me ki tumne bewafai hai..

tumne to humse hamara sub kuch cheen liya

humne tumhein apna yeh dil diya,
uske badle mein tum ne kya kiya,

ek pyar hi to tum se manga tha,
tumne to humein raho mein akela chord diya,

or bolte ho yeh poochne ka humein hak bhi nahi,
tumne to humse hamara sub kuch cheen liya,

kabhi sochte hain ke humse kya galti huyi,
jiss ka yeh sila tumne humein diya.

tum be-fikr rehna monika

lo mitta diye tumhare messages sabhi,
tum be-fikr rahna.
tord di hai har nishani pyaar ki, tum be-fikr rahna.


jab tumhara zikar cherd jayega mehfil mein kabhi to,
hum sunenge sirf ban kar ajnabi,  tum be-fikr rehna.

woh mohabbat ki mulakatein,
woh barsatein bhula kar hum yeh sumjhenge,
mohabbat bas ek khawaab tha, tum be-fikr rehna.

apne armaano ko humne katal khud hi kar diya hai,
ishq ne chup chap kar li khudkushi,
tum be-fikr rehna monika.

All Time's Favourite Posts