yeh zindagi zindagi nahi

isse tum beh jaane do,
ashk-aye-dard hain samunder ki tarha,
rokoge to kehar yeh dhayega,
zubaan ko dil ki baat keh jaane do.

yeh ek jaisa rehta nahi,
mausam ko to badalna hi hai,
paiymaane ko hadd se jada bharoge to,
isse to ek din chalakna hi hai.

aag ko kaun rok paaya hai,
failte failte, failti hi jaati hai,
yaadon ko dil mein samana naa,
yeh kisi ki nahi,
khayalon mein aa hi jati hai.

aaj hain waha to kal hain yaha,
hawa kisi ki bhi nahi,
isse rokna chord do yaaro,
khule aasaman mein jeeyo,
warna yeh zindagi, zindagi nahi.


No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts